What is ladder bottom candlestick pattern?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is ladder bottom candlestick pattern?
    What is ladder bottom candlestick pattern :

    Forex market Mein Jb ap kam Karty Hain To us mein ladder bottom pattern five candles takes pr aik trend reversal pattern hy es pattern mein first four candles black hoti hy jis mein Hr aiK black candles ka open price pehly candles ke close price k bd Hota hy jb k 5 candles aik white candles hoti hy jo K bullish strand reversal ka signal dy raha hota hy yeh pattern price ko zyada purchase hony k bd or over sold situation mein jany sy rokany ke akasi Krti hy or Agr yeh pattern Low price area mein Paya Jay to yeh Bullish reversal ke alamat Hoti hy. ladder bottom pattern teesre or small candles ke wja sey concealing baby pattern sey thoda sa different hy.ese liye es ko smjhna zaruri Hy.

    Identification of these candles:

    Dear members Jb ap market mein kam Karty hain to es mein ap ko bht zyada timetable bna Kr kam karna hota hy or Market mein kabi b jald bazi nahi Karni hoti agr ladder bottom pattern aik bullish trend reversal Hy. Es wja Sey price ka Pehly Sey bearish trend ya Low area hona important hy es pattern mein Shamil first 3 Candles black long Hoti hy Jo aik dusrey ke down open hoti hain or down jakar close Ho Jati Hy. In teenon black candles ke shape three black crows pattern Jsi Hoti jy. pattern mein 4th black candles aik inverted hammer Candles Ban Jati Hy. ladder bottom pattern Mein banney wali last candle aik long white color ke candle hoti hy jo k inverted hammer candles ke open price sey gap mein open hoti hy or third candles ka open position sey bhi Upar jakar close Ho Jati Hy.

    Formation of candles :

    Dear forex members ladder bottom pattern 5 candles pr mushtamil aik bullish stand reversal pattern hy yeh pattern or counceling baby pattern jasi same hi hy. but 3rd candles k elawa leader bottom pattern low price area over sold area Mein banta hy jo k price ko downward jane sey rokata hy es pattern ke important Baat yeh hy k es mein Shamil first 3 candles black inverted hammer banti hy jo is Sy price ruk Jati Hy. 5th candle aik long white candles hoti hy jo inverted hammer candles ke open sey bhi Upar open hy or third candles ke open price sey upar jakar close Hoti Hy yeh aik strong reversal pattern hy jo k price ko low area Mein jane sey rokti hy.

    Trading strategy :

    Dear forex market mein Jb ap trading karty hain to es mein successful trading karny k liye ap ko ladder bottom ko achy tarike sey Smjh Kr trading Krni hoti hy es mein agr ap analysis Kr k trading krty hain to ap ko bht zyada advantages Hasil hoty hain ap ko Koshish Karna Hogi k ap es market mein zyada Sey zyada Apny analysis ko strong Kren Jo members forex market Mein different important analysis pr completely study karty hain un ko maximum advantages available hoty hain ap ko apni achi planning Kr ke kam karna hoga or trading Mein successful hone ke liye hard work krna ho ga.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is ladder bottom candlestick pattern?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Ladder Bottom Candlestick Pattern


    Ladder bottom candlestick pattern prices k bottom par jahan par stock ki supply kam aur demand ziada hoti hai, banta hai, jo k aik bullish trend reversal ka kaam karta hai. Financial market main candlestick patterns ya chart patterns ko supply aur demand ke darmiyan tawazun ko zahir karti hai. Jab koi stock oopar jata hai to buyers matket par control mein hotay hain. Market ki iss situation main supply se ziyada demand hoti hai. Buyers stock haasil karne ke liye ziada active hote hen, jiss se wo ask price par buy karte hen. Jab koi stock fall kar raha hota hai to uss waqat market ki condition iss se mukhtalif hoti hai. Sellers market ko mojooda qeemat par sell karke uss ki qadar main kami karte hen, jiss wo nechay jata hai.

    Click image for larger version

Name:	ladder-bottom-1024.jpg
Views:	1
Size:	66.8 کلوبائٹ
ID:	12429534


    Candles Formation


    Ladder bottom candlestick pattern prices k bottoma main panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli, dosri aur teesri candles long real body main bearish hoti hai, jab k chothi candle aik inverted hammer candle hoti hai, jo k prices k main pause peda karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai ;

    Click image for larger version

Name:	images (80).png
Views:	21
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12429532

    1. First Candle: Ladder bottom candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka close open se nechay hota hai. Ye candle long real body majn hoti hai, jiss main pattern ki real body shadow k muqabele main ziada hoti hai. Ye candle prices k mojoda bearish trend ki akasi hoti hai.

    2. Second Candle: Ladder bottom candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah real body wali hoti hai, jo k pehli candle se nechay banti hai. Dosri candle ka close apne open point se nechay hona chaheye, jab k shadow ki koi ahmeyat nahi hai. Pattern ki dosri candle umoman pehli candle k lower par banti hai.

    3. Third Candle: Ladder bottom candlestick pattern ki teesi candle bhi pehli aur dosri candle ki tarah real body main hoti hai. Ye candle dosri candle k lower main banti hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k real body lazmi bearish honi chaheye.

    4. Inverted Hammer Candle: Ladder bottom candlestick pattern ki fourth candle aik aik inverted hammer candle hoti hai. Ye candle small real body main long upper shadow k sath hoti hai. Inverted hammer candle k lower side par shadow nahi hota jab k color main ye candle bearish hoti hai.

    5. Fifth Candle: Ladder bottom candlestick pattern ki akhari candle aik bullish candle hoti hai, jo k strong real body main banti hai. Ye candle prices main buyers ki mazboti ki akasi karti hai. Ye candle fourth k baad banti hai, jo k pehli ya dosri candle k real body k darmeyan main close hoti hai. Bullish candle ki strong real body se bearish trend khatam ho jata hai, aur market buyers k control main a jata hai.

    Explanation

    Ladder bottom candlestick pattern prices k bottom ya bearish trend main banta hai. Ye candle akhaz main market par sellers ka control, darmeyan main prices ka pause aur akher main market par buyers ka control dekhaya jata hai. Ye pattern panch candlestick par muheet aik bullish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo market par sellers ka control zahir kia jata hai. Pattern ki agli do candles bhi same long real body main hoti hai. Pattern ki chothi candle aik inverted hammer candle banti hai, jo k aik bearish candle hoti hai, ye candle upper long shadow k sath hoti hai, jiss ka lower side par shadow nahi hota. Pattern ki akhari candle aik bullish candle hoti hai, jo k strong real body main hoti hai. Ye candle k open fourth inverted hammer candle k real body k top par gap main hoti hai, jab k close pehli dosri ya teesri candle k real body k darmeyan main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (46).jpeg
Views:	9
Size:	10.9 کلوبائٹ
ID:	12429531

    Trading

    Ladder bottom candlestick pattern main strong bearish trend k baad prices buyers k control main a jati hai, jo traders ko buy ka signal deti hai. Ye pattern low prices area main hona chaheye, jab k last bullish candle k baad aik confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle real body main bullish honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne par pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k oversold area main hone chaheye. Pattern k leye stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower par ya small candles k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (45).jpeg
Views:	9
Size:	32.7 کلوبائٹ
ID:	12429530

    اب آن لائن

    Working...
    X