Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Kicking Pattern
Bearish kicking pattern bullish trend main ya high price area main banta hai. Financial market main baaz dafa prices bohut teezi k sath upward trend par movement kar rahi hoti hai, jiss se price chart par ziada buying ki waja se Marubozu bullish candle candle banti hai, lekin agle din market main sellers ki strong wapasi ki waja se bullish candle se nechay gap main aik Marubozu bearish candle banti hai, jo k aik to bullish trend ka khatma karti hai, aur dosra ye bearish trend reversal candle hoti hai. Bullish aur bearish ka ye two days candlestick pattern "Bearish Kicking Pattern" kehlata hai, jo k market k top par ya bullish trend k baad banta hai. Pattern ki pehli candle prices k upward jane ki indication hoti hai, jab k dosre candle se uss ki direction main tabdeeli ki alamat hoti hai.
Candles Formation
Bearish kicking pattern two days candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jo bullish trend main banne ki waja se pattern ki pehli candle bullish aur dosri trend reversal wali candle bearish hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish kicking pattern ki pehli candle sabeqa trend k mutabiq bullish honi chaheye, q k ye bearish trend reversal pattern hai, iss waja se ye prices k top par ya bullish trend main banta hai. Pattern ki pehli candle ka color white ya green hota hai. Ye candle ziada tar marubozu white candle hoti hai.
2. Second Candle: Bearish kicking pattern ki dosri candle aik trend reversal candle hoti hai, iss waja se ye candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle aik bearish marubozu candle banti hai, jiss ka dono sodes par koi shadow nahi hota hai. Ye candle trend reversal ki asal waja hoti hai, jo k black ya red color main hoti hai.
Explanation
Bearish kicking pattern prices k top par aik strong bullish trend k baad banta hai, jis se sellers market main strong bearish trend reversal pattern se wapasi karte hen. Pattern bullish trend ya high prices main aik marubozu white candle k baad aik downside gap main marubozu black candle k banne se amal main ata hai. Bearish kicking pattern two days candles par mushtamil hota hai, jis ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss k baad aik long aurbreal body wali bearish candle nechay gap main banti hai. Pattern ki dono candles ka upper aur lower side par shadow nahi hona chaheye, q k ye formate main bohut strong candles banti hai. Bearish strong Marubozu candle aur gap main banni ki waja se prices trend reversal main badal jati hai.
Trading

Bearish kicking pattern bullish trend main banne wala aik strong magar nayab bearish trend reversal pattern hai. Jiss main buyers ko mazboti ko to upward le kar jate hen, lekin agle din sllers market par control hasil karte hen, jiss se na sirf aik marubozu black banate hen, bulkeh sath hi sath ye candle nechay gap main banti hai. Pattern par trading se pehle market main bearish confirmation candle ka intezar zaror karen. Jab bhi ye candle aik real body wali bearish candle ban jaye to uss waqat market main sell ki entry karen. Stop Loss pattern k sab se top position par jo bullish trend ki last bullish candle hoti hai, k top se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим