How to trade with Parabolic SAR Indicator in forex trading?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to trade with Parabolic SAR Indicator in forex trading?
    Assalamu Alaikum! Dear seniers and juniers, umeed ha k ap sab kheriat sa hon ga.

    Forex trading man trader ko kisi b currency pair ya commodity ko buy/sell kerna k liye technical analysis kerna bhot zarori han. Technical Analysis man trader market price ki movement ko smajhna k liye price chart ko read kerta ha, q k price chart patterns man changes, momentum aur price k trend man change ko accuracy k sath identify kerta ha. Indicators currency pairs aur commodities k price chart man market price ki movement ko track ker k trader ko safe trade entry aur trade exit levels ko identify kerta ha.

    Parabolic SAR Indicator:

    Parabolic SAR Indicator ak strong trend finding indicator ha, jisko J. Wells Wilders na develope kiya ha. Jo currency pairs aur commodities k price chart man market price k trend ko identify kerna k liye use hona wala most important technical tool ha.



    Parabolic SAR Indicator ko Stop and Reverse indicator b kehta han, isi waja sa iska name ""SAR"" rukha gya ha.

    Appearance in Price Chart:

    Price chart man Parabolic SAR Indicator multiple dots ki sorat man nazer ata ha. Ager Parabolic SAR Indicator k multiple dots current market price sa oper han to iska matlab ha k market man ""bearish trend chal raha ha aur jab Parabolic SAR Indicator k multiple dots current market price k nicha hon to iska matlab ha k market ka trend bullish chal raha ha.

    Click image for larger version

Name:	images (23).png
Views:	10
Size:	11.0 کلوبائٹ
ID:	12535424
    How to calculate Parabolic SAR Indicator?

    Uptrend Parabolic SAR = Prior SAR + Prior AF (Prior EP - Prior SAR)

    Down-trend Parabolic SAR = Prior SAR - Prior AF (Prior SAR - Prior EP)

    Trading with Parabolic SAR Indicator:

    Parabolic SAR Indicator ko commonly market price k trend ko find kerna k liye use kia jata ha. Lakin ager Parabolic SAR Indicator ko kisi dosra indicator k sath combination man use kiya jae to secure trading ki ja sakti ha.

    Click image for larger version

Name:	images (16).jpeg
Views:	1
Size:	49.8 کلوبائٹ
ID:	12535423

    Buy ki Trade:

    Parabolic SAR Indicator per buy ki opportunity ko k liye trader ko multiple dots ka current price sa nicha shift hona k wait kerna chaheye, jasa multiple dots current market price k nicha shift hon aur dosra indicator b buy k signal de raha ha to is per trader ko ""Buy ki Trade"" active kerni chaheye.

    Stoploss and Take Profit:

    Parabolic SAR Indicator per buy ki trade k doran trader ko stoploss price k last swing low k nicha place kerna chaheye aur Take Profit ko last swing high per place kerna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (25).png
Views:	8
Size:	16.0 کلوبائٹ
ID:	12535422

    Sell ki Trade:

    Parabolic SAR Indicator per sell ki opportunity ko k liye trader ko multiple dots ka current price sa oper shift hona k wait kerna chaheye, jasa multiple dots current market price k oper shift hon aur dosra indicator b sell k signal de raha ha to is per trader ko ""Sell ki Trade"" active kerni chaheye.

    Stoploss and Take Profit:

    Parabolic SAR Indicator per sell ki trade k doran trader ko stoploss price k last swing high k nicha place kerna chaheye aur Take Profit ko last swing low per place kerna chaheye.

    ...Click image for larger version

Name:	images (24).png
Views:	6
Size:	15.0 کلوبائٹ
ID:	12535421
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How to trade with Parabolic SAR Indicator in forex trading?

    Parabolic SAR Indicator


    J. Welles Wilder ka bannaya Parabolic Stop and Reverse indicator aik lagging indicator hai, jiss ko aam tawar par "Parabolic SAR," or "PSAR" bhi kaha jatta hai. Ye indicator aik single line jesse "Parabolic Line" ya "Parabolic Dots" kaha jatta hai bannata hai, jo k uptrend main prices k nechay aur downtrend main prices k upper display hotta hai. Parabolic SAR indicator aik trend-following indicator hai.
    Parabolic SAR Indicator ki achi aur bori khobion ki agar baat ki jaye to iss indicator ki sab se bari hasseyat ye hai k ye indicator strong trend line main bohut positive reponse deta hai, jiss se market main trades k successful honne k chances bohut achahy hotte hen. Parabolic SAR indicator ka sab se bara drawback sideways trend main hai, k ye indicator bagher trend k achah result nahi detta hai. Sideways trend main dots prices k up down hotte rehtte hen, jiss se market ki koi clear direction nahi mel rahi hotti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (56).png
Views:	43
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12399368

    Parabolic SAR Functions


    Basically parabolic SAR indicator teen tarrah k kaam sar anjaam de raha hotta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;

    Parabolic SAR indicator basic aur aham kaam trend k direction k baare main bohut wazeh information detta hai, jab bhi iss indicator ki dots prices k nechay hongi to ye aik bullish trend ki nishani hoggi, jab k dots ka prices se upper honna bearish trend ki nishan-dahi hotti hai.
    Parabolic SAR indicator ka dosra kaam market main entry ki position ya point k bare main battana hotta hai, ye indicator dots ki maddad se trend line ki mazbotti ki nishan-dahi karrti hai, jiss se trader market main entry kartte hen.
    Parabolic SAR indicator ka teesa kaam market se exit honne k baare main information denna hotta hai, ye indicator uss waqat humen dots ki maddad se aik clear message detta hai, jiss waqat trend reversal ya trend ki position kamzzor parh rahi hotti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (48).jpeg
Views:	27
Size:	26.7 کلوبائٹ
ID:	12399369

    Parabolic SAR Calculation


    Parabolic SAR indicator ki calculation main acceleration factor aur prices ki extreme (high and low) ki calculation se result deta hai. Ye indicator acceleration factor (AF) k sath maojooda extreme price (EP) ka estemal kartta hai, takeh ye tayyun kia ja sake k ishare k nuqtay kahan zahir hinne chaheye. Parabolic SAR Indicator ki calculation darjazzel tareeqay se ki jatti hai;

    (i) Uptrend

    PSAR = Prior PSAR + Prior AF (Prior EP - Prior PSAR)

    EP = Highest high for an uptrend, updated each time a new EP is reached.
    AF = Default of 0.02, increasing by 0.02 each time a new EP is reached, with a maximum of 0.20.

    (ii) Downtrend

    PSAR = Prior PSAR - Prior AF (Prior PSAR - Prior EP)

    EP = Lowest low for a downtrend, updated each time a new EP is reached.
    AF = Default of 0.02, increasing by 0.02 each time a new EP is reached, with a maximum of 0.20.

    Parabolic SAR indicator dots create kartta hai, wo bhi mandarjabala calculation ka istemal karte howe, jiss ki maddad se price direction ka paata chal jatta hai. Indicator k dots har waqat prices k sath hottie hen, aur sath hi uss k move bhi kar rahe hotte hen. Aggar prices uptrend main hon to ye dots nechay se upper ki taraf prices k nechay se ja rahe hotte hen, jab k prices k downtrend main honne par dots prices k sath sath upper se nechay ki taraf move kar rahe hotte hen. Prices k trend change honne par dots bhi trend k mutabiq apnni semat badal dette hen.

    Click image for larger version

Name:	images (57).png
Views:	3
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12399370

    Trade


    Parabolic SAR Indicator prices k updown harkat karne par market main buy aur sell ka signal deta hai. Ye indicator market main buy ka signal denna hotta hai, jab bhi dots prices k nechay chal rahe hotte hen, jo k uptrend ki indication hotti hai. Indicator sell k signal tab denna jab bhi dots prices k upper move kar rahe hotte hen, yahan par indicator down-trend ki taraf ishara detta hai.
    Jab bhi prices tez harkat main ho to indicator signal ka reponse bhi ziadda behtar hotta hai, lekin small movement ki waja se indicator k signal false signals bhi bohut ziadda peda kartta hai, jiss se trades ko loss ka ziadda hadsha hotta hai.
    Parabolic SAR Indicator par trading se pehle lazmmi trend confirmation prices action se zarror karen, jo trend k uptrend ya downtrend ki wazih ishara de. Is k alawa dosre indicators jaise moving averages ya trend line ko bhi iss k sath istemal kia ja saktta hai, jo k overall trend ki direction k semat ka pata den. Parabolic SAR indicator ko trading main istemal karne k leye iss k sath sath dosre indicators se bhi confirm ho to uss waqqat trend k direction main trade lagayen. Aggar maojjoda trend bullish ho aur indicator k dots bhi prices se nechay ho to market main buy ki entry karen, lekin aggar dots prices k nechay se upper shift ho jatte hen to uss waqat market se exit karen.
    Jab bhi indicator k downtrend ya bearish trend main aggar dots prices k upper sode par hon aur to uss waqqat sell ki entry karen aur market se uss waqqat exit karen jab bhi dots prices k nechay shift ho jayen.
    Parabolic SAR indicator par trading k dowran iss k sath stop loss lazzmi put karren, q k baaz daffa ye fake signals bhi de jatta hai, lekin aggar trend ko strong position par indicator ko set kia ho to uss waqqat ye ziadda reliable hotta hai. Stop Loss ko indicator k sath zarror set karen, aur sab se achah hai k trailing stop loss ko indicator k sath lagga den. Aggar indicator trade k opposite direction main teen dots bannata hai, tab bhi market se exit karnna chaheye, k ye signal ki further strongness ki taraf ishara karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (49).jpeg
Views:	3
Size:	38.9 کلوبائٹ
ID:	12399367
    • #3 Collapse

      Re: How to trade with Parabolic SAR Indicator in forex trading?

      Parabolic SAR Indicator


      Parabolic SAR (Stop And Reversal) indicator qeematon ki movements me rado-badal ki nishan-dahi ko charts par nuqaat (dots) ya points bananata howa karta hai. Jab bhi qeematen nechay ki taraf jati hai to parabolic SAR indicator ki dots ki movement bhi nechay ki taraf ho jati hai. Qeematon ka up-ward jane pe parabolic SAR k dots bhi upward move karte hen. Chonkeh market me qeematen ya to upward jati hai aur ya downward, to ye indicator bhi usi k leye hi banaya geya hai, k qeematon k upward ya downward movement ki nishan-dahi kare. Sideways market me is indicator ka istemal kam ho jata hai, ya traders us waqat parabolic SAR pe trading se muhtat rehte hen.

      Click image for larger version

Name:	images (6) (18).jpeg
Views:	13
Size:	29.3 کلوبائٹ
ID:	12399372

      Trading on Parabolic SAR Indicator


      Parabolic SAR indicator pe trading karna ya traders ko is indicator ka samajhna bohut zyada asaan hai. Ye indicator baqi sab indicator ki nisbat entry, exit trailing stop waghera k leye sab se simple indicator hai.

      Buy Entry: jab bhi chart pe qeematen parabolic SAR indicator se above ho, yani indicator k dots price ya candles k lower side pe ho to ye bullish trend ki alamaat hoti hai, is waja se humen is position pe buy ki entry karni chaheye.

      Sell Entry : Jab bhi qeematen parabolic SAR se below trade kar rahi ho, yani indicator k dots price k abaove ho to humen is point me sell ki entry karni chaheye.

      Stop Loss: Parabolic SAR indicator me hum stop loss ya as a trailing stop loss k option k tawar par bhi istemal kar sakte hen, jab bhi qeematen trend me agey move kar rahi ho, to indicator me stop loss ko bhi us k mutabiq shift karte jayen.

      Exit Trade:

      Parabolic SAR indicator market k trend k mutabiq dots ki sorat me move karta hai. Jab bhi aik trend reversal hota hai, to us point pe indicator bhi apne dots chart k mutabiq shift karta hai, lekin yahan pe ye point note karna chaheye, k agar ye dots opposite trend me teen se ziada hone lagay to market se exit kar jayen, lekin short fake reversal signal se bachne k leye kam az kam teen dots tak ka intezar zaror karen.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (46).png
Views:	8
Size:	16.0 کلوبائٹ
ID:	12399371
      منسلک شدہ فائلیں
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: How to trade with Parabolic SAR Indicator in forex trading?

        Parabolic SAR Indicator


        J. Welles Wilder ne is simat ka taayun karne ke liye aik trend following indicator ke tor par parabolic SAR banaya jis mein koi asasa ja raha hai. Stop aur reverse tareeqa, mukhtsiran sar, indicators ka dosra naam hai. Is ka maqsad trading asason ki qeematon ki naqal o harkat mein market ke mumkina ulat phair ko talaash karna hai. Usay dakhlay aur kharji rastay ke tor par bhi istemaal kya ja sakta hai. Trend saaz markets mein, parabolic SAR sab se ziyada mo-asar hai. Wilder ke mutabiq, traders rujhan ki taaqat ka taayun karne ke liye mutabadil isharay istemaal karne se pehlay rujhan ke course ka taayun karne ke liye parabolic SAR ka istemaal kar satke hain.
        Parabolic SAR indicator dots ki tarteeb ke tor par zahir hota hai jab naqshay par grafk tareeqay se plot kya jata hai. Parabolic SAR ko taizi ke signal ke tor par samjha jata hai agar yeh mojooda qeemat se neechay zahir hota hai. Jab usay mojooda qeemat se oopar rakha jata hai to usay mandi ka signal samjha jata hai. Loses ko roknay aur faida ke ahdaaf signals ka istemaal karte hue tay kiye jatay hain.

        Click image for larger version

Name:	images (63).png
Views:	15
Size:	14.0 کلوبائٹ
ID:	12399389

        Parabolic SAR Indicator ki Tafseel

        Parabolic SAR Indicator ko aam tor par asasa ke chart mein qeemat ki bar ke qareeb dots ki aik series ke tor par dekhaya jata hai. Jab yeh dots qeemat se oopar hotay hain, to yeh aam tor par neechay ki taraf signal karta hai aur usay farokht ka signal samjha jata hai. Jab dots qeemat se neechay jatay hain, to yeh signal karta hai ke asasa ka rujhan oopar ki taraf hai aur yeh kharidne ka waqt hai.
        Jab dots ki simt tabdeel hoti hai, tijarti signals peda hotay hain, jis ke nateejay mein qeemat mein dramayi tabdeeli anay par munafe ho sakta hai. Flat ya range market mein, taham, indicator kam durust hota hai. Mandarja zail graph tabdeelion ki wazahat karta hai:
        Jaisay jaisay reversal value barhti hai, isi terhan dots bhi increase hote hen. rujhan ke sath, raftaar taiz ho jati hai. Parabolic SAR kisi rujhan ke douran tijarat mein shaamil ho kar consolidation market mein rujhan se faida uthany ke liye misali hai.
        Jab qeemat aik taraf jati hai, to yeh ghalat aignal peda kar sakti hai, aur tajir mamooli nuqsaan ya munafe ki tawaqqa kar sakta hai. Indicator ka istemaal karte hue stap nuqsaan ke order bhi diye ja satke hain. Yeh sar isharay ki satah se milnay ke liye stop loss ko adjust kar ke poora kya ja sakta hai.
        Mojooda patteren ki shiddat ki tasdeeq karne ke liye, Wilder ne deegar iqdamaat jaisay ke average directional index momentum indicator istemaal karne ka mahswara diya. Moving averages aur candlestick trends do dosray marker hain jinhein SAR trading signals ke sath istemaal kya ja sakta hai.
        JAb kisi asasa ki qeemat long peroid average se neechay ajati hai, misaal ke tor par, parabolic SAR ke sale signal ki tasdeeq ki jati hai. Agar qeemat chalti average se ziyada hai to signal kharidne par tawajah den.

        Parabolic SAR Indicator Calculation kese ki Jati Hai?

        Sab se ziyada aur sab se kam qeemat, neez accelerator factor ka istemaal yeh faisla karne ke liye kya jata hai ke parabolic SAR mein SAR indicator dot kahan dekhaya jaye ga. Parabolic SAR ka formula darjzail hai:

        Prior SAR + Prior AF (Prior EP – Prior SAR) = Uptrend Parabolic SAR

        Prior SAR – Prior AF (Prior SAR – Prior EP) = Downtrend Parabolic SAR



        Formula ki calculation k mutabiq:
        • EP: aik trend ki peak ki numaindagi karta hai (up trend ke douran qeemat ke zariye sab se ziyada ya down trend ke douran pounchanay wali sab se kam qeemat).
        • AF: Accelerator factor hai, jo pehlay se tay shuda tor par 0.02 par set kya jata hai (har baar jab EP record kya jata hai to is mein 0.02 ka izafah hota hai, ziyada se ziyada 0.20 ke sath ). Traders apne trading andaaz ya jis alay ki tijarat kar rahay hain is ki bunyaad par aik accelerator factor ka intikhab kar satke hain.


        Mandarja baala calculation aik dot peda karte hain jo asasa ki qeemat ke amal ke khilaaf plot kya jata hai, ya to is ke neechay ya oopar. Dots qeemat ke mojooda course ka taayun karne mein madad karte hain.

        Parabolic SAR Indicator ko Trading k leye kese Istemal kia Jata hai?

        Green dots batatay hain ke aap ka stop level kahan rakha jana chahiye. Note karen ke stop ab bhi market ki simat mein kaisay jata hai stop kabhi bhi market se daur nahi hota hai. Jaisa ke patteren jari rehta hai, sar-at ka ansar barhta hai, stop ko qeemat ke qareeb lata hai.
        Indicator aap ko tawaquf aur reversal karne ka mahswara deta hai agar market aap ke haq mein badalna jari nahi rakhti hai. Yeh haqeeqat mein bohat aasaan hai, aur is ke nateejay mein, Wilder ke SAR trading ke usool ziyada paicheeda nahi hain. Wilder ki parabolic SAR strategy ke liye darj zail Hadayat hain:
        • Mojooda market ki qeemat se neechay sar nuqton se aik oopri rujhan ki nishandahi hoti hai. Market ki qeemat ke oopar sar nuqton se kami ka rujhan zahir hota hai.
        • Jab qeemat sar se oopar ya neechay ho jaye to faisla karen khareedain agar qeemat SAR se ziyada ho jaye, bechen agar qeemat sar se neechay ho jaye.
        • Jab qeemat dobarah sar se tajawaz kar jati hai, to aap ruk jatay hain aur apni position ko ulat dete hain.


        Click image for larger version

Name:	images (64).png
Views:	5
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12399390

        Trading activity main shaamil karkay aap ki parabolic SAR indicator ki strategies ko mazboot banaye ga. Is baat ka taayun karne ke liye ke aaya aap range se munsalik, side way moving market ke bajaye trending market mein hain, aap ADX jaisay mukhtalif trend indicator ka istemaal kar satke hain. Yeh baat qabil ghhor hai ke parabolic SAR ka maqsad aik taraf ki maeeshat mein kaam karna nahi hai.
        Long term trend ki majmoi simat ko jan-nay se aap ko apni ibtidayi tijarat ki position mein bhi madad miley gi aap ko sirf majmoi rujhan ki simt mein tijarat karna ziyada faida mand maloom ho sakta hai, jaisa ke dosray rujhan ke isharay se shanakht kya gaya hai. Is khayaal ko aik qadam agay berhate hue, mehez ulat jane ke bajaye, trading ki aik mutabadil shakal yeh hai ke tijarat sirf majmoi rujhan ki simt mein ki jaye, jab qeemat sar se takra jaye to inhen band kar diya jaye.
        Meeta trader 4 indicators ki mayaari fehrist ke bajaye zimni indicators ki aik barri range mein se intikhab karna ziyada kaar amad saabit ho sakta hai jab aap ki parabolic SAR strategy mein madad ke liye kon sa zimni isharay istemaal karna hai. Metatrader supreme addition aik metatrader 4 aur metatrader 5 plug un hai jo aap ko dastyab wasail ki tadaad ko numaya tor par badhaane ki ijazat deta hai. Is mein aik taaqatwar' trading similator' bhi shaamil hai jo aap ko apni strategy ki ifadiyat ka marozi jaiza lainay ki ijazat deta hai.

        Parabolic SAR Indicator Advantages and Disadvantages


        Parabolic SAR Indicator istemaal karne ka faida yeh hai ke yeh qeemat ki karwai ki simt ka taayun karne mein madad karta hai. Indicator mazboot trending setting mein achi karkardagi dekhata hai. Agar qeemat mein changes mumkin ho to, trends ke khilaaf tabdeeli waqay honay par isharay bahar niklny ka ishara bhi faraham karta hai. Yeh tareeqa un marketon mein behtareen kaam karta hai jo trend ho rahi hain aur jin mein bullish ya bearish hai .
        Negative pehlu par, jaisay hi market ka rawaya neechay ki taraf barhna shuru hota hai, parabolic SAR ghalat signal peda karta hai. Chunkay koi patteren nahi hai, indicator ghalat signal dete hue qeemat ke baar mein agay peechay jayen ge. Sideway market ke halaat ke douran, mukammal tor par parabolic SAR par inhisaar karne ke nateejay mein trading kho jaye gi.
        Aisi ghaltion se bachney ke liye, trading sirf murawaja trend ki simat mein trading kar satke hain aur jab koi trend nah ho to tijarat karne se guraiz karen. Is terhan ke nuqsanaat se bachney mein madad ke liye deegar matrix, jaisay moving average, ko parabolic SAR ke sath bhi istemaal kya ja sakta hai.

        Click image for larger version

Name:	images (62).png
Views:	7
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12399388

        اب آن لائن

        Working...
        X