Assalamu Alaikum Dosto!
Money Management
Jiss tarah se aik trader k leye aik kamyab forex trading strategy aham hai, ussi tarah se forex trading ki achih trading management bhi trader ki kamyabi k leye zarori hai. Money management ka idea risk management se gehra taluq rakhta hai, q k trading k dowran tamam risk money k sath jora jata hai, bas uss se thora sa mukhtalif hai. Forex trading k money management se murad apney account k gher zarori risk main daley bagher apney pesey ko kese istemal karna hai.
Forex money management ka taluq trading k dawran money loss ko kam karne ka intezam hai. Chonekh hum sab insan hen aur trading k dowran hone wali ghaltion sab ko hoti hai, to iss se bachna chaheye. Kamyab trader trading ko karobar k tawar par sochte hen. Forex trading me karobar ka maqsad pese kamana hai, pese khona nahi hai. Lehaza isse khone se bachney k jo iqdamat hote hen, wo money management main ata hai.
Forex trading me risk itna ziada hai, k iss main trader apni sari amdani kho sakta hai, aur kuch hi lamho main apna account wash ho sakta hai. Iss waja se jiss business main bohut ziada risk hota hai, to traders ki ziada se ziada koshash honi chaheye k wo karobar main risk ko kam se kam karne ki koshash karen. Bohut sari aisi forex trading strategies maojood hai, k jinn ko apnane se trader ziada munafa kama sakta hai aur loss kam kar sakta hai, lekin ye tareeqay kar losses ka sabab nahi hai. Bulkeh pese zaya hona ziada tar aik behtareen money management ka na hone ki waja se hota hai.
Top Forex Money Management Rules
Money management k osool trading strategy aur account k mutabiq honne chaheye, risk aur account main munafa iss k sath direct deal karte hen. Darjazzel main kuch ossool hen jinn ko apnane se forex trading k money management k system ko behtar kia ja sakta hai.
1. Risk Per Trade
Aik trader ko ye khayal rakhna chaheye k kisi aik trade par apne account ka sirf aik chota sa hisa risk main dalna chaheye. Analysts trading par 2% risk ka ziada tar kehte hen, jiss main aik trader apne trades par 2% tak ki risk lena chaheye. Jaisa k $1000 trading account par trader ko $20 ka risk lena chaheye.
Kuch traders trades size main tabdeeli karte hen, jaisa k "Anti-martingale money management method" k mutabiq jab bhi trades munafa main hon to uss k lot size main izzafa kia jata hai, jab k loss ki sorat main lot size ko kam kia jata hai.
Aik behtareen trading strategy aur risk management plan waqat k sath sath trader ki madad karni chaheye, lekin aap ko hargez ye baat 100% confirm nahi hoti k agle trade main ya agle 10 trades main kia ho sakta hai. Agle trade k nuqsan k risk ko kam karne k leye, forex trader ko trading account k size k muqabele main trade ka size nisbatan small rakhna chaheye.
Har Trade par Maximum Drawdown Set karen
Drawdown se murad trading account k prices main wo faraq hai jo k account ka pehla balance hota hai aur trades k loss k baad account ka jo balance hota hai. Misal k tawar par agar aik trader k account main $10,000 hai, aur trades ko $500 dollar ka loss hota hai, to ye 5% ka drawdown hai (10,000 ka 5% 500 k barabar hai). Drawdown jitna ziada hoga jeetne wale trades k sath account balance ko recover karna utna hi mushkil hoga.
Risk-Reward Ratio
Traders k jeetne wale trades ka ratio harne wale trades ki nisbat ziada honna chaheye. Agar aik trader ne risk reward ratio k mutabiq apne leye 1:1 ka intekhab kia hai, to uss k leye usse har 10 traders main se 6 lazmi win karne hongay. Aur agar uss ne 3:1 ka ratio rakha ho to uss sorat main har chota trade ka win honna zarori hai.
Take Profit and Stop Loss
Take profit aur stop loss na sirf money management ka zarori hesa hai, bulkeh ye money management k leyw bhi bohut ziada zaroei hai. Take profit aur stop loss ka na sirf istemal bohut aham hai, bulkeh uss k sath sath iss ka sahi istemal bhi trading k leye utna hi aham hai. Take profit jahan tak hamare account k target had ko par munafa ko mehfoz banate hen, ussi tarah se stop loss ziada liss se har sorat humen shield faraham karta hai.
Trade tab Karen Jab aap Loss ko Bhi Tayar hon
Forex trading me emotions bulkul bhi kaam nahi karte hen, k agar aik trade loss main jaye to hum uss ko recover karne ya loss ko kam karne k leye mazzeed ussi semat main trades open akrte hen ya trading par ghusa karne ki koshash main hum mazzeed trades laga kar loss uthana shoro karte hen, iss se huemn ziada se ziadda loss hasil hoga. Humen trading k dowran apne jazbat ya emotions aur lalach ko hamesha aik side par rakh kar trading karni chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим