Forex Trading Ma Currency Correlation Kia han?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading Ma Currency Correlation Kia han?
    Currency Correlation Kia han ?
    Financial world mein correlation two currencies ke darmiyaan statistical measure ko kehty hain jab aik currency pair move karta hai tu us ka kitna affect kisi dusry pair py hota hai jo us currency pair se related hai .
    Forex Trading me Currency ki Irtiba ka Kirdar :
    forex market kay chart mein two currencies ka apas mein correlation hota hai ya jab chart pay two pairs same direction mein run karte hain tou usy positive correlation kehty hain . And jab woi pairs aik dusry kay opposite run karty hein tou unko negative correlation kehte hain .



    Currency Correlation Ki Ahmiyat :
    Australian dollar (AUD) ka correlation New zealand (NZO) say hai aur us k sath gold and cruide bhi is sey related hein . Correlation ki range -1 or +1 k darmiyaan hoti hai.
    World ki currencies ka correlation bilkul normal hai jaise ke hum Canadian dollar (CAD) ki baat karte hain jiske correlation oil price sey hai.
    Perfect correlation means k currencies k two pairs 100% aik direction mein move karty hain.


    Natija :
    Agar two currency pair ka correlation zero hai tou it means k wo apas mein independent hein and aik pair ki movement sey dusry pair ki movement par asar nahi parta aur dono ki movement random hoti hai . Correlation In ko two currencies k bech statistical measure ko kehty hain. Forex members umeed hai aapp k tamam traders kheriat sy houn gey and forex par achi learning karny k sath sath achi trading bhi kar rahy houn gey , kyun k without learning k ap bilkul bhi trade nae kar sakty .

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading Ma Currency Correlation Kia han?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Currencies Pairs Correlation


    Forex trading correlation do currency joron ke darmiyan talluq hai. Aik musbet correlation uss waqat hota hai jab do jore aik hi semat mein movement karte hain, jab k aik manfi correlation uss waqat hota hai, jab woh mukhalif semataon mein movement karte hain, aur agar jore baghair kisi qabil shanakht rishte ke tasadeeqi tor par movement karte hain to koi talluq nahi hota. Aik manfi correlation ko opposite correlation bhi kaha ja sakta hai .
    Currency ka correlation traders ke liye samjhna zaroori hai kyunkay aksar trader ki aagahi ke baghair yeh forex trading ke result par barah e raast assar daal sakta hai.
    Misaal ke tor par, farz karen ke aik trader do mukhtalif currency ke jore kharidata hai jo manfi correlated hain, jab bhi aik mein haasil honay walay profit ko dosray mein nuqsanaat se poora kya ja sakta hai, jisay aksar hedging ki hikmat e amli ke tor par istemaal kya jata hai. Jab k iss k bar akas do musbat correlated currency jore khareedne par risk aur munafe ki salahiyat ko dugna kar sakta hai, kyunkay dono trade ke nateejay mein nuqsaan ya munafe ho ga.

    Click image for larger version

Name:	images (22).jpeg
Views:	6
Size:	29.5 کلوبائٹ
ID:	12399132

    Explaination


    Currencies pairs k maazi k aidad u shuar ki analysis k baad baaz currency pairs k darmeyan aik khas qisam ka taluq paya jata hai. Ye taluq currency joron k harkat se mutasil hota hai, k jab bhi aik currency jora movement karta hai, to uss k sath dosre currency jore ka kia behaviour hai. Currency joron k darmeyan paya jane wala ye taluq manfi aur musbat dono tarah se ho sakta hai, iss waja se jo ziada musbat taluq hoga to ye aik hi semat main jayengay, jab k manfi taluq se in ki direction aik dosre se alag hoto hai. Currency Correlation ko 1 se - 1 k darmeyan nafa jata hai.
    • + 1 ka correlation talluq zahir karta hai ke currency ke do jore 100 % waqt mein aik hi semat mein movement karengay. Yeh rabat dono currencies pairs k darmeyan musbat hota hai. EUR / USD aur GBP / USD ke darmiyan correlation talluq positive correlation ka aik acha misaal hai, jab aik semat main EUR / USD trade kar raha hota hai, to GBP / USD bhi ussi semat main barhta hai.
    • -1 ka correlation talluq ishara karta hai ke currency ke do jore 100 % waqt mukhalif semmat mein movement karengay. EUR / USD aur USD / CHF ka apas mein mukammal manfi correlation hota hai, yanni jab EUR / USD oopar ki taraf barhta hai, to USD / CHF neechay ki taraf jata hai .
    • 0 ka correlation tab hota hai agar currency ke joron ke darmiyan talluq mukammal tor par be-tarteeb hai, jis ka matlab hai ke un ka koi talluq nahi hai .
    • Qudrati tor par, aik musbet ya manfi correlation jitna mazboot hoga, analysis se pishin goi ki value itni hi ziyada hogi. Technical analysis ke liye istemaal kiye jane walay long term k timeframe one minute k timeframe k correlation ke muqablay mein ziyada durust maloomat dikhata hain, jin ki value thori hoti hai. mahana aur salana data aam tor par sab se ziyada qabil aetmaad value ki accuracy faraham karta hai.



    Currency Correlation Impacts
    • Correlation adad o shumaar ke lehaaz se ziyada imkaan wali forex trading hikmat e amli ki bunyaad bana satke hain .
    • Correlation aap ke forex trading account ke andar is risk ki value ki wazahat kar satke hain jis ka aap ko saamna hai. misaal ke tor par, agar aap ne mazboot musbet correlation ke sath kayi currency jore khareeday hain, to aap ko ziyada risk ka saamna hai .
    • Trader un positions se bach satke hain jo muaser tareeqay se aik dosray ko cancel kar den. EUR / USD aur USD / CHF ka aik taaqatwar manfi talluq hai. agar aap ke paas positive correlation hai to, EUR / USD aur USD / CHF dono khareedna har jore mein honay wali harkato ka muqaabla kere ga.
    • Correlation ko samjhna trader ko forex market mein hedging technical ka istemal kar sakta hai .
    • Agar aap ko di gayi currency ke liye semat malom hai, to aap do positive correlation currency joron ka istemaal karte hue –apne risk ko divid kar satke hain .
    • Agar aap kisi position ko sell chahtay hain ( usay loss ke kam risk ke sath rakhna ) aap manfi tor par munsalik jore mein position le satke hain. Agar aap ne EUR / USD ke liye' lambi kharidari' shuru karni thi, aur yeh aik ulat semat mein trading shuru kar deta hai, to aap currency jore ko buy kar apni position ko hadge kar satke hain jis ka EUR / USD se manfi correlation hai, jaisay USD / CHF.




    Correlation Strategy

    Jab do currency jore intehai positive correlated hotay hain, to aik dosray ki qeemat ki harkat ke ahem indicator ke tor par kaam kar sakte hai. Agar aap do positive tor par correlated joron mein se aik mein taiz movement dekhte hain, to aap dosray mein mumkina movement ka andaza laga satke hain .
    Deegar forex indicators ke sath mil kar analysis karne ke liye bahami correlation aur bhi ziyada taaqatwar forex tool ho sakta hai, misaal ke tor par, agar aik jora support ya resistance ki aik ahem technical level se oopar ya neechay toot jata hai, to qareebi musbet tor par correlated jore mein darjzzail risk ka ziyada imkaan hota hai:
    • Agar aap ko do manfi tor par correlated currency ke jore nazar atay hain aur aik jore mein qeemat mein numaya izafah hota hai, to aap dosray jore mein mumkina neechay ki taraf ulat jane ka andaza laga satke hain. yeh qeemat ki tabdeeli hai.
    • Do strong correlated currency ke joron ke darmiyan ghair mamooli farq ka intzaar karen aur aik khareedain jab k dosray ko bechen, is umeed ke sath ke woh dobarah qeemat ki movement mein aa jayen ge.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Forex Trading Ma Currency Correlation Kia han?

      Forex Trading Correlation



      Forex trading market me har cheez kisi na kisi had tak aik dosre se taluq rakhti hai, jab humen us k direction aur us ki mazboti ka pata lag jaye k ye kis had tak strong hai to ye humen bohut faida de sakti hai, ye hamari leye aik acha trading tool bhi ban sakta hai. Asal baat ye k aik trader kabhi bhi aik currency pair pe trade nahi karta, ye baat hamare leye bohut faidamand sabit ho sakti hai, jab humen ye pata chale ga k currency pairs apas me kis tarah chalte hen. Is k leye hum correlation analysis karte hen.
      Correlation ka hisab (calculation) pricing data k zarye se hoti hai, aur ye number mukhtalif currency joron k darmeyan taluqat ka andaza lagane me madad kar sakti hai. Correlation k numbers kisi trader k leye bohut madadgar sabit ho sakte hen, aur us ki analysis asan bana sakti hai. Agar currency correlation ka sahi istemal kia jaye to ye waqat ki bachat, achi karkardagi aur training me karkard sabit hogi.

      Click image for larger version

Name:	images (6) (9).jpeg
Views:	4
Size:	39.0 کلوبائٹ
ID:	12399134

      Correlation me 1, 0 aur -1 number



      Correlation me high mutabiqat k 1 aur kam k leye zero ka istemal kia jata hai. Yani agar do mukhtalif currencies jore apas me bohut ziada qareeb taluq (positive correlated) ho to wo ya to 1 aur ya 1 k bohut qareeb hongi. Lekin agar do currency pair k darmeyan akhtelaf (negative correlation) hen to wo -1 ya -1 k bohut ziada qareeb hongi. Zero (0) yahan pe neutral ka kaam karta hai. Yani dono currency joron ka taluq acha bhi hai aur nahi bhi hai.

      Positive Correlation



      Agar do currency joro ka correlation apas me 1 ya us k qareeb hai to ye positive correlation hoga. 1 correlation hone ka maqsad hai k ye dono jore apas me 100% correlated hen, aik currency pair k up jane se dosra bhi lazmi up jayega. 1 correlation hona aik ideal baat hai, real me aisa mumkin nahi hai. NZD/USD aur AUD/USD apas me positive correlated hen jab k USD/CAD aur USD /CHF apas me positive correlated (taqreeban 0.95) hen.


      Negative Correlation



      Jab correlation ratio do currencies joron k darmeyan -1 ya -1 k qareeb hon to ye negative correlation ban jata hai. Negative correlation me bhi aik pair ka correlation mukamal -1 nahi hota, q k ye aik ideal number hai jis ka matlab hai k 100% correlated hona. GBP/USD ajr EUR/GBP ka strong negative correlation (taqreeban -90) hai.

      Click image for larger version

Name:	images (10) (25).png
Views:	10
Size:	31.1 کلوبائٹ
ID:	12399135

      Currency pairs and Commodities Correlation



      Currencies pairs to bohut ziada apas me positive ya negative correlated hote hen, lekin financial market me currency ka commodities k sath bhi positive aur negative correlation ka taluq rehta hai. For example; agar gold ki market uper jati hai to AUD/USD currency jore ki qeematen bhi up jana shoro karti hai, yani Australian dollar ka gold k sath strong positive correlation hai. Lekin us k bar-aks American dollar ki value me kami waqea hoti hai, yani gold ka USD k sath negative correlation hai. Isi tarah agar Crude oil ki qeematen up jati hai to EUR/CAD currency pair down jana shoro karta hai, q k Crude oil ka CAD k sath positive correlation hai.

      Click image for larger version

Name:	images (6) (8).jpeg
Views:	1
Size:	63.9 کلوبائٹ
ID:	12399136

      اب آن لائن

      Working...
      X