Asslam.u.Aliakum Dosto...
dear friends kya haal hai aapke umeed karta hun aap thik Honge aur Forex trading Mein acchi kamyabi Hasil kar rahe Honge future mein Main Ham apni profit ratio ko ziyada Se ziyada Behtar karne ke liye Aur loss ke ratio Ko kam se kam karne ke liye Hamesha ham Forex trading ke bare mein education Hasil Karen Iske bare mein ziyada Se ziyada information ho Jitna ziyada knowledge hoga Ham ziyada Kamyab Honge Or knowldge ke sath sath experience ki Bhe zarurat hoti hai aur experience Milta Hai Bar Bar practice karne se aur study krne se is liye main apse aj piercing Line Candlestick pattern k bary apse kuch information share krta hun.
What Is piercing Line Candlestick Pattern ?
dear friends ye patteren aik do din ki candlestick qeemat ka patteren hai jo neechay ki janib rujhan se upar ki janib rujhan ki janib mumkina mukhtasir muddat ke ulat jane ki nishandahi karta hai. pattern mein unchai k qareeb pehle din ka khilna aur ost ya barray size ki tijarti had ke sath kam ke qareeb band hona shaamil hai. is mein pehlay din ke baad aik waqfa neechay bhi shaamil hai jahan dosray din tijarat shuru hoti hai, kam ke qareeb khilna aur bulandi ke qareeb band hona. close aik candle stuck bhi hona chahiye jo pichle din ki red Clcandlestick k real body ke upar ki lambai ke kam az kam nisf hissay par mushtamil ho.
Explanation:
Ye trading mein hum ko last mein nazar aye ga piercing line pattern aik market price main bottom say down trend ki revers honay say start hota hai is pattern ki starting aik long creverse sell candle k sath hoty hai aur usk sath he aik bullish candle ban kar is pattern ki confirmation karta hai Piercing line pattern k sath trade karnay k liye isk rules ko follow karna bahut zada important hai jab market k chart main is pattern ki starting hoty hai to isk second candle ki body 50% down banty hai Piercing line pattern main price gaps k sath down starting karty hai jiska aik screenshot aap neechay daikh saktay haines pattern ko findout karny ky bad hum es ko trend reversal signal bhe samjh skte hain.
How To Identify:
Pattern ban.ne se pehle aik bearish trend t ka tasalsul hona chahiye.
Pattern ki pehli candle black honi chahiye.
Black k bad white candle ban.ni chaheye jo k black candle se gap me ban.ni chahiye.
White candle ki closing position black candle ki real body k midpoint ya us se nechay hona chaheye yaani white candle ki real body black candle se bari hogi.
Trading With Piercing Line Candlestick Pattern:
piercing line candlestick pattern strong bullish trend ki signal hai, jo traders ko market me buy entry k leye aik achi opportunity hai. Traders jab bhi market me piercing line pattern dekhen to market me buy entry k leye apne apko tayar rakhen q k market me buying dabao ka izafa hota hai. Candle stick pattern k bad agar teesri candle bhi agar white banti hai aur wo dosri white candle k above band hoti hai to is se pattern ka signal aur bhi mazbot ho jayega first black aur second white candle k darmeya gap ka hona zarori hai, tab hi candlestick ka pattern complete hota hai. 3rd candle stick pattern ki confirmation k mazboti k leye hai, lekin us k bagher bhi market buy k leye tayar hota hai. Stop loss white second candle k nechay hona chahiye jahan se candle shuru hui thi.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим