shooting star candle stick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    shooting star candle stick pattern
    what is shooting star candle stick pattern;



    shooting star candle stick pattern ke tashkeel bearish reversal candle stick pattern say hote hey jo keh serf aik candle stick pat moshtamell hota hey yeh forex market mein os wakt banta hey jab price ko zyada dahkail deya jata hey or price ko fore tor par nechay ke taraf reject kar deya jata hey takeh esay aik long wick kay opar ke taraf chor deya jay long wick mein shoting star candle stick ke kull lambai mein ka kam say kam half part layna chihay nechay de gay tasweer ko daikhen
    Click image for larger version

Name:	shooting-star-candlestick-pattern_body_2019_05_02_13_06_48_Window.png
Views:	16
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12536431
    mazeed yehkeh close honay wale price candle stick ke low price kay zyada close hote hey jaisa keh ap nay daikha hey yeh overall tr par bearish ka dahncha banata hey kun keh prices apni high trade ko barkarar rakhnay kay kabel nahe then
    reversal hammer kay sath es tarah ke identification ka analysis karna chihay or forex market mein inverted hammer ka taloq reversal signal say hota hey jaisa keh bearish reversal signal kay opposite hota hey yeh candle stick pattern zyada tar down signal , support level ya pull back kay nechay hota hey



    identification of shooting star candle stick pattern;



    shooting star candle stick pattern apni sadgee ke wajah say new technical trader kay ley aik behtareen tool hota hey mumkana shooting star candle stick pattern ka pata laganay kay ley ager trader tafselat par amal karen jaisa keh opar bean kea geya hey
    candle stick pattern khod he kabhi kabhi nakes ho jay ga halankeh ager pattern resistance level or trend line kay kareeb ho jay ga to shooting star bearish ke confirmation mein ezafa kar sakta hey es ke wajah yeh hey keh aik single candle stick over all trend ya market ke movement mein entahai important nahe hote hey es candle stick pattern ko estamal kartay wakt isk management ko shamell karna zarore hota hey



    trade with shooting star candle stick pattern;




    Click image for larger version

Name:	shooting-star-candlestick-pattern_body_2019_05_02_14_04_05_IG_Trading_Platform_Spread_Betting (1.png
Views:	19
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12536432
    es reversal pattern ke trade karna kafi zyada asan hota hey sab say pehlay es ka matlab low prices ka hey es ley hum forex market mein short entry ko talash karna chahtay hein chonkeh prices ko pehlay shooting star ke peak par reject kar deya jata hey hum recently swing high par stop loss ko kaim karnay ke koshesh karen gay
    aik trader asane say agle candle ke opening hesay mein enter ho sakta hey ager trader zyada kadamat pasand tha risk o reward ka behtar tanasob hasell karna chahta tha to reteastment of the wick trade karen zyada profit os wakt hasell ho jata hey jab the wick mamoll say zyada long ho jate hey zyada tar prices wapes aa jate hein or long wick trade kay aik hesay ko opar ketaraf lay kar jate hey shooting star candle stick pattern bad mein trade mein enter ho jata hey trader wick kay center mein enter honay ka entazar kar sakta hey
    risk kay khatray ko kam karnay kay ley stop loss bhe adjust kar sakta hey entry kay trekay kar kay katay nazar stop loss aik he rahay ga profit ka target blue line say wazah kea geya hey
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: shooting star candle stick pattern

    Shooting Star Candlestick


    Shooting star candle forex trading main aik single candle pattern hai, jo k qeematon k higher zone me resistance level par paye jati hai. Ye candle aik bearish trend reversal k leye istemal hoti hai, jo k single candle pattern par mushtamil hota hai. Candle ki aik small real body hoti hai, jiss me qeematon ka open aur close aik dosre k bohut ziada qareeb hote hen. Candle k upper ki taraf aik bari wick ya saya banta hai, jo k real body ka taqreeban dugna ya us se ziada hota hai.



    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Shooting star candle aik single candle pattern hai, jo k high qeematon wale zone ya bullish trend me banti hai.
    2. Candle k lower side par aik small real body hoti hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb hote hen.
    3. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
    4. Candle ka shadow ya saya candle ki real body ka taqreeban dugna ya us se zyada ho sakta hai.
    5. Candle white aur black dono pattern me ho sakti hai, lekin sab se zarori point is ka top prices par banna hai.




    Pattern ki Tafseel


    Shooting star candle bearish trend me qeematon ko badalne k leye istemal hone wali aik single candle pattern hai, jis me qeematen confirmation ka baad down falling karna shoro karti hai. Ye candle prices k bottom me banni wali inverted hammer candle se melti julti hai, lekin qeematon k bottom par hone ki waja se ye candle mukhtalif ban jati hai. Candle me qeematen aik small real body banati hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb banta hai, jab k candle k upper aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se size me ziada hota hai.



    Pattern par Trading ka Amal


    Shooting star candle trading k leye tab aik achah signal deti hai, jab bhi qeematen high area ya bullish trend me ho. Candle k baad aik black candle ka banna zarori hai, jis par sell ki trade enter ho sakte hen, jab k white candle shooting star candle ki asarat ko khatam karti hai. Ye candle next black candle par market me entry jab k shadow k top par stop loss ki position hoti hai.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: shooting star candle stick pattern

      Shooting Star Candle Kia Hai?

      Shooting star candle prices k top main bullish trend main banti hai, jiss k baad bearish trend reversal ho jata hai, to iss waja se ye candle kisi bhi color main ho sakti hai, lekin agar ye bearish ban jaye to ye bearish trend reversal pattern se ziada mutabeqat rakhti hai. Price chart pattern par baaz awqat single candles bhi dosre candlestick charts pattern ki tarah k asarat rakhte hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Shooting star candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend main banti hai. Shooting star candle k aik small real body hoti hai, jiss ka upper side par aik lon shadow banti hai. Ye shadow Shooting star candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Shooting star candle ki real body k lower side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ka lower aik "Bozu" candle hoti hai, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada lamba na ho jiss se candle ki hososeyat tabdeel ho jaye. Shooting star single candle honne ki waja se ye zarori nahi hai, k dosre patterns k tarah ye candle lazmi kisi aik color main ho. Shooting star candle bullish trend main ya high price main banti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (116).png
Views:	69
Size:	3.9 کلوبائٹ
ID:	12404413

      Shooting Star Kaam Kese Karta Hai?


      Shooting star candle jo k prices k top aur bullish trend k baad banne par brearish trend reversal pattern ka kaam karta hai, inverted umbrella family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath upper side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k lower side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher lower shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Shooting star candle ki real body bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai, lekin iss ki position ziada zarori aur aham hai.

      Click image for larger version

Name:	images (115).png
Views:	10
Size:	15.4 کلوبائٹ
ID:	12404412

      Shooting Star Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


      Shooting star candle jo dekhne main aik inverted T jaise lagti hai, prices k top ya bullish trend main banne par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bearish trend ya low prices par banne wali Inverted hammer candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Shooting star candle ki inverse Hanging Man candle hoti hai, jo k same bullish trend main bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Shooting star candle par trade entry se pehle iss ki bullish trend ya top prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k leye bohut riski hai, iss waja se aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, trader next bearish candle par market main sell ki entry kar sakte hen. Stop loss candle ki sab se upper position ya candle ki shadow k top se two pips above set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (114).png
Views:	74
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12404411

      اب آن لائن

      Working...
      X