Hammer candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Hammer candlestick pattern
    Introduction

    Assalamu Alaikum dear members with karta hoon aap sab khairiyat se Honge aur Forex Mein acchi kar rahe Honge. Aaj ka Mera Sawal bahut hi important
    hai aapko information aur knowledge provide Karega aaj ka Mera Sawal hai ki forex trading ke andar hammer candlestick pattern in forex trading kiya hota hy. Ap is ko kasy used kr kay ap kasy profit gain kar sakhty hy.

    What is hammer candlestick pattern

    candle stuck charting mein hathora qeemat ka aik namona hai jo is waqt hota hai jab koi security tijarat –apne aaghaz se numaya tor par kam hoti hai, lekin ibtidayi qeemat ke qareeb band honay ki muddat ke andar reliyan hoti hain. yeh namona hathoray ki shakal ki shama daan banata hai, jis mein nichala saya haqeeqi jism ke size se kam az kam dugna hota hai. candle stick ka body khuli aur band qeematon ke darmiyan farq ko zahir karta hai, jabkay shadow is muddat ke liye ziyada aur kam qeematon ko zahir karta hai .

    Click image for larger version

Name:	download (62).png
Views:	28
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12539312

    Key feature of hammer candlestick pattern

    hathoray ki shammen aam tor par qeemat mein kami ke baad hoti hain. un ka aik chhota sa asli jism aur aik lamba nichala saya hai. hathora candle stick is waqt hoti hai jab baichnay walay qeemat mein kami ke douran market mein daakhil hotay hain. market band honay tak, khredar farokht ke dabao ko jazb karte hain aur market ki qeemat ko ibtidayi qeemat ke qareeb dhakel dete hain. band khilnay ki qeemat se oopar ya neechay ho sakta hai, halaank band khulay ke qareeb hona chahiye taakay candle stick ka asli body chhota rahay. nichala saya is ki oonchai se kam az kam do gina hona chahiye .

    Working of hammer candlestick pattern

    security ki qeemat mein kami ke baad hathora is waqt hota hai, jo yeh batata hai ke market neechay ka taayun karne ki koshish kar rahi hai. hathoray farokht knndgan ki taraf se aik nichala hissa bananay ke liye mumkina had bandi ka ishara dete hain, jis ke sath qeemat mein izafay ke sath qeemat ki simt mein mumkina ulat phair ki nishandahi hoti hai. yeh sab aik hi muddat ke douran hota hai, jahan qeemat khilnay ke baad girty hai lekin phir khilnay wali qeemat ke qareeb band honay ke liye dobarah group ban jati hai .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Hammer candlestick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Hammer Candlestick


    Hammer candle " Umbrella Candle" family ki ek candle hai, jo k prices k downtrend ya lower side par paye jatti hai. Hammer candle ki banne ki wajja ye hotti hai, k bearish trend k akher main sellers prices ko mazeed nechay ki taraf push karte hen, lekin yahan par assets ki high demand increase ho jati hai, jiss se market main buyers active hona shoro ho jate hen, aur wo prices ko wapis bullish le jate hai, jis ki waja se candle k lower side par aik bara "tail" "shadow" ya "wick" ban jatti hai. Hammer candle main shadow candle k body k lower side pe bantta hai, jab k normal "Inverted Hammer Candle" main shadow candle k body k upper side par hotta hai. Candle k shadow downward honne ki wajja se candle ki shap " hathore (hammer)" jaise dekhaye deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (88).png
Views:	65
Size:	20.5 کلوبائٹ
ID:	12429898

    Candles Formation


    Hammer candle do hisson par mushtamil aik single candle hotti hai, jis main aik candle ki "body" ya "real body" hotti hai, jab dosrra hissa upside par candle ki "shadow" ya "wick" hotti hai. Candle ki real body size main small hotti hai, jab k shadow taqreeban is ka double bannta hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	hammer-1024.jpg
Views:	37
Size:	51.1 کلوبائٹ
ID:	12429899

    ][COLOR="#006400] Hammer[/COLOR][COLOR="#FF0000] Candle:[/COLOR] Hammer candle prices k lower side par kisi bhi color ki ho saktti hai. Ye candle aggar black/red main bantti hai, to ye bearish candle hogi, jab k white/green main banne par candle bullish hoggi. Prices ka downtrend honne ki wajja se candle jiss color main bhi bantti hai, is ki hasseyyat bullish candle ki hi hoggi. Candle ki aik small real body k sath lower side par aik long shadow hota hai.

    Explanation

    Hammer candle aik single pattern candle hai, jo k prices k downtrend main banne par bullish trend reversal ki hosseyyat rakhtti hai. Ye candle "Umbrella Candle" family se talluq rakhtti hai, jiss main candle ki small real body k sath downward side par candle ki aik barri shadow ya wick hotti hai. Hammer candle aggar prices k top par bannti hai to ye "Hanging Man Candle" ban jati hai, aur is ki hasseyat bearish trend ki hotti hai. Candle k lower side par banne ki waja se ye kisi bhi color ki ho saktti hai, lekin hasseyat bullish wali hoggi. Hammer candle ka sayya ya shadow candle k real body k bottom par honne ki waja se candle "Inverted hammer candle" se mukhatleff dekhaye detti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (89).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12429897

    Trading

    Hammer candle bhi single candle par mushtamil pattern hai, jo bullish trend reversal k leye estemal hota hai. Ye pattern aggar long timeframe main aur lower prices main bantti hai, to candle aik strong bullish signal genrate karta hai. Candle ki shadow prices ko bullish side par rejection to dekhatti hai, lekin sath hi sath market main buyers ki dilchaspi bhi batatti hai. Hammer single candle honne ki waja se trend k leye akelle kaffi nahi hai, jab tak is k baad aik strong bullish candle nahi banti hai. Hammer k baad banne wali bullish candle par market main buy ki entry ki ja saktti hai. Stop Loss hammer k shadow k last par ya prices k lower side par set hogga.

    Click image for larger version

Name:	images (87).png
Views:	45
Size:	13.1 کلوبائٹ
ID:	12429896

    اب آن لائن

    Working...
    X