Bid and Ask Prices
Jab bhi financial markets open hotti hen to day trading markets (jaise; stocks, futures, forex, aur options) teen mukhtalif prices real-time main update hotte hen, jiss ko bid, ask aur last prices kaha jatta hai. Ye markets ki bohut aham aur maojooda prices k bare main information detti hen. Bid price wo qeemat hotti hai, jiss par trader markets main stock ko khadeed letta hai, jab k ask price main trader market main stock ko ferokht kartta hai.Bid aur ask price k elawa bhi aik qeemat hotti hai, jiss ko last price price kaha jatta hai. Last prices main stock ki akahari qeemat hotti hai, jiss k baad market close ho jatti hai.
Bid Price
Bid price sab se highest price hotti hai, jiss par trader uss waqqat market ki maojodda qeemat main buy ki entry kartta hai (yahan par trader stock khareedta haiaur tawaqa kartta hai k ye mazzeed upper jayega). Poree dunyya se sarmayakari honne ki waja se qeematen bohut teezen se tabdeel hotti hai. Jab bid ka order deyya jatta hai, to iss baat ki koi guarantee nahi hai, k bid laggane wale trader ko utne hi shares, contracts ya lots lazzmi melengy. Financial market main lain dain k leye khareedar (buyer) aur ferokht kunanda (seller) ki zarrorat hotti hai. Iss waja se bid ka order denne wale ya shares khareedne wale k leye sellers ki zarrorat hotti hai.
Bid Price Example
Aggar kisi stock ki mojooda qeemat $50 dollar hai, to trader $50 dollar par trade k limit order put kar saktta hai, lekin aggar prices $45 dollar par a jatti hai to $45 se upper jitnni bhi bid order hongay wo sare op3n ho jayengay, uss k baad hi $45 wala order open hogga.
Trader ko bid ask spread kam se kam karnna chaheye, mesal k tawar par aggar market ki maojooda bid price $10.1 hai aur ask price $10.3 hai to trader aggar trade open kartta $10.1 par bid ka order degga to ye $10.3 par put hogga, iss waja se trader ko limit orders $10.2 ki position par set karnni chaheye, to iss tareeqay se wo bid ask spread price ko mehdood kar saktta hai.
Bid Exit and Options
Aggar aik seller khareeda howa stock ko exit karke aur yahan par ferokht ka oder detta hai (yanni sell ki entry karrne se pehle buy trades ko close karen) to ye market k maojooda bid price par sell hongay. Yanni market ki bid price par sell ka order open ho jayegga.
Traders k pass bohut sare mawaqe hotte hen, market main orders enter karrnw k leye. Wo market k maojooda bid price se nechay ya upper par bid lagga saktte hen. Maojooda bid position se above par bid price set karne se bid-ask-spread kam ho jatta hai.
Ask Price
Ask price market ki maojooda wo kam se kam qeemat hotti hai, jiss par trader stock ko ferokht kartta hai. Dosre exchange prices ki tarah ye bhi trader k market main reaction aur prices ki movement se tabdeel hotti hai. Aik baar pher, iss baat ki koi guarantee nahi hai k trader aggar shares, contracts ya lot ka order detta hai aur wo lazzmi filled hongay. Ferokht kunannda orders k keye buyers ki bhi zarrorat hotti hai.
Ask Price Example
Aggar kisi tock ki mojooda qeemat k mutabiq koi trader ask limit order set karrta hai aur wo qeemat $50 ho, to qeemat ki bid price iss level par sare order ko fill kar degga lekin aggar koi order $55 par limit k leye set howa ho to uss se pehle jitnne bhi lower satah k orders hongay wo fill hongay uss k baad $55 ka order fill hogga.
Ask Exit and Options
Jiss tarah se bid price k trade ko last main kisi high price par close kia jatta hai, issi tarrah se ask price k trades ko bhi lower position par profit k leye close karke market main buy ki entry ki ja saktti hai. Jab bhi ask ki trades ko close kia jatta hai to ye market ki maojooda bid price k mutabiq band hotti hai, jiss main prices k mazeed nechay na janne ya reversal honne k ishare hotte hen. Ask price bid price se ziadda hotti hai, aur market order main ye bid price par sell k trade k hisab se open hotti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим