Pivot point treading kia hota hai.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pivot point treading kia hota hai.
    Assalamu Alaikum dear members Jab aap Forex trading market mein apni working karte hain to ismein aapko technical analysis ko complete karna hota hai kyunki Jab aap technical analysis ko complete kar lete hain to aisi condition mein aapko hamesha different important factors ko study karna hota hai Jab aap technical analysis ki base per market mein trading karte Hain to definitely aapko bahut jyada profit mil sakta hai aur aap market mein bahut acchi trading opportunities ko avail kar sakte hain aaj main aapko market mein technical analysis complete karte hue ek important factors ki details share karne ja raha hun jisko aap market mein pivot point ke naam se jante Hain.

    What is Pivot Point

    Pivot point basically ek aisa point hota hai jisko market daily basis per touch karti hai Jab aap study ko complete karte hain to ismein aapko ek specific point ko find out karna hota hai aur iski properli identification aur calculation karna hoti hai Jab aap market mein is specific point ki calculation kar lete hain to ismein aap according to rules and regulations apni entry Le sakte hain aur ismein reasonable profit hasil kar sakte hain.

    Calculation of Pivot

    Dear member Jab aap is specific point ki calculation karte Hain to iska ek specific method hota hai isko calculate karne ke liye aapko market mein teen different values ko find out karna hota hai aur inko total karna hota hai Jab aap market mein is point ki calculation karna start karte hain to ismein aapko previous days ki teen different values ko calculate karna hota hai sabse pahle aapko market mein previous days ka highest values aur lowest values ke sath sath market mein closing values ko dekhna hota hai Jab aap ine teen different values ko calculate kar lete hain aur usko market mein teen per divide karte hain to aapko ek point find out hota hai jo aapke liye helping platform provide karta hai.

    Interpretation on Pivot

    Dear member Jab aap previous days ke calculation ki base per is point ko find out kar lete hain to ismein aapko interpretation karna hoti hai aur ismein aapko market mein jyada se jyada advantages hasil karne ke liye apni working activities ko find out karna hota hai Jab aap market mein previous days ki base per is point ki calculation kar lete hain to uski base per aapko market mein entry Lena hoti hai agar market use point se upar prices revel kar rahi hoti hai to aisi condition mein aapko seling entry Lena hoti hai aur Agar market mein use point se prices down prevail kar rahi hoti hai to aisi condition mein aapko market mein purchasing karna hoti hai isliye aapko sabse pahle is point ko find out karne ke bad market mein reversal front per entry Lena hoti hai aur apna take profit ki limit use specific point per select karna hoti hai.

    Stop Loss Values

    Dear members Jab aap market mein different important decision making karte Hain to aisi condition mein aapko hamesha risk management ke rules and regulations ko find out karna hota hai aapko hamesha market mein jyada se jyada advantages hasil karne ke liye different factors ko focus karna hota hai aur risk management ke rules and regulations ke mutabik apni decision making karna hoti hai Jab aap is specific techniques ki base per entry lete hain to aapko according tu rules apne entry leni hoti hai aur ismein aapko decision making karna hoti hai kyunki agar aap aisa nahin karte to aapko ismein nuksan ho sakta hai.
    Click image for larger version

Name:	IMG-20220615-WA0000.jpg
Views:	1
Size:	23.9 کلوبائٹ
ID:	12537101
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Pivot point treading kia hota hai.

    Pivot Point

    Forex trading market main jab bhi pivot points ki baat ki jati hai, to ye trading k dowran bohut ziada madadgar sabit hote hen. Forex Pivot Points technical indicators hen, jo traders ko ye batane main help karte hen, k aya forex market ka trend deye gaye timeframe k muqabele main kitna bullish ya bearish hai.
    Forex Pivot Points ka hisab pechle din k prices k high, low aur close k hisab se lagaya jata hai. Forex Pivot Points ki afadeyat aglay din main hoti hai, jab bhi prices pivot point k upper side par trade kar rahi hoti hai to ye bullish hoti hai jab k pivot point k nechay se trading bearish hoti hai.
    Pivot points indicator ki basic main shumar ki jati hai, uss main aam tawar par degar support aur resistance levels shamil hote hen, jo pivot point k hisab par mabni hote hen. Pivot points k ye levels traders ko mumkina prices k support aur resistance levels ki talash karne madad deti hai.
    Iss k elawa agar pivot point k levels se agar prices barh jati hai to iss ka matlab hota hai k maojoda trend issi semat main mazzeed agay jane ka imkaan ziada hai. Pivot point trend lines, Fibonacci levels, RSI, EMA, moving averages, candlestick formations aur dosre indicators se mushabehat rakhta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (415).png
Views:	1
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12401325

    Pivot Point Explaination

    Pivot point ko sahi tareeqay se lago karne par prices ki overall trend aur trend ki tabdeeli ko moasar tareeqay se istemal kia ja sakta hai. Pivot point mustaqil main prices ki support aur resistance zone ki prediction k leye pechle din ki candles ki high, low aur close prices ka istemal karte hen. Pivot points ka sahi istemal trading main bohut ziada faidamand sabit ho sakte hen.
    Pivot points ka istemal dosre technical tools k sath istemal karne par ye aik hi wawat main market main bohut ziada aur achanak buying aur selling ki nishan-dahi karne main madad kar sakte hen, jo forex traders k leye profit aur prices ka breakout honne ka saba bante hen. Pivot points ko har aik timeframe main istemal kia ja sakta hai, aur forex traders ko entry, exit aur stop loss lagane main madad deti hen.
    Jahan aik day trader daily trading k leye har din pivot points ka hisab lagane k leye minutes, hourly aur daily chart ka istemal karta hai, aik swing trader har hafte k leye pivot point ko istemal karne k leye daily, weekly aur monthly data ko analyse karta hai. Dilchasp baat ye hai k bare level k investors bhi pivot points ka faida utha sakte hen aur anne wale saal k leye aham levels ka andaza lagane k leye salana data istemal kar sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (282).jpeg
Views:	9
Size:	48.0 کلوبائٹ
ID:	12401326

    Pivot Points Calculation


    Pivot points prices k leye support aur resistance levels ki indication detti hai iss waja se pivot point k centre price se upper levels ko "R" se jab k lower prices ko "S" se zahir kia jata hai, jaise R1, R2, R3 aur S1, S2, S3.
    Pivot point k sab se zarori levels main pehli resistance level "R1", pehli support level "S1" aur asal pivot point level shamil hai. R1 aur S1 k darmeyan fasela aam trading range ko zahir karti hai.
    Dosre pivot points k levels aam trading range k upper aur lower sides tak pheli howe hoti hai. Jab bhi prices ki movement "R2" ya "R3" tak pohunch jati hai, to market ki ye condition overbought zone hoti hai. Jab prices ki movement "S2" ya "S3" tak jati hai to ye condition oversold zone ban jati hai. In levels main traders market main entry ki bajaye trades ko exit ya close karna ziada tarjeeh deta hai.
    Pivot point k levels malom karne k leye pehle main pivot point ki calculation ki jati hai:


    Pivot Point (PP) = (Daily High + Daily Low + Close) / 3

    Pehle pivot point ki calculation karne k baad wale pivot points ko malom kia jata hai.

    Calculating the First Pivot Resistance and Support


    R1 = (2 x Pivot Point) – Daily Low

    S1 = (2 x Pivot Point) – Daily High

    Calculating the Second Pivot Support and Resistance


    R2 = Pivot Point + (Daily High – Daily Low)

    S2 = Pivot Point – (Daily High – Daily Low)


    Calculating the Third Pivot Point Support and Resistance

    R3 = Daily High + 2 x (Pivot Point – Daily Low)

    S3 = Daily Low – 2 x (Daily High – Pivot Point)

    Click image for larger version

Name:	images (416).png
Views:	6
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12401327

    Pivot Point aur Fabonacci Levels main Faraq


    Pivot points aur fabonacci levels (retracement and extension) dono prices k mumkina support aur resistance zone ko malom karne main madad karte hen. Fabonacci retracement aur extension aam tawar par maojooda trend k high aur low k sath munsalik hote hen, yanni fabonacci lines ko prices k top aur bottoms k darmeyan draw kia jata hai, jab k pivot points ka hisab automatically pechli din k candles se kia jata hai. Fabonacci levels ka hisab percentage se lagaya jata hai jab k pivot point main percentage ka hisab nahi hota. Pivot point main fixed numbers par mabni hai, yani k pechle din k high, low aur close price.

    Pivot Point Trading Strategies


    Forex market main pivot point ko istemal karne ka aik moasar tareeqa resistance levels par sell karna aur support levels par ferokht karna hai. Iss k elawa aap resistance level k upper aur support level k nechay stop loss set kar sakte hen. Jab bhi prices support levels ko touch karti hai to traders k leye aik achih opportunity hoti hai k wo market main buy ki entry karen, jab k resistance level par market main sell ki entry ki jati hai.
    Trend confirmation k leye pivot point ko dosre reliable indicator ya money flue index indicator k sath bhi istemal kia ja sakta hai. Misal k tawar par agar jab prices pivot point k resistance level ko touch karti hai aur prices RSI indicator par bhi overbought position par hon, to yahan par sell ka signal peda hoga, jab k buy k signal k leye pivot point ka support zone ya level main hona chaheye jab k RSI indicator main prices ka oversold position par honna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (283).jpeg
Views:	6
Size:	37.9 کلوبائٹ
ID:	12401328
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Pivot point treading kia hota hai.

      Pivot point sy kia murad hy?

      Pivotpoint se murad wo point jis pe aik trend rukh jata hai, aur us point tak market ki price pohunchne k bad bar bar wapis ati hai. Jab bhi aik continue trend forex trading market me chahay wo upward side pe ho ya downward side pe aik khas position ko touch karne k bad reverse ho jata hai aur us k bad trend reversal ho jata hai forex trading ka pivotpoint hota hai. Is point pe market ki prices pohunch to jati hai lekin is point ko break up nahi karti hai. Forex trading me jab bhi ye point break ho jata hai to ye pivotpoint nahi rehta hai. Pivotpoint se trend reversal ho jata hai. Forex trading me aksar hum indicators pe dekhte hen k wo mukhtalif qisam ki resistance aur support levels ko show karti hai jis se trends wapis ati hai. Pivotpoint hamare risestance aur support levels ka wo last point hota hai ji se trend ne return back karna hota hai.

      Click image for larger version

Name:	444444.png
Views:	21
Size:	4.7 کلوبائٹ
ID:	12402938


      Importance of Pivot point:


      Forex trading me is
      point ki bahut jyada importance Hoti Hai Jab aap Forex trading me Ishq point ki proper calculation kar lete hain To Aisi situation main aapko bahut best entries mil sakti hai no doubt Forex trading Mein yah Kaisa point Hota Hai Jiski basis per per aap apni different decision-making complete kar rahe hote hain Diye Jab Bhi aap market ko is point ki basis per differentiate kar rahe hote hain aur isko comparison ki basis per decision making Karte Hain To aap apne best results produce karne mein bahut jyada help Hasil kar sakte hain.

      Click image for larger version

Name:	666666666666.jpg
Views:	1
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12402941


      Pivot point and their Usage:

      Forex trading ma hamy pata hai k ham market ki support or resistance ko samaj kar trade karyn to profit ko hasil karna bhot easy ho jata hai. But agr ham market ki support or resistance ko ignorr kar deyn to hamary lae profit ko hasil kar pana bhot mushkil ho jata hai.
      Pivot points ma ham market ki support or resistance ko mazeed smaller points ma divide kar lety hain jis k bad hamy market ko smajnay ma or b asani hoti hai. Agr ham market ko samajy gy ni or tokky sy trade ma in hony ki khosis karyn gy to hamy etna loss ho ga k account bacha pana he mushkil ho jata hai. Forex trading ma pivotpoint ko draw karna ah jae to trader ko bhot asani hoti hai or wo asy entery point hasil kar leta hai jo har trader ko hasil ni hoty. So ham ye keh sakty hain k hamy apni trades ko pivot points k sath manage karna chahe or es base par he trade ko open or exit karna chahe.

      Click image for larger version

Name:	555555555555.png
Views:	9
Size:	5.6 کلوبائٹ
ID:	12402939

      اب آن لائن

      Working...
      X