Inverted Hammer Candlestick Pattern & it's benefits !
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Inverted Hammer Candlestick Pattern & it's benefits !
    Assalam-O-Alaikum !


    Dear members, Umeed hai sab theak hain aur achy sy apny tasks complete kar rhy hain. Forex trading main learning, knowledge aur experience ka hona bohat zarori hai. Dear members, forex trading me loss say bachny k liye, aur aik profitable trade krny k liye, candlesticks ka knowledge, aur technical analysis skills ka hona bohat zarori hai. Aj main ap sy jis candlestick pattern k bary main discuss karna chahta hu, wo hai “Inverted Hammer candlestick pattern”. Agar hum risky trade aur loss sy avoid karna chahty hain to is pattern ki understanding bohat zarori hai. Isi tra hum blind trading sy avoid kar k profit earn kar sakty hain aur risk management kr k loss sy bach sakty hain.

    Inverted Hammer candlestick pattern in forex :


    Inverted Hammer candlestick aik bearish trading pattern hai. Jo is bat ki identification karta hai k, aik stock apny bottom tk pohanch gya hai. Aur ab reversal trend k lye ready hai.


    Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	32
Size:	10.7 کلوبائٹ
ID:	12535572






    Inverted Hammer candlestick charting main, aik price pattern hai, jo us waqt hota hai, jab security us k open hony sy numaya tor p nechy trade karti hai. Lakin opening price k qareeb k period main band hoti hai. Ye pattern aik hammer-shaped candlestick bnata hai. Jis main nichla shadow real body sy double hota hai. Candlestick ki body, open aur closing prices k difference ko represent karta hai. Jab k shadow us period ki high aur low prices ko dikhata hai.






    Understand of Inverted Hammer Candles :




    Inverted Hammer tb occur karta hai, jab security ki price decline hoti hai, jo k ye tajwez karti hai k market bottom ko identify karny ki koshish kar rhi hai. Hammer sellers ki traf sy aik nichly hisy ki tashkeel ka ishara deta hai. Aur price main azafa k sath, price ki direction ki potential reversal ko bhi identify karta hai. Ye sab aik he period k doran hota hai, jahan price opening k bad girti hai, lakin phir dubara open hony wali qeemat k qareb close ho jati hai.


    Click image for larger version

Name:	images (6).png
Views:	6
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12535573




    Use of inverted Hammer candlesticks :


    Jasa k chart main dikhaya gya hai k, price main decline hua hai, jis k bad Inverted hammer pattern hai. Ye pattern ka nichla lamba saya tha, jo real body sy multiple times lamba hai. Aur is chart main hammer sy possible price main increase ka signal dia hai. Is ki confirmation agli candle per hui, jis ny higher gap lia aur phir dekha k price, hammer ki closing price sy uper close hui. Is confirmation k doran, traders buying k lye steps laty hain.


    Click image for larger version

Name:	images (4).png
Views:	49
Size:	21.1 کلوبائٹ
ID:	12535574
    Last edited by ; 06-06-2022, 10:33 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Inverted Hammer Candlestick Pattern &amp; it's benefits !

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Hammer Candle


    Inverted hammer candle ki tarah single candlestick bhi baaz awqat price chart pattern par dosre charts pattern ki tarah k asar andaz hote hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Inverted Hammer candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banti hai. Inverted Hammer candle k aik small real body hoti hai, jiss ka upper side par aik long shadow banti hai. Ye shadow inverted hammer candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Inverted hammer candle ki real body k lower side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ka lower aik "Bozu" candle hoti hai, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada lamba na ho jiss se candle ki hososeyat tabdeel ho jaye.

    Click image for larger version

Name:	images (27).jpeg
Views:	15
Size:	11.0 کلوبائٹ
ID:	12428493

    Candles Formation


    Inverted hammer single candle honne ki waja se ye zarori nahi hai, k dosre patterns k tarah ye candle lazmi kisi aik color main ho. Inverted hammer candle bearish trend main ya low price main banti hai, jis ki information darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (37).png
Views:	32
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12428494

    Hammer Candle: Inverted hammer candle prices k bottom main bearish trend main banti hai, jiss k baad bullish trend reversal ho jata hai, to iss waja se ye candle kisi bhi color main ho sakti hai, lekin agar ye bullish ban jaye to ye bullish trend reversal pattern se ziada mutabeqat rakhti hai.

    Explaination

    Inverted hammer candle jo k prices k bottom aur bearish trend k baad banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, inverted umbrella family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath upper side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k lower side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher lower shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Inverted hammer candle ki real body bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai, lekin iss ki position ziada zarori aur aham hai.

    Click image for larger version

Name:	TBDKxgLROk.png
Views:	15
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12428492

    Trading

    Inverted hammer candle jo dekhne main aik ulta T jaise lagti hai, prices k bottom ya bearish trend main banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bullish trend ya top prices par banne wali Shooting star candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Inverted hammer candle ki inverse Hammer candle hoti hai, jo k same bearish trend main bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Inverted Hammer candle par trade entry se pehle iss ki bearish trend ya bottom prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k leye bohut riski hai, iss waja se aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, trader next bullish candle par market main buy ki entry kar sakte hen. Stop Loss candle ki sab se lower position ya candle ki real body k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (36).png
Views:	34
Size:	13.0 کلوبائٹ
ID:	12428491

    اب آن لائن

    Working...
    X