Short term aur long term trading main difference
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Short term aur long term trading main difference
    Short term and Long term Trading

    Forex Trading ho ya stock trading hamesha aik trader ko ye baat made-nazar rakhni chaheye k trading k kuch basic osolon ko lazmi apnaye aur hamesha apne trading ka dowraneya muntakheb karen. Forex trading market me trading dowraneye ki bohut ziada ahmeyat hai. Lekin is ka inhisar trader ya investor k pas maojood sarmaya par muhasir hai. Forex trading me aam tawar par traders do (two) dowraneyon k hisab se analysis karte hen; short term analysis aur long term analysis.

    Click image for larger version

Name:	images (6) (96).jpeg
Views:	1
Size:	24.4 کلوبائٹ
ID:	12536439


    Short term trading


    Short term ki trading me scalping strategies, hedging strategies aur day trading k tareeqay kar shamil hen. Chonkeh ye trading mukhtasir waqfay par muheet hoti hai is waja se is ko short term ki trading kaha jata hai. Short term ki trading me one minute (M1) ki candlestick se hourly (H1) ki candle sticks pattern istemal hoti hai. Short term trading me sarmaya kar kam arsay tak apne sarmaye ko trading me istemal karte hen. Jab in k sarmaye ka hujam bhi aksar kam hota hai. Short term trading me technical analysis, news trading, financial events waghera ka bhi sahara leya jata hai.

    Benifits of Short term trading

    (1) Short term ki trading me munafa jaldi melta hai.
    (2) Short term trading me loss bhi kam hota hai.
    (3) Short term trading me ziada sarmaye ki zarorat nahi hoti hai.
    (4)Forex ka knowledge kam hone ki sorat me financial events ya news per b trading ki ja sakti hai.

    Drawback of Short term trading

    (1) Short term trading me risk ziada hai.
    (2) Munafa to jaldi melta hai, lekin kam hota hai.
    (3) Short term trading k leye knowledge, experience, analysis aur trading skills ki ziada zarorat hoti hai.

    Long term trading


    Long term trading me ziada sarmaya, ziada waqat aur bari planning darkar hoti hai. Forex trading me long term trading k leye k bare time frame k candle stick istemal hote hen, jin ka dowraneya H4 se W1 tak ho sakta hai. Forex trading me long term trading is waja se bhi aham hai, q k is k kamyabi k chances bhi ziada hote hen aur is ka munafa bhi ziada melta hai.

    Benifits of Long term trading

    (1) Trading ka dowraneya ziada hone ki waja se kamyabi ka ratio ziada hai.
    (2) Bar bar trading techniques nahi badalni parti, q k long term ki technical analysis asan hoti hai, banisbate short term trading k.
    (3) Munafa ziada melta hai.
    (4) ziada sarmaya hone ki waja se risk kam hoti hai.

    Drawbacks of Long term trading

    (1) Long term trading k ziada sarmaya chaheye hota hai, jo har kisi k bas me mumkin nahi hai.
    (2) Long term trading me risk to kam hota hai, lekin loss ki sorat sarmaya ka nuqsan bhi ziada hota hai.
    (3) Munafa k leye bohut ziada intezar karna parta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Short term aur long term trading main difference

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Short-Term aur Long-Term Forex Trading

    Forex trading short term aur long term dono trading k leye maozon plateform hai. Forex market main traders par depend karta hai, k wo short term trading karna pasand karte hen, ya long term ki trading, q k dono k apne apne fawayed aur nuqsananat hen. Forex trading maon apne profit ko ziada se ziada aur risk ko kam se kam karne ka behtareen tareeqa market ko samajhna aur aur apne trading plan k hisab trading ka amal karna hota hai.
    Short term ki trading ka inhisar currencies k prices ki bohut ziada volitilety aur kam waqat main munafa hasil karne par hoti hai, jab k long term ki trading main fundamental anasir ko made nazar rakh kar waqat k sath lambey arsey tak aram se munafay hasil karne ka amal hai. Bari companies ziada tar long term ki trading karne main dilchaspi rakhte hen, jab k kuch inferadi trader computerck zarye se technical analysis ki madad se trading kam waqat main munafa hasil karte hen.

    Click image for larger version

Name:	download (16).png
Views:	1
Size:	11.3 کلوبائٹ
ID:	12401145

    Short-term Trading

    Forex trading k short term ki trading strategy main trades ko lambay arsey ki bajaye kam waqat k leye trades ko open rakhte hen. Short term ki trading main position ko minton, ghanton ya aik din k leye trades main rakhe jate hen, lekin aam tawar par saat (7) din se ziada nahi, jiss k nateejay main kam waqat main ziada munafa hasil ho jata hai. Ziada tar forex broker is trading strategy ko faida mand qarar dete hen. Lekin risk ki waja se ye trading hikmate amli ziada khatarnak hai, jo iss ka aik tareek pehlo hai. Har aik trader price volitilety ko bardasht nahi kar sakta hai. Risk management rules aur regulations ko follow karne se risk ko kafi had tak kam kia ja sakta hai.
    Jinn traders ko riak management k osolon ka elam nahi hai, khas kar k new traders unn k leye short term ki trading unn main bohut maqbol hai. Short term ki trading ki risk ko kam karne k leye bohut cheezon ki zarorat parti hai. Ye trading techniques traders k market k bare main knowledge, experience aur trading skills khas kar technical analysis se bohut ziada asar andaz hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (392).png
Views:	3
Size:	14.4 کلوبائٹ
ID:	12401146

    Advantages of Short-term Trading

    • Fori Munafa
    • Short term trading ka sab se bara faida ye hai k iss main munafa bohut jaldi hasil hota hai. Jab bhi market open hoti hai aap uss main se faida hasil kar sakte hen. Aik short timeframe main aap jaldi assets khareedne aur ferokht kar sakte hen. Jo aap ko apne peso par control de sakta hai.
    • Munafa ki Dobara Sarmayakari
    • Short term k trading main aap apne sarmaye ko ziada kar sakte hen, aur hasil honne wale muafa par dobara trading bhi kar sakte hen, jiss app apne sarmaye ko mazzeed barha sakte hen.
    • Risk ko Kam Karna
    • Short term ki trading main chonkeh trader din k ihtetam par apne trades ko close karte hen, iss waja se wo apne account k risk ko kam karte hen, jiss se raat k dowran market ki volitilety k nuqsan se mehfoz raha ja sakta hai.
    • Behtar Munafa
    • Short term k trading main trader market k mukhtasir mudat k up down se faida uthate hen, jiss se wo kam waqat main behtar faida hasil karte hen. Ye aik behtareen opportunity hoti hai, k market k prices k up down jane se traders ko profit melta hai.


    Disadvantages of Short-term Trading
    • High Volitilety
    • Short term ki trading main sab se bara masla, jiss se traders ko bohut ziada loss ho sakta hai, wo high Volitilety ka hai. Volitilety ki waja se ziada tar log iss trading se hichkechahat mehsos karte hen.
    • Unpredictability
    • Short term ki trading main sab se bara masla prices ki semat malom karna bhi hota hai, jo k aik qisam ka mushkil kam hai. Qeematon k sahi semat ka aghalat andaza lagane se bhi ziada loss ho sakta hai.
    • Technical Analysis
    • Forex trading ka sab se mushkil kam ahi, jiss k karne k leye ghanton ghanto computer k samen bethna parta hai. Technical Analysis se hi traders market main prices ki agli movement ko predict kar sakte hen, lekin nakami ki sorat main loss ka bhi khatra hota rehta hai.


    Long-term Trading


    Forex trading k hawale sab se kam trading techniques hai, jiss main trades hafton, maheeno aur yahan tak salon k leye market main open hote hen. Trades k overall trend ka pata lagane k leye long term k tools ka istemal ziada aham hota hai, jiss main volitilety kam honne ki waja se false signal nahi hote hen, jo short term k trading k leye istemal hote hen.
    Long term ki trading weekly aur monthly chart patterns k sath technical aur fundamental dono tarah ki analysis par inhisar karti hai. Iss trading strategy main traders long term k leye trades open keye hote hen. Short term ki trading ko bohut sare traders tarjeeh dete hwn, lekin long term ki trading aik to ziada kamyab rehti hai aur dosra ye ziada munafa bhi deti hai, jiss se traders sahi strategies ka istemal karte howe risk ko kam kar sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (269).jpeg
Views:	1
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12401147

    Advantages Of Long-Term Trading

    • Low Commission
    • Long term ki trading main chonkeh trades ziada arsa k leye open rehte hen, iss waja se iss par brokers ki taraf se lagat kam ati hai, jiss se traders ko ziada commission pay nahi karna part hai.
    • Short Time
    • Long term ki trading main main prices k volitilety weekly ya daily base par honne ki waja se kam hoti hai, jiss se chart pattern bohut achahy aur wazih nazar ate hen. Market analysis aur chart pattern par ziada waqat nahi lagaya jata.
    • Low Stress
    • Short term ki trading main loss hone se stress bhi ziada hoti hai, jiss se baar baar market ka tazeya karna parta hai, jab k long term ki trading main baar baar market ko nahi dekhna parta hai, jiss se loss hone k bawajood bhi stress kam hoti hai.
    • Quality Signal
    • Long term ki trading ka signal short term ki nisbat ziada reliable hote hen, jiss se uss se munafa bhi achah melta hai. Trend hamesha long term k timeframes ka ziada reliable hota hai, jab k chart pattern aur candlestick pattern bhi long term k achah result deta hai.
    • Low Risk
    • Ye long term ki trading ka sab se bara fayda hai k uss main risk bohut kam hota hai. Iss main overnight par trades jane par bhi koi masla nahi hota hai k baar baar trades ko open karke ch3ck kia jaye.


    Disadvantages Of Long-Term Trading

    • Achahy Moqa ka Zaya Hona
    • Long term ki trading main achahy moqa jo zuada tar volitilety main hota hai, wo zaya ho sakta hai. Yanni long term k traders volitilety k kam ya zuada honne se faida hasil nahi kar sakte jiss tarah se short term k traders karte hen.
    • Sabar Se kaam lena
    • Long term ka trading months aur years mar muheet ho sakta hai iss waja se months aur years tak iss tak profit k leye intezar karna parta hai, jo k aam trader ya new traders to bulkul nahi kar sakte hen.
    • Fundamental Knowledge
    • Long term ki trading k leye fundamental knowledge ka hona bohut ziada zaroei hai, jiss se har waqat almi dunya k social, political aur economical soratehal se bakhabar honna zarori hai. Fundamental analysis iss kam main bohut ziada aham hai.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Short term aur long term trading main difference

      Assalamualaikum dear forex members Meri aj ki post aik different topic py Hy forex trading ka knowledge itna ziada Hy k hum jitna mrzi seekhty Jain lakin hum kabhi Bhi complete knowledge gain ni kr lety q k choty choty points khien na khien hmary reh jaty Hain har roz hum trading krty Hain or sath Sath hmain forex ki information bhi gain krty rehna chahie jab tak forex Sy seekhty rhain tab tak kamyab hoty rhain gy or ager apko lgta hy k ap ny forex ka complete knowledge gain kr Lia Hy to apko Galt lgta hy q k forex ka knowledge itna ziada Hy k kabhi complete nahi ho skta is liay apna Kam Bhi krain or sath Sath trading k bary me seekhty rhain.

      🌟Short term trading:
      Friends jesa k apko is k nam sy hi andaza ho rha ho ga short term means Kam time me Aisi trading Jo k Kam time me complete ho usy short trading kehty Hain or short trading amm Tor par choty level k traders krty Hain Jo traders investment nahi krty or posting kr k bonus hasil krty Hain or phr us bonus sy trade krty Hain to aisy traders hmesha short trading krty Hain choti choti market ki movement sy wo earning krty Hain market ki movement Chun k har time continue rehti Hy or movement me har time choty choty up and down aty rehty Hain or choty traders is movement sy faida hasil krty Hain or yhien sy achi earning hasil kr lety Hain.

      Click image for larger version

Name:	IMG_20220616_073520.jpg
Views:	1
Size:	101.3 کلوبائٹ
ID:	12401214

      🌟Long term trading:
      Friends long term trading ka matlb yh Hy k kab market me achanak sy aik bohat ziada high ya bohat ziada low situation ati Hy to us me trading krny sy hmain bohat acha profit hasil hota Hy Jo high level k traders Hain wo long term trading hi krty Hain unhain unhain market ki choti choti movements sy koi frak ni prta yeh wo traders hoty Hain Jo bohat bhrdi investment krty Hain high level k traders k liay hi long term trading best rehti Hy Jo log bonus Sy trading krty Hain wo ager long term trading na krain to un k liay ziada behtar yehi Hy jab market bohat ziada up and down ki movement show krti Hy to high level k traders ko faida hota hy.

      Click image for larger version

Name:	IMG_20220616_073614.jpg
Views:	1
Size:	95.1 کلوبائٹ
ID:	12401215

      🌟Explaination:
      Friends profit hum dono tareeqon sy hi hasil kr skty Hain chahy long term trading ho ya chahy short term trading ho profit hmain dono sy hi milta Hy ager hum log short term trading krty Hain to hum bohat achi earning kr skty Hain or Mera manna yh Hy k short term trading ziada best Hy q k market me high change to bohat dair bad ata Hy or long term trading sirf high investment krny walon k liay hi thk Hy choty traders sirf short term trading py focus krain q k wo yahan sy bohat achi earning kr skty Hain.

      Click image for larger version

Name:	IMG_20220616_073614.jpg
Views:	1
Size:	95.1 کلوبائٹ
ID:	12401215

      اب آن لائن

      Working...
      X