Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Tri Star Candlestick Pattern
Bearish Tri Star Candlestick Pattern ya Tri Star at the Top Candlestick Pattern ka shumar bearish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k top par ya bullish trend main banta hai. Ye pattern teen small candles ya doji candles par mushtamil hota hai. Pattern k teeno doji candles aik dosre se up air down gap main open aur close hotte hen. Ye pattern prices k top trend main to bannta hai lekin sath hi sath bullish trend ki kazzorri aur bearish trend main prices ka reversal honne ka bhi sath ishara detta hai. Pattern k doji candles small shadow wali hoti hai, yanni ye umoman star doji candles hoti hai, jiss se pattern ki tarteeb sahi banta hai.
Candles Formation
Bearish Tri Star candlestick pattern ya to waqfay k baad prices main banta hai, ya bohut dump market main banta hai, is waja se normal trend main bohut kam hi bannta hai, is waja se prices pehle se hi top trend par hotti hai. Ye pattern "Bullish Tri Star Pattern" ka opposite hai jo k bottom par bannta hai. Pattern main shamil candles ki tartteeb darjazel trah se honi chaheye ;
1. First Candle: Bearish tri star candlestick pattern main pehlee candle aik doji candle hotti hai, is waja se is candle ko neutral candle tasawar kia jatta hai. Pehlee candle k aggar open aur close point same na bhi ho, lekin aik dosre k qareeb hon to bhi ye aik doji candle tasarwar hoggi, chahay wo kisi bhi color ki q na ho.
2. Second Candle: Bearish tri star candlestick pattern ki dosree candle ziadda tar ek star doji candle hotti hai, jo k pehlee candle se upper side par gap main open aur close hotti hai. Dosree candle ki aik small body acceptable hai, lekin bohut ziadda wazih real body na ho. Ye candle bhi aik neutral candle hotti hai, aur kisi bhi color ki ho saktti hai.
3. Third Candle: Bearish tri star candlestick pattern main teesri candle bhi same aik doji candle hi hotti hai, jo k dosree candle se nechay gap main open aur close hotti hai. Teesri candle ziadda tar pehlee candle k parallal main bantti hai.
Explanation
Bearish Tri star candlestick pattern main teeno doji candles banne ki waja se market k dumpness ki nishani hoti hai, iss waja se ye ek unique teen candles par mushtamil bearish trend reversal pattern hai, jis main shamil teeno candles doji candles hotti hai aur ye candles aik dosre se up aur down gap main open aur close hotti hai. Bearish tri star candlestick pattern main pehlee candle k baad dosree candle gap main top pe bantti hai, jo k ziadda tar aik doji star candle hotti hai. Ye candle pattern main mukammal tawar par neutral candle hotti hai. Teesri doji candle pehli candle k parallel jab k dosri doji se nechay gap main banti hai. Bearish tri star candlestick pattern main lazmi nahi k teeno candles doji hi hon, q k pattern main aggar doji candles ki bajjaye teeno candles ki small real body bantti hai, to bhi ye acceptable hai, chahay wo jiss color ki bhi bantti ho, lekin candles k darmeyaan main gap zarrorr hona chaheye. Bearish tri star candlestick pattern top trend main bantta hai aur ye prices k bullish trend trend ki kamzzorri aur khatme ka bahiss bantta hai.
Trading
Bearish tri star candlestick pattern prices k top ya bullish trend main banne ki waja se traders k leye selling opportunity hotti hai, k wo market main is pattern se zarror faida hasil karen. Dosra ye pattern aik long timeframe par bohut ziadda reliable aur accurate signal detta hai. Pattern k leye zarrori awamel jaise doji candles aur us k darmeyyan main gap zarror banna chaheye. Tri star pattern k top trend par banne k baad confirmation candle ka honna zarrori hai, q k dojji candles ya dosre small real body wali candles aam tawar par neutral tasarwar ki jatti hai. Pattern k teesree doji candle k baad bearish candle zarror hona chaheye ya kam az kam kisi reliable indicator ka bhi sahahra leyya ja saktta hai. Beariah candle k baad market main sell ki entry karen jab k Stop Loss pattern k sab se top point ya dosree candle k top price se ek ya do pips upper par set karren, q k ye position trend k leye resistance level sabit hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим