trade with Bullish Hammer Candle Stick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    trade with Bullish Hammer Candle Stick pattern
    what is bullish hammer candle stick pattern;




    bullish hammer candle stick pattern jo keh forex market mein candle stick kay chart pattern mein pai jate hey jo keh forex market kay bullish janay ko indicate karte hey yeh forex market kay dosray candle stick say different ho saktay hein kun keh es ke single candle stick aik mor par aik kame kay trend mein eshara karte hey
    Hammer kay nechay candle stick ke tashreeh khas tr par candle stick kay pen close high or low say ke jate hey kareebe level ko samjh kar ke jate hey forex market mein currency pair kay ley new low bananay kay ley price ko pehlay wazah tor par sell karna chihay es kame kay bad prices mein wazah tpor par ezafa hona start ho jata hey jes ke wajah say prices aik chote bdy rakhte hein or es ke ebtadai price kareeb tak pohnch jate hey
    Click image for larger version

Name:	trading-the-bullish-hammer-candle_body_2019_05_07_09_38_06_IG_Trading_Platform_Spread_Betting.png
Views:	14
Size:	2.3 کلوبائٹ
ID:	12535951




    identification of bullish hammer candle stick pattern




    aik strong body or long wick candle stick hona chihay
    nechay ke taraf trend mein lower part hota hey
    dosray indicator say confirmatin zal mein bataya geya tha
    trend reversal up side mein janay walla hota hey
    aik specific key level par price reject ho jate hey




    trade with bullish hammer candle stick pattern




    bullish hammer candle stick pattern ko mokhtalef kesam kay time frame or chart par analysis kea ja sakta hey opar deya geya chart AUDUSD hey j keh forex market mein 20 april say 31 may tak 892 pips tak AUDUSD ger geya hey es kame kay trend ka end bullish hammer ke madad say hota hey es kay bad price nay aaj kay price action mein 792 pips ka ezafa kea hey
    Click image for larger version

Name:	trading-the-bullish-hammer-candle_body_Bullishhammer.png
Views:	15
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12535952
    chonkeh hammer ke strength graph par os ke jagah par depend karte hey aam tor par trader es ke jagah par support or resistance kay dosray indicator kay sath estamal kartay hein es market mein tools ka estamal karna shamell hota hey jaisay pivot point Fibonacci retracement or nafseaate kay poray number shamell hotay hein laken body buyer kay new jazbay kay sath support kay opar ja kar close ho jate hey or es kay bad support kay nechay banay gai wick kay nechay stop laganay ko choose karen gay
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: trade with Bullish Hammer Candle Stick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Hammer Candlestick


    Hammer candle kisi bhi range ki single session candlestick hai, jo aik down-trend ke bilkul nechay zahir hota hai. Ye candle prices k bottom par aik strong support level banati hai, jiss k baad market main bulls active hona shoro ho jate hen. Ye candle trend reversal ki nishan-dahi karta hai, candle k real body k lower shadow aik ishara hai, keh sellers ne prices ko nechay le jane ki koshish ki, lekin din k ikhtetam k baad wo nakaam ho jate hen. Kuch chartists ke mutabiq, hammer candle ko pechle session ke ekhtataam ke waqfay ke sath bhi paish kya jana chahiye. Hammer candle ka nechla saya is ke real body ki lambai se kam az kam dugna hona chahiye.

    Click image for larger version

Name:	images (195).png
Views:	65
Size:	20.5 کلوبائٹ
ID:	12400087

    Candles Formation


    Hammer candlestick dekhen main dosre candles jaisi dekhaye deti hai, lekin prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se aik strong bullish trend reversal ka kaam karti hai. Candle prices ko lower side par reject karti hai, jiss se maojoda trend badal jata hai. Ye aik single candle pattern hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	hammer-1024.jpg
Views:	37
Size:	51.1 کلوبائٹ
ID:	12400088

    Hammer Candle: Hammer candlestick aik small real body wali candle hai, jiss k lower side par aik long shadow hota hai. Candle ka shadow candle k real body ka dungna ya uss se bhi ziada hota hai. Jab k candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin agara banta bhi hai, to bohut ziada large size main nahi hona chaheye, jiss se candle ki formate tabdeel hone ka hadsha ho.

    Explanation

    Hammer candlestick aik small real body wali single candle pattern hai, jo k lower side par aik lamba shadow ya saya rakhti hai. Candle ka saya hamesha candle ki real body se ziada hoti hai. Candle k baane ki pechay ki psychology kuch yon hoti hai, k jab bhi aik session ya aik din k dowran prices pehle downward movement karne k baad wapis apne open price k qareeb a kar close ho jati hai, jiss se candle k lower side par aik lamba shadow ya saya ban jata hai. Ye candle normal price chart par ziada moasar sabit nahi hoti hai, lekin candle ka trend k bottom par low price area main banne par bullish trend reversal ka kaam karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (194).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12400091

    Trading

    Hammer trading main buy ka signal genrate karti hai, jiss par market main confirmation k baad entry ki ja sakti hai. Candle ka long timeframe main hona zarori hai, jab k confirmation candle ak lazmi bullish real body main hona chaheye, jab k sath sath bullish candle ka hammer candle k upper par bhi close honi chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se indicator se bhi trend confirmation lena zarori hai, jaise RSI, MACD, CCI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main hona chaheye. Candle k baad bearish candle banne ki sorat main trade entry nahi karni chaheye. Candle par Stop Loss sab se top position ya candle k low price jo k trend k leye support zone banta hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (193).png
Views:	41
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12400086
    • #3 Collapse

      Re: trade with Bullish Hammer Candle Stick pattern

      Hammer Candlestick Pattern


      Hammer candlestick qeematon k bottom par bullish trend main tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen upward rise karna shoro ho jati hai. Hammer candlestick price chart par single candle family se taluq rakhti hai, jis me candle ka aik small real body hoti hai aur iss me candle ka open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k upper side par shadow nahi banta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (97).png
Views:	45
Size:	16.1 کلوبائٹ
ID:	12400095

      Pattern ki Pehchan k Rules

      1. Hammer candlestick aik single candle pattern hai, jo prices k bottom ya bearish trend main banti hai, jo k bullish trend reversal ka kaam karti hai.
      2. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis me open aur close point aik dosre k qareeb hote hen.
      3. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
      4. Candle k upper side par small si wick k elawa koi shadow nahi honi chaheye.
      5. Ye candle normal prices me neutral hoti hai.


      Click image for larger version

Name:	images (6) (58).jpeg
Views:	4
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12400096

      Pattern ki Tafseel


      Hammer candlestick aik single candle pattern hai, jo k qeematon low area ya bearish trend main ban kar bullish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k prices k leye support level sabit hota hai. Hammer candlestick me qeematen lower side par aik lamba shadow bannane k baad aik dosre k qareeb close hote hen, jiss main aik small real body banti hai, jab k candle ka saya real body ka dugna hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (96).png
Views:	10
Size:	3.7 کلوبائٹ
ID:	12400097

      Pattern par Trading ka Amal


      Hammer candlestick ko technical analysis k tawar par istemal karne k leye prices ka pehle bottom trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik white candle ka hona zarori hai, jis par market me buy ki entry ki ja sakti hai. Candle ka lower shadow strong support level hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Confirmation white candle k baad hi market me entry ki ja sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (98).png
Views:	8
Size:	14.8 کلوبائٹ
ID:	12400094
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: trade with Bullish Hammer Candle Stick pattern

        Dear friends jesa kay ap jantay hen Forex trading all over the world famous business hay jis men takreban har mulk ki participation hay to jab bhi kisi mulk ki economy up ya down hoti hay to us ka asar direct forex Market pay zaror parta hay, to hamen har mulk ki economy pay kari nazar rakhi chaye ais tara kay analyse ko ham Fundamental analysis kehty hen, dosri position men ham market kay trend ko find out karnay kelye Market ka Technically Analysis karty hen, jo kay Graphs, Candle and Indicator pay mushtamil hota hay jisy "Technical Analysis" kaha jata hay. Tou dear frined aj ham (difference between ""Hammer and Hanging Man Candlestick) ko discuss karen gay.

        Difference between ""Hammer and Hanging Man Candlestick:-

        Ain dono kay darmyan fark ye hay kay agar kisi pattern men trend upward banta hay aor bearish reversal ki nishan dahi karta hay to ye Hanging man hay aor agar ais kay baraks pattern men agar trend down word banta hay bullish reversal ki nishan dahi karta hay to Hammer hay.

        Pictures for example and guidance:-

        Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	47
Size:	3.4 کلوبائٹ
ID:	12400098

        How reliable is hammer candlestick?

        Hammer kay pattern ko candlestick charting men sab say zeada reliable indicator men say aik kay taur par dekha jata hay khas taur par jab ye aik taweel kami kay trend kay bad aor security kelye tasleem shuda price ki hamayat kay area men hota hay.

        Conclusion:

        Forex Market aik bahoot he risk wali market hay jis men hamen market kay baray men mukamal knowledge hona chaye aor khas kar jis pair men trade karny ka decision kia ho, us kay baray men (Technically and Fundamentally) fully trained ho kar trade lagani chaye. tab he forex say profit earn kia ja sakta hay.

        اب آن لائن

        Working...
        X