Explaination of High Price Gapping Play Pattern in Forex Trading?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explaination of High Price Gapping Play Pattern in Forex Trading?
    Asalam o Alikum
    members umeed hai lka ap sb khrit sa hon ga or ache sa trading kr rhe hon ga aj ka topic jo ma explain krne ja rhe hun wo high price gapping pattern ka bare ma hai umeed hai ka ap ko ache sa smj ie ge or ma koshish karun ge ka use easy way ma explain karun





    HIGH PRICE GAPPING PLAY PAYYERN IN FOREX TRADING

    gapping play pattern chart pr price k uptrend main continuation ka lea jna jata hai jo high price ya bullish trend ka bd bnta hai. ya pattern 5 candles pr mushtamil hai phehla bullish trend continuation pattern hai jise ma shamil phehli candle ak strong bullish hoti hai jo ak long real body
    ma bnti hai . phehli candle ka bd 3 small real body wali bullish aur bearish mixup candles hoti hain jis ka open aur close dono phehli candles k andar hoti hai ya teeno candles phehli candleas k open aur close price sa bahir nahe nikaltien teeno small candles price pattern ka last pr aik aur
    long real bodyy wali bullish candle hoti hai jo aik to small candle se top main bnti hai aur dusra ye price ko sbka trend yani bullish trend ain continuos krwati hai.



    Click image for larger version

Name:	High.jpg
Views:	4
Size:	18.9 کلوبائٹ
ID:	12539131






    5 candles pr mushtamil hoti hai:
    high price gapping play pattern 5 candles pr mushtaml hoti hai jo ka ya hain. phehli candle aik bullish candle hoti hai ya candle aik long real body mn bnti ahi jis ka top aur lower side k shadow real body sa km hone chaheyan ya candle bullish trend ko indicate krti ahi jo ka white ya green color mn bnti hai.
    Dusri candle small bearish ya bullish candle hoti hai ye candle phehli candle k real body amin top pr bnti hai mtlab ya ka ya candle phehli candle ka andr open or close hoti hai.Tesri candle be second candle ki trha ak real body wali small candle hoti hai aur dusri candles ki trh bullish ya bearish hoti hai
    or clor un ki trha hota hai. ya candle dusri candle k neechay aur phehli candle k real boy main bnti hai agr dosri small candle bullish bnti hai to candle bearish hoti hai. 4th candle be bullish ya bearish hoti hai aur small real body ma hoti hai ya candle teesri candle k bd nechay bnti hai lekiinya candle bhismae dosri
    aur tesri candle ki trha phehli candle k andr hoti hai ya candle zyada dusri candle k color ki trha same hoti hai.last ya 5th candle bullish hoti hai or ya 1st candle sa parallel hoti hai aur forth candle ka bd thori si above gap mn bnti hai jo k long real body ka sath top side pr ja kr close hoti hai ya whilte ya green color ma hoti hai
    jo bullish trend continuous ka km krti hai.



    Click image for larger version

Name:	1unui.png
Views:	1
Size:	14.0 کلوبائٹ
ID:	12539132



    ummed krti hun ka ap ko high price gapping play pattern ki smj a gie ho ge or wo jin 5 candles pr mushtamil ya wo be smj a gie hon ge.
    منسلک شدہ فائلیں
    Last edited by ; 17-06-2022, 11:00 AM. وجہ: galt taswer dal di thi
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Explaination of High Price Gapping Play Pattern in Forex Trading?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    High Price Gapping Play Pattern


    High price gapping play pattern, price chart par prices k uptrend main continuation k leye jana jata hai, jo k high prices ya bullish trend k baad banta hai. High price gapping play pattern panch candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo aik long real body main banti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish aur bearish mixup candles hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hoti hai. Ye teeno candles pehli candle k open aur close price se bahir nahi nekate hen. Teeno small candles prices ko waqti tawar par mazeed bullish jane main rukawat dalti hai. Pattern k last par aik aur long real body wali bullish candle hoti hai, jo aik to ye small candles se top main banti hai aur dosra ye prices ko sabeqa trend yanni bullish trend main continue karwati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (47).jpeg
Views:	2
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12429537

    Candles Formation


    High price gapping play pattern trend bullish continuation pattern ki waja se prices k uptrend ya newly bullish breakout trend main banta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hote hen;

    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	1
Size:	19.7 کلوبائٹ
ID:	12429538

    1. First Candle: High price gapping play pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hone chaheye. Ye candle bullish trend ki alamat hoti hai, jo k white ya green color main banti hai.

    2. Second Candle: High price gapping play pattern ki dosri candle aik small bullish ya bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main top par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai.

    3. Third Candle: High price gapping play pattern ki teesri candle bhi aik real body wali small candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah bullish ya bearish color main hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai. Agar dosri small candle bullish banti hai to ye candle bearish hoti hai.

    4. Fourth Candle: High price gapping play pattern ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bearish ya bullish candle hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad nechay banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri candles ki tarah pehli candle k andar hota hai. Ye candle ziada tar dosri candle ki color se mushabehat rakhti hai.

    5. Fifth Candle: High price gapping play pattern ki last candle bullish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel aur open forth candle k baad thora sa above gap main banti hai, jo k long real body k sath upper side par ja kar close hoti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k bullish trend continuation ka kaam karti hai.

    Explanation

    High price gapping play pattern main dekhne main same "Mat-hold pattern" ya bearish trend par banne wala "Bullish Three Line Strike Pattern" se melta julta pattern hai, jo k uptrend k leye istemal hota hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k uptrend ki alamat hoti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish aur bearish mixup candles hoti hai, jo k open aur close pehli candle k andar hoti hai. Ye small candles prices ko temporary tawar par bullish jane se rokti hai, jiss se prices k dowran waqti tawar par pause a jata hai. Lekin baad main small candles se above gap main aik bari real body wali bullish candle banti hai jo k prices ko uptrend main continue karwati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (48).jpeg
Views:	4
Size:	11.6 کلوبائٹ
ID:	12429536

    Trading

    High price gapping play pattern candles k upward trend main aik pause create kati hai, jiss k baad prices wapis apni sabeqa trend par chal parti hai. Ye pattern panch candles ka aik majmoa hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k baad wali teen candles small real body wali mix candles hoti hai, Bearish candles dar asal market main analyst ki prices k bare main agli faisala ka time hota hai, k aya prices ne upward jani hai, k nahi, lekin last par aik long bullish candle k banne se ye wapis pane porane trend par chal parta hai. Pattern par trades open karne se pehle aik agli bullish candle ka intezar zaror karen jo k buy k entry k leye hona chaheye. Stop Loss pattern k lower side ya pehli bullish candle k open price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	1
Size:	66.9 کلوبائٹ
ID:	12429535

    اب آن لائن

    Working...
    X