supply and demand zone in forex market??
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    supply and demand zone in forex market??
    assalium o alekum

    dear forex member
    umed krti hun ap sb kharyt s hun gy or mahnat s apna work complete kry hn gy jesa k ap janty hai k hmy weekly bounce hasil krny k ly daily three post share krni hoti jitni achi post share kry gy itna hi acha bounce hasil kr k acha profit hasil kr skty hai chlty h aj k topic ki trf


    supply zone


    qeemat ke chart par supply demand zone ki shanakht karne ka tareeqa seekhnay se pehlay, aap ko un tasawurat ko poori terhan samjhna hoga. to aayiyae agay bherne se pehlay har zone ke baray mein jaanen .




    Click image for larger version

Name:	img-1.jpg
Views:	2
Size:	101.6 کلوبائٹ
ID:	12535916


    supply zone qeemat ka woh ilaqa hai jis par tajir aam tor par farokht karte hain. yeh ilaqa mojooda qeemat se oopar mojood hai, jahan sab se ziyada farokht honay wali dilchaspi ya imkaan hai .

    jab qeemat is satah par pahonch jati hai, to namukammal orders mukammal ho jatay hain aur qeemat ko neechay laatay hain. supply zone ke tasawwur ko mazeed wazeh tor par samajhney ke liye neechay diye gaye chart se madad len .




    explain


    oopar wala chart dekhata hai ke qeemat aik makhsoos zone tak pahunchti hai, kuch waqt intzaar karte hain, aur phir neechay jatay hain. yeh chakkar –apne aap ko dohrataa rahay ga jab tak ke tamam namukammal orders pur nah ho jayen .

    mazeed kamanay ke liye takneeki tajzia ka istemaal kaisay karen .

    demand zone


    demand zone qeemat ka woh ilaqa hai jis par tajir umooman kharedtay hain. yeh ilaqa mojooda qeemat se neechay mojood hai, jahan kharidari ki dilchaspi ya imkaan sab se ziyada hai. is ka matlab hai ke demand zone ke paas is satah par bohat se kharidari ke orders ki wajah se bohat se khredar dastyab hain .

    neechay diya gaya chart demand zone ke tasawwur ko ziyada sahih tareeqay se samajhney mein aap ki madad kere ga .


    Click image for larger version

Name:	img-2.jpg
Views:	2
Size:	109.5 کلوبائٹ
ID:	12535917




    chart mein, aap oopar ki taraf fori harkat dekh satke hain. is ki wajah yeh hai ke jab qeematein demand zone tak pahonch jati hain, to kuch orders bhar jatay hain jabkay nah bharay hue jazb ho jatay hain .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: supply and demand zone in forex market??

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Supply and Demand


    Market ki naseyyat aur supply aur demand ka tayun karte waqat technical analyst in support aur resistance levels ko bohut aham samjhtte hen. Jab bhi ye support aur resistance level breakout ho jatti hai, to ye samjha jatta hai k supply aur demand ki forces jinhon ne in sathon ko bannaya hai munttaqil ho gaye hai, aisi sorrat me naye support aur resistance levels k banne ka imkan hotta hai. Support aur resistance levels bohut ziadda aham points hen, jahan pe talab aur rasad (supply aur demand) ki quaten (forces) meltti hen.

    Click image for larger version

Name:	images (248).png
Views:	6
Size:	17.7 کلوبائٹ
ID:	12400359

    Demand


    Demand wo satah (level) hai, jahan par support ittni mazzbot hotti hai, k stock ko mazzeed nechay gerne se roktti hai. Demand satah par qeematon ko nechay main dushwaree hotti hai, ye is waja se hotti hai, k jab bhi qeemat gerti hai, aur Demand level k qareeb atti hai, to market main buyers khareedne ki taraf ziadda mayel ho jatte hen, aur sellers market me ziadda kam mutaharek hotte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (250).png
Views:	1
Size:	17.8 کلوبائٹ
ID:	12400361

    Supply


    Supply wo satah hotti hai, k jahan pe resistance itni mazzbot hotti hai, k stock ko mazzeed upper janne se roktti hai. Jab bhi kisi stock ki qeemat supply levels k qareeb jatti hai, to us ko ziadda upper janne me mushkil pesh atti hai, is ki wajja ye hai, k jaise jaise prices resistance levels k qareeb pohunnchti hai, to sellers sell karne ki taraf mayyel ho jate hen, aur khareedar market me khareedne k leye kam dilchaspi dekhatte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (251).png
Views:	1
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12400360

    Psychology of Supply and Demand


    Supply and demand k pechay market ki kia nafseyyat hotti hen wo aap ko darjazzel mesalon (example) ki maddad se samajh a jayega;

    Demand Example: buyers ka ek group support area main stock ko khareed rahe hotte hen, aggar yahan par demnad level $50 ka hai. Buyers $50 par kuch stock ko buy kartte hen, aur prices yahan se move kar $55 par challi jatti hai. Is par buyers khush hotte hen aur wo mazzeed $50 par stock khareedna chahte hen, lekin $55 par nahi. So wo faisela karrte hen jab bhi qeemat wapis $50 par jayegi to wo mazzed stocks ko bay karengay, yahan par wo $50 par demand set kartte hen.
    Ab aik dosra traders ka group aisa hai, jo k $50 par stock ko khareedne par tazzabzub ka shikar they, lekin $55 par stock janne ki waja se wo $50 par stock buy na katke pechta rahen hen, aur faisela karte hen, k jab bhi stock wapis $50 par jayega to wo lazzmi buy karengay aur wo bhi $50 par demand set kar lette hen.
    Ab buyers ka ek teesra aisa bhi group hai, jis ne $40 par stock ko buy kia hotta hai, lekin wo $50 par us ko sell karte hen. Lekin jab wo dekhtte hen k stock $55 pe chala gaya to wo apne selling par pechtate hen, is waja se wo bhi faisele kartte hen, k jab bhi aggar stock dobbara $50 pe ayega to wo khareedengay. Ye group bhi $50 par stock k leye demand set karte hen, jis se demand bohutt mazzbot hotti hai.
    Supply Example: Supply k mesal main bhi hum stock ki maojooda qeemat $50 hi tasawar kartte hen, aur buyers stock ko $50 par buy karte hen. Ab aggar qeemat $50 se $55 par chali jatti hai, to traders koshash kartte hen, k wo stock ko $55 par sell karden, bajaye ia k keh ye wapis $50 par aye, aur maximum traders aisa hi karrne ki koshash karrte hen. Jab bohut zyada miqdar main stock market me ferokht k leye pesh hogga to qeematen wapis support level ki taraf chalna shoro kartti hai. Stock par teen qisam k groups ka bohut ziadda pressure parne ki waja se stock $50 k level se wapis mor jata hai, lekin $50 par dobara demand ziadda hone ki waja se qeematen mazzeed nachay nahi jatti hen.

    Click image for larger version

Name:	images (249).png
Views:	1
Size:	12.3 کلوبائٹ
ID:	12400362

    Supply and Demand Reversal Role


    Technical analysis main ka aik key concept hai k jab bhi prices supply and demand levels kp breakout kartti hai, to is ka role reversal ho jata hai. Aggar qeemat demand level se nechay atti hai to wo level supply ban jayegi, aur aggar qeemat supply level se upper jatti hai to ye aksar demand level ban jatti hai. Jaise jaise qeemat supply and demand levels se guzzarti hai, to ye khayal kia jata hai, k supply and demand main tabdelli aye hai, jis ki waja se ye tabdeeli reversal role kartti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (252).png
Views:	1
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12400363

    اب آن لائن

    Working...
    X