Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Doji Star Pattern
Price chart par jab bhi aik bearish trend k dowran ya low prices main aik doji candle aisi ban jaye k uss k baad prices bullish trend reversal main tabdeel ho jaye to ye pattern bullish doji star pattern kaha jata hai. Bullish doji star pattern two days candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle bantti hai, jab k baad main aik doji candle hoti hai, jo k bearish candle k lower side par banti hai. Ye candle ziada tar doji star candle hoti hai, jiss main open aur close aik jaise honne k sath sath high aur low bhi same hote hen. Bullish doji star pattern main teesri bullish candle shamil hone ye pattern morning doji star pattern ya bullish abandoned baby candlestick pattern ban jata hai.
Candles Formation
Bullish doji star pattern k naam se zahir hai, k iss pattern k baad prices mumkina tawar par bullish trend ikhteyar kar lengi. Ye pattern aik bearish ya low prices main vnata hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish doji star candlestick pattern main shamil pehli candle aik bearish candle hoti hai, jiss ka close price open se kam hoti hai. Ye candle aik real body main banti hai, jo k black ya red color main hoti hai. Low prices main banne wali ye candle bearish trend ki akasi karti hai.
2. Second Candle: Bullish doji star candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hota hai. Ye candle aik doji star candle hoti hai, jiss ka high aur low same length ka hota hai. Ye candle prices ko mazeed bearish janne se rokti hai, jo k bagher color ya kisi pattern ki hoti hai.
Explanation
Bullish doji star candlestick pattern prices chart par morning doji star candlestick pattern ka half hisa hota hai, jiss amin do candles hote hen. Pattern ki pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss k prices ka open aur close din k ikhtetam par same point par hota hai. Ye candle aik star doji candle hoti hai, jiss main prices ka high uss k low k barabar hota hai. Yanni candle k open aur close point se upper aur lower sides ka shadow same length main hota hai. Ye pattern prices bullish trend reversal main tabdeel karta hai, jo agay ja kar morning doji star pattern ya bullish abandoned baby candlestick pattern banata hai.
Trading

Bullish doji star candlestick pattern par trading karne se pehle iss ki price chart par position dekh len, jo k bearish trend ya low price area hona chaheye. Ye pattern market main buyers k leye strong buy signals genrate karta hai, lekin uss par entry karne k leye trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo aik strong bullish candle honi chaheye. Trend confirmation k leye CCI aur stochastic oscillator se bhi madad li ja sakti hai, jo k over-sold zone main hona chaheye. Lekin pattern k baad bearish candle bann ze ye pattern khatam tasawar hota hai, jab doji candle banne se agli bullish candle ka intezar karna chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower point par ya doji candle k bottom se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим