How to high way candlestick pattern with forex importance ,,,,
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to high way candlestick pattern with forex importance ,,,,
    Aslam o alaikum

    Introduction

    Hi dear friend ummid karta hun sab dost khairiyat se honge aur apna Kam samajhdari ke sath complete kar rahe honge aur success Hasil kar rahe honge ummid karta hun ki aap daily base per apna experience senior members aur Junior members ke sath share kar rahe honge aaj ka jo hamara topic hai vah hai highway channel se pattern ke bare mein kaise highway per Ham trade Karke benefit Hasil kar sakte hain aur apni trading profit table kar sakte hain ,,,


    How to high way candlestick pattern ,,,,

    ye aik single candle hoti ha, jis ki small real body hoti ha lakin is ki upper aur lower wicks large hoti hain, ye candle b doji ya spining top ki tarah market ma indecisions ko zahir karti ha, lihaza traders is candle ki base par trade ma entry nhi kartay kiun kay yeh aik kafi risky decision ho sakta ha, ye market ki direction kay change honay ka signal consider kia ja sakta ha, market k trends ki bottom ya high par bht saray high wave candle patterns bn rahay hitay hain jo iski changing direction ko indicate kartay hain,,,

    Click image for larger version

Name:	images (27).jpeg
Views:	7
Size:	8.7 کلوبائٹ
ID:	12536491

    Construction and identification of high wave candle ,,,,

    ye aik long bullish ya bearish candle hoti ha jis ki real body small hoti ha aur is kay above aur below long shadow ya wicks hoti hain, is candle ma opening aur closing points same nhi hotay, high wave ki construction long legged doji ki tarah hoti ha, ye bhi hmain market ki indecision ka btati ha, is candle ki importance market ki position sa hi pata chalti ha, is pattern ma ye hi idea hota ha kay throughout perticular period bulls aur bears market ko move karnay ki koshish ma hotay hain lakin end ma dono kamyab nhi ho patay, lihaza supply aur demand ki forces same honay ki waja sa market koi clear direction predict nhi kar pa rahi hoti, is tarah ki conditions ma traders ko volume aur prices ka previous data use karna chaiay ta kay thek direction determine kar sakain ,,,,

    Click image for larger version

Name:	images (16).png
Views:	13
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12536492
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How to high way candlestick pattern with forex importance ,,,,

    Assalamu Alaikum Dosto!


    High Wave Candlestick


    High wave candlestick aik single small real body candle hone ki waja se analysis main bohut ziada istemal hoti hai. Japanese candles ko is wajah se trading ke dauran analysis mein zyada pasand kiya jata hai, kyunki ye candles single candle hone k bawajood bhi aik complete pattern tashkeel deti hai. Jab bhi ye single candlesticks prices k top ya bottom main paye jaati hai, to uss waqt ye trend reversal ka kaam karti hai. Single candle mein doji candles aur small real body wali candles akele ya dusre candles ke sath prices main leading indicator ka kaam karti hai. High wave candlestick prices ke top ya bottom mein trend reversal pattern ka kaam karti hai, jab ki yahi candle sideways market mein neutral candle tasawar ki ki jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (47).png
Views:	8
Size:	5.6 کلوبائٹ
ID:	12429066

    Candles Formation


    High wave candlestick prices k top par akele hi trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle small real body bhi aik strong position rakhti hai, jiss ki technical analysis main bohut ziada ahmeyat hai. High wave candlestick ki formation darjazzel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (48).png
Views:	12
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12429067

    High Wave Candle: High wave candlestick small real body k hone ki waja se ye candle bullish aur bearish dono tarah se hoti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal jab k prices k top par bearish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle aik small green ya red real body rakhti hai, jiss k upper aur lower sides par aik long shadow ya saya hota hai.

    Explanation

    High wave candlestick k banne ki pechahay ki psychology ka inhisar traders par munhasir hoti hai, jab bhi buyers ya sellers prices ko kisi khas semat main move karne k baad wapis dosri semat main same pressure se push karte hen. Lekin kahani yahan khatam nahi hoti, bulke din k ikhtetam tak prices wapis apne aghaz wali position k qareeb a kar close ho jati hai. Iss soratehal main jo candle banti hai, wo High wave candle hoti hai. Ye candle small real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close same point par nahi hota hai, jab k upper aur lower sides par long shadows hota hen. Shadow length main taqreeban dono sides par same hota hen, jo buyers aur sellers ki barabari ko dekhati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (46).png
Views:	7
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12429068

    Trading

    High wave candlestick prices k top par ya bottom main ziada behtar tawar par kaam karti hai. Normal ye candle neutral tasawar ki jati hai, q k iss ki aik to small real body hoti hai aur dosra iss ka shadow kisi aik side par size ziada nahi hota hai. Bearish market main bullish trend reversal k leye buy ki entry ki ja sakti hai, jab k bullish trend main bearish trend reversal k leye sell ki entry k trades open keye ja sakte hen. Candle par trading se pehle long timeframe ka hona zarori hota hai, jab k trend reversal k leye confirmation candle ki bhi zarorat hoti hai. CCI indicator aur stochastic oscillator par trading k dowran support aur resistance levels ya overbought aur over-sold zone hona chaheye. Stop Loss candle k low ya high prices se two pips below ya above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (49).png
Views:	15
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12429071

    اب آن لائن

    Working...
    X