High Wave candlestick pattern.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    High Wave candlestick pattern.
    Dear Friends ager High Wave candlestick pattern downtrend main bany to yeh bearish trend ki he indication deti hay, bhaly he iski real body ka colour bullish ho ya bearish. Isi tarah ager high wave bullish trend main banay to yeh mazeed bullish trend kya batati hai is main bhi yeh matter nahi karta keh real body bullish thi ya bearish. Jab keh slow moment yanni sideway moment ya range bound market main high wave candlestick ki occurrence bhi koi asar nahi rakhti aur iski formation kay baad last trend he continue hota hay chahe woh bullish ho ya bearish. Is liye hamain high wave candlestick ko sirf trading base nai banana chahiye balkeh hamain iskay bad next market moment kay through trading strategy banani chahiye.Yeh candlestick pattern small real body per mabni hota hay. Yani jab iski body hogi to definitely yeh bullish ya bearish hogi. Ab lazmi nahi hay keh jab uski body bullish ho to yeh bullish moment ka bataye gi ya ager iski body barish hui to yeh bearish moment jaye gi.

    Click image for larger version

Name:	high-wave-signal.jpg
Views:	9
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12539445

    Appearance of High Wave candlestick pattern.

    Dear High Wave candlestick pattern candle uptrend ya downtrend main appear ho kay price changing ki direction show karti hay, ye pattern indicate karta hay kay bulls and bears market ki upcoming moments ka baray main uncertainty ka shikar hain ye trader ko aik strong aur dependable reversal ka signal faraham karta hay aur is situation main na sellers ko market ki clear indication ho rahi hoti hai aur na hi buyers ko, is situation main supply aur demand ki forces same hoti hain, ye pattern two variations main appear hota hay, jin main bullish high wave aur bearish high wave shamil hain.

    Click image for larger version

Name:	Spinning-Tops-and-High-Waves.jpg
Views:	7
Size:	14.4 کلوبائٹ
ID:	12539446

    Operation of High Wave candlestick pattern.

    Dear Agar High Wave candlestick pattern ki wave high volume mein banay to is say pata chalta hai keh market main prices barh rahi hain.market main buyers and sellers ki un-certainty and indecision ko show karta hay. Is say yeh pata chalta hay keh market main demand and supply balanced hain aur pattern aik he candle bar mabni hota hay jis main small real body and long upper and lower shadows hoty hain. Is pattern kay ban'ny kay bad market main uncertainty si hoti hay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: High Wave candlestick pattern.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    High Wave Candlestick


    Single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. High wave candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. High wave candle ki ooper aur nechay long shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik small si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de sakti hai. High wave candle k ooper aur nechay shadow aik to size main equal hona chaheye aur dosra ya length main long hona chaheye, q k small shadow hone par ye Spinning top candle ban sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	575633.jpg
Views:	1
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12429931

    Candles Formation


    High wave candle prices k top aur bottom dono main ban sakti hai. Sideways markets main ye candle aik neutral candle hoti hai, jo k prices k ziada tar maojoda trend main continuation ka sabab banti hai. Price chart par High wave candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;

    Click image for larger version

Name:	575634.jpg
Views:	1
Size:	7.5 کلوبائٹ
ID:	12429932

    High Wave Candle: High wave candle chart pattern par aksar market main aik small si candle nazar ati hai, jiss ka ooper aur nechay aik lamba shadow hota hai. Ye candle small real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se market ki position k mutabiq apna situation tabdeel karti hai.

    Explanation

    High wave candle aik single day small candle hai, jiss main prices din k aghaz main open hone k baad aik small real body main up ya down close hoti hai. Price chart par buyers aur sellers market main same quat (power) main hote hen, ya un ki assets main dilchaspi kam hoti hai, jiss se prices aik timeframe k dowran ooper aur nechay jane ka baad wapis apne aghaz wali position k qareeb close ho jati hai. Ye aik small real body wali bullish ya bearish candle hoti hai, jo k trend k mutabiq apni hodohal ko tabdeel karti hai. Ye candle prices k top ya bottom par strong trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	575631.jpg
Views:	1
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12429930

    Trading

    High wave candle sideways market main ya newly breakout trend main trend continuation ka kaam karti hai, jab k price k top ya bottom main ye candle aksar trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal aur prices k top par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Candle k baad trend ki confirmation ka candle ka hona zarori hai jo k real body main hona chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator ya stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss main value overbought aur oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se top ya bottom se trend reversal k mutabiq two pips below ya above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	575635.jpg
Views:	1
Size:	21.4 کلوبائٹ
ID:	12429929

    اب آن لائن

    Working...
    X