Assalamu Alaikum Dosto!
Supply and Demand
Financial market main kisi assets ki value ya qeemat hamesha se aik hi position par barqarar nahi reh sakti hai, jab bhi uss ki demand barhti hai, to uss ki value main izzafa hota hai, value main izzafa hone se uss ki prices bhi increase hona shoro karti hai, jo humen line graph upward jata houa ya bullish candles bante howe dekhaye deta hai. Lekin iss k bar akas jab bhi kisi item ya assets ki demand value kam hoti hai, to uss k sayh hi supply main izzafa hona shoro hota hai, jiss se vlaue main kami waqea hona shoro hoti hai, value main kami ka matlab hoga k qeematen kam hongi. Financial markets supply aur demand k rules k mutabiq chalti hai, jiss main kabhi aik increase hota hai to kabhi dosra, jiss se prices stable nahi rehti aur updown movement karti rehti hia.
Supply Zone
Financial market main kisi assets k price chart par ye wo zone hota hai, jahan par market main talab yani demand taqreeba khatam ho chuki hoti hai aur yahan par supply apne urooj par pohunch chuki hoti hai. Supply zone hamesha chart pattern par upward side par hoga, jo k aam tawar par resistance level se bhi jana jata hai. Iss level par assets ki mazeed talab kam ho jati hai aur ziada tar chances hote hen, k un ki ziada supply ki waja se qeematen yakdam ger jayengi.
Demand Zone
Financial market main kisi bhi assets ka sab se kam qeemat area jahan par aksar ziada demand peda hone ka hadsha hota hai, jiss se qeematen increase hone ka hadsha hota hai. Iss position par supply bohut ziada ho chuki hoti hai, aur mazeed supply main kami waqea hoti hai. Ye zone price chart par support level bhi kehlata hai, q k aksar prices iss level se wapis ziada demand ki waja se upper jati hai.
Supply aur demand zone main aik wazih faraq hota hai, jin levels ko prices baar baar touch karke nechay gerti hai, wo levels supply zone hota hai, jo resistance levels bhi kehlata hai. Jab wo zone jiss se prices baar baar upper side par movement karne ki koshash karti hai, lekin baar baar touch karne par bhi nechay nahi jati hai, to ye position demand zone hota hai, jiss ko support level bhi kaha jata hai. Supply zone par hamesha demand main kami waqea ho chuki hoti hai, jab k demand zone main hamesha supply ki kami hoti hai. Ye area prices k upper ya lower sides par breakout hone k chances hote hen.
![Click image for larger version
Name: images (436).png
Views: 6
Size: 17.7 کلوبائٹ
ID: 12539104](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12539104&d=1645324354)
Trading
Financial market main kisi bhi assets ka sab se kam qeemat area jahan par aksar ziada demand peda hone ka hadsha hota hai, jiss se qeematen increase hone ka hadsha hota hai. Iss position par supply bohut ziada ho chuki hoti hai, aur mazeed supply main kami waqea hoti hai. Ye zone price chart par support level bhi kehlata hai, q k aksar prices iss level se wapis ziada demand ki waja se upper jati hai.
Supply aur Demand main Faraq
Supply aur demand zone main aik wazih faraq hota hai, jin levels ko prices baar baar touch karke nechay gerti hai, wo levels supply zone hota hai, jo resistance levels bhi kehlata hai. Jab wo zone jiss se prices baar baar upper side par movement karne ki koshash karti hai, lekin baar baar touch karne par bhi nechay nahi jati hai, to ye position demand zone hota hai, jiss ko support level bhi kaha jata hai. Supply zone par hamesha demand main kami waqea ho chuki hoti hai, jab k demand zone main hamesha supply ki kami hoti hai. Ye area prices k upper ya lower sides par breakout hone k chances hote hen.
Trading
Financial market main aik aseets ki prices updown hoti hai, jiss se traders market main buy ya sell se entry karne profit hasil karne ki koshash karte hen. Traders hamesha supply zone ya resistance level par sell ki trades se entry karte hen, jab k demnad zone ya support levels par buy ki entry karte hen. Agar prices sirf aik mehdod supply aur demand zone k darmeyan trades kar rahi ho to uss sorat main ye range trading hogi, lekin lazmi nahi hai k prices hamesha aik do levels k darmeyan hi trades karen, q k kabhi kabhi ye levels ya zone breakout bhi ho jate hen. Zone ya levels k breakout hone k baad prices new supply aur demand zone create karti hai aur financial market ka silsela chalta rehta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим