Bullish belt hold ki ahmiyat

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish belt hold ki ahmiyat
    What is the bullish belt hold in tradingAik blush belt hold, jisay japani mein" youricori bhi kaha jata hai, aik wahid japani candle stuck patteren hai jis se yeh zahir hota hai ke mojooda kami ka rujhan tabdeel ho sakta hai. mom batii ki alamat ki aksariyat, jaisay candle stuck patteren, is ke size mein payi jati hai kyunkay saaye ( ya vicks ) ya to chhootey hotay hain ya ghair mojood hotay hain. blush belt ka ineqad blush belt hold, jo kami ke baad hota hai, pehchanana aasaan aur intehai aam hai. is ki nishandahi karne mein aap ki madad ke liye darj zail khususiyaat ko talaash karen : candle stuck ko neechay ke rujhan se pehlay hona chahiye. bearish candle stuck ki aik taar ke baad aik blush ( safaid ) candle stuck ubharna zaroori hai. aik lambi safaid mom batii jis mein aik mukh
    tasir oopri saaye ho ( ya oopri saya nah ho ). candle stuck par nichala saya mukammal tor par gayab hona chahiye


    Bullish belt hold meaning

    Blush belt hold candle ki ibtidayi qeemat tijarti session ke kam point par hai. doosri taraf, qeemat session ke douran charh jati hai aur session ki oonchai par ( ya qareeb ) band ho jati hai, jis se aik safaid shama ban jati hai. ibtidayi qeemat candle ke neechay ki taraf se numaindagi ki jati hai, ikhtitami qeemat ko oopri vِk ke oopri hissay se zahir kya jata hai, aur session mein haasil honay wali sab se ziyada qeemat ko oopri vk ke oopri hissay se zahir kya jata hai. belt of bills aik mandi se taizi ke rujhan ko tabdeel karne ka ishara aam tor par aik hold candle se hota hai. blush belt hold candle stick ka tajzia karte waqt darj zail mshahdat ko dekhen


    Short definition bullish belt hold?

    Blush belt hold candle ki ibtidayi qeemat tijarti session ke kam point par hai. doosri taraf, qeemat session ke douran charh jati hai aur session ki oonchai par ( ya qareeb ) band ho jati hai, jis se aik safaid shama ban jati hai. ibtidayi qeemat candle ke neechay ki taraf se numaindagi ki jati hai, ikhtitami qeemat ko oopri vِk ke oopri hissay se zahir kya jata hai, aur session mein haasil honay wali sab se ziyada qeemat ko oopri vِk ke oopri hissay se zahir kya jata hai. belt of bills aik mandi se taizi ke rujhan ko tabdeel karne ka ishara aam tor par aik hold candle se hota hai. blush belt hold candle stick ka tajzia karte waqt darj zail mshahdat ko dekhen .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bullish belt hold ki ahmiyat

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Belt-Hold Line Pattern


    Bullish belt-hold line pattern main aik bullish candle bearish trend ki akhari candle par upper side se attack karke market main bearish trend ka khatma karti hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k qeematon ko downward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open pehli candle se below gap main hoti hai, lekin close pehli candle k midpoint ya darmeyan se upper hoti hai. Ye position taqreeban candle ka 50% se above banta hai. Bullish belt-hold line pattern ka opposite side ya bottom price par bearish belt-hold line line pattern banta hai, jo k bearish trend reversal pattern hai.

    Click image for larger version

Name:	images (240).png
Views:	21
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12400352

    Candles Formation


    Bullish belt-hold line pattern main prices bearish trend k khatme par aik strong bullish attack hoti hai. Jiss se bearish trend bullish main badal jata hai. Ye pattern bearish aur bullish candles par mushtamil hota hai, jiss ki formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (166).jpeg
Views:	37
Size:	12.9 کلوبائٹ
ID:	12400353

    1. First Candle: Bullish belt-hold line Candlestick Pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish belt-hold line cover pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k below par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body main hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ka khatma karti hai. Pattern ki ye candle open side se aik "Buzo" candle hoti hai, yanni iss ka open side par koi shadow ya wick nahi hona chaheye.

    Explaination

    Bullish belt-hold line pattern two days candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jo k " Piercing Line Pattern" se mushabehat rakhta hai. Ye pattern prices k bottom par ban kar same bullish trend reversal pattern ki tarah prices k bullish trend k khatme ka bahis banta hai. Pattern ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss ko aik bullish candle follow karti hai. Bullish candle bullish candle k bottom par gap main open ho kar ussi k real body k darmeyan se upper close hoti hai. Second candle ki closing point pehli candle k opening point se upper nahi hona chaheye, aur nahi iss candle k opening side par koi wick ya shadow hona chaheye. Ye candle bullish meeting line pattern ka bhi hum shakal hai.

    Click image for larger version

Name:	images (238).png
Views:	44
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12400351

    Trading

    Bullish belt-hold line pattern buyers ki achanak market main pressure ki waja se banti hai, jiss main market main sellers ki dabao ka khatma karke prices k bottom ko bullish trend main badal deti hai. Bullish belt-hold line pattern par trading se pehle aik confirmation white candle ka hona zarori hai, jo k dosri candle k baad real body main honi chaheye, jiss par buyers market main buy ki entry kar sakte hen. Aggar pattern k baad black candle banti hai to pattern ki reliability khatam ho jati hai. Stop Loss k leye pattern ka sab se bottom position muntakhib karen, jo k dosri candle ka upper banega, se two pips below select karen.

    Click image for larger version

Name:	download (9).png
Views:	23
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12400350
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Bullish belt hold ki ahmiyat

      Bullish Belt-Hold Line Pattern


      Introduction


      Belt-Hold Line Pattern do candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jis me shamil dono candles bullish ya white color ki hoti hai. Ye pattern market k low price area ya bearish trend k baad banta hai, jis me qeematen apni semat bullish trend me badal deti hai. Pattern ki 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai. Bullish Belt-Hold Line Pattern ki 2nd candle aik real body wali bozu candle hoti hai, jo open to bearish trend k last candle k baad hoti hai, lekin close high price me black candle k real body k darmeyan se oper hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (6) (87).jpeg
Views:	54
Size:	17.2 کلوبائٹ
ID:	12400330

      Pattern ki Pehchan k Rules

      1. Bullish Belt-Hold Line pattern ziada tar bearish ya low prices area me banta hai.
      2. Pattern ki 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k bearish trend ko zahir kar rahi hoti hai.
      3. Pattern ki 2nd candle aik bari real body wali candle hoti hai, jo k open bearish trend k last black candle k baad hoti hai, lekin close bearish trend k darmeyan k body se oper hoti hai.
      4. Pattern ki 2nd white candle ki lower side pe koi shadow nahi hota hai, jab k oper side pe shadow ho sakta hai.


      Click image for larger version

Name:	images (6) (88).jpeg
Views:	7
Size:	25.7 کلوبائٹ
ID:	12400331

      Pattern ki Tafseel


      Bullish Belt-Hold Line pattern aik trend reversal pattern hai, jis ko "White Opening Bozu Line" pattern bhi kaha jata hai. Pattern do mukhalif color k candles par mushtamil hai, jis me 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k market k down-trend ya low price ko zahir kar rahi hoti hai. Pattern me 2nd candle aik bari real body wali white candle banti hai, jo k qeematon k trend ko badal deta hai. Ye candle aik bozu candle hoti hai, jis k downside pe koi shadow ya wick nahi hoti. Bullish Belt-Hold Line Pattern "Counterattack line ya Bullish Meeting Line" pattern se thora sa mukhtalif hai, q k is pattern me white candle aik bozu candle banti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (140).png
Views:	2
Size:	5.4 کلوبائٹ
ID:	12400332

      Pattern pe Trading


      Bullish Belt-Hold Line Pattern aik trend reversal pattern hai, is waja se agar ye pattern low price area ya bearish trend k baad banta hai, to ye market me buy entry ka signal de raha hota hai. Pattern ki confirmation k leye 3rd white candle ka intezar karna zarori hai, q k qeematen yahan se bearish trend continue bhi kara sakti hai. Pattern k 3rd white candle k baad buy ki entry hogi, jab k stop loss pattern k downward side 2nd white candle k open position pe hoga.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (141).png
Views:	4
Size:	15.8 کلوبائٹ
ID:	12400329

      اب آن لائن

      Working...
      X