Assalamu Alaikum Dosto!
Hammer Candle
Price chart pattern par baaz awqat single candles bhi dosre candlestick charts pattern ki tarah k asarat rakhte hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Hammer candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banti hai. Hammer candle k aik small real body hoti hai, jiss ka lower side par aik lon shadow banti hai. Ye shadow hammer candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Hammer candle ki real body k upper side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ka upside aik "Bozu" candle hoti hai, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada lamba na ho jiss se candle ki hososeyat tabdeel ho jaye.
Candles Formation
Hammer single candle honne ki waja se ye zarori nahi hai, k dosre patterns k tarah ye candle lazmi kisi aik color main ho. Hammer candle bearish trend main ya low price main banti hai, jis ki information darjazzel tarah se hoti hai;
Hammer Candle: Hammer candle prices k bottom main bearish trend main banti hai, jiss k baad bullish trend reversal ho jata hai, to iss waja se ye candle kisi bhi color main ho sakti hai, lekin agar ye bullish ban jaye to ye bullish trend reversal pattern se ziada mutabeqat rakhti hai.
Explanation
Hammer candle jo k prices k bottom aur bearish trend k baad banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, umbrella family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath lower side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k upper side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher upper shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Hammer candle ki real body bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai, lekin iss ki position ziada zarori aur aham hai.
Trading

Hammer candle jo dekhne main aik T jaise lagti hai, prices k bottom ya bearish trend main banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bullish trend ya top prices par banne wali Hanging Man candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Hammer candle ki inverse Inverted Hammer candle hoti hai, jo k same bearish trend main bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Hammer candle par trade entry se pehle iss ki bearish trend ya bottom prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k leye bohut riski hai, iss waja se aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, trader next bullish candle par market main buy ki entry kar sakte hen. Stop Loss candle ki sab se lower position ya candle ki shadow k bottom se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим