What Is a Bullish Harami? Mukamal tafseel ky sath.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What Is a Bullish Harami? Mukamal tafseel ky sath.
    Assalam u Alaikum dear members umeed karta hon keh ap sab thek hon gy. Jaisa keh ap janty hain keh ham hamaisha ki tarah he ap ky liye bahut he informative topics laty hain jo keh ap ki trading ko bahut he strong bana sakty hain. Ham ap ki khidmat me aisy topics per bat karty hain jin ko agar ap follow karen to ap loss sy bach sakty hain aur safely trading kar ky bahut acha profit hasil kar sakty hain. Aj ka hamara topic hai Bullish Harami kia hota hai aur yeh kaisy kam karta hai ham is per mukamal tafseel sy bat karen gy. To aeye shoro karty hain aur is par roshni dalny ki koshish kart hain.


    Introduction


    Bullish Harami aik candle stick chart patteren hai jo is baat ki nishandahi karta hai ke Market ka trend badal raha hai .



    Understanding a Bullish Harami


    Click image for larger version

Name:	lkop.png
Views:	1
Size:	46.8 کلوبائٹ
ID:	12535212


    Bullish Harami ishara deta hai ke Market ka trend khatam ho raha hai. taizi walay harami sarmaya karon ko ishara day satke hain ke woh asasa khareedain .Aik candle stick chart security ki karkardagi ko track karta hai aur is ka naam is ki mustateel shakal ke liye rakha gaya hai jis mein phaily hui lakerain mom batii aur VICKS se millti jalti hain. aik candle stIck chart stock ke rozana khilnay, band honay, ziyada aur kam qeematon ko dekhata hai .Harami namonon ki talaash mein sarmaya karon ko pehlay candle stuck charts ka jaiza lena chahiye. aik taizi wala harami qeemat mein kami ke rujhan ki nishandahi karne ke liye ibtidayi mom btyon par inhisaar karta hai aur aik mandi wali market qeemat ko neechay dhakel rahi hai.



    Bullish And Bearish Harami, and Advanced Candlestick Patterns


    Candle stIck charts tajzia karon ko rozana market ki karkardagi ke data ka taizi se tajzia karne mein madad karte hain .Candle stuck chart ka tajzia mustaqbil ke rujhanaat ki pishin goi karne ke liye patteren ki aik wasee range paish karta hai, Bashmole taizi aur mandi ke haraam. cross, shaam ke setaaray, ubhartay hue three, aur patteren ke sath, blush aur bearish Harami bunyadi candle stick pattern hain. gehray tajziye mein jazeeray ka ultana, Hook Reversal , aur San-Ku ya Three Gaps pattern shaamil hain .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What Is a Bullish Harami? Mukamal tafseel ky sath.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Pattern


    Bullish harami candlestick pattern assets ki iss baat ki taraf ishara karti hai, k ab market main sellers ka control buyers k hathon muntaqil hone wala hai. Pattern main shamil candlestick aghaz main aik bari bearish candle hoti hai, jo k downtrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Lekin dosri candle size main small hone aur pehli candle k darmeyan main banne par ye prices ko mazeed downward jane main rukawat dalti hai. Pattern low price area main uss waqat banta hai, jahan par assets ki demand ziada ho chuki hoti hai aur supply kam increase howi hoti hai. Demand ki increasing ki waja se assets ki value main izzafa hota hai, jiss se prices bhi bharna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (26).jpeg
Views:	29
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12399151

    Candles Formation


    Bullish harami candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se aik strong bullish trend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik simple sa pattern hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220604_190820.jpg
Views:	1
Size:	14.4 کلوبائٹ
ID:	12399152

    1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color bhi bearish pattern k mutabiq black ya red hota hai. Ye candle prices k bottom ya low price main bearish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish harami candlestick pattern main shamil dosri candle aik small real body wali hoti hai, jiss ka open aur close same point par nahi hona chaheye. Ye candle aik bullish trend wali banti hai, jiss ka color white ya green hota hai. Ye candle pehli candle k andar banti hai.


    Explanation

    Kisi bhi assets ki value bohut ziada low hone par aksar usko trend reversal ka samna karna parta hai, issi tarah same bullish harami candlestick pattern main bhi hota hai, jiss main prices low area ya bearish trend k baad bullish trend reversal main tabdeel hoti hai. Bullish harami candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss k real body lazmi hoti hai aur iss candle ka open close se ooper hota hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open, close, high aur low sabhi points pehli candle k open close k darmeyan main hote hen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220604_190749.jpg
Views:	1
Size:	65.3 کلوبائٹ
ID:	12399150

    Trading

    Bullish harami candlestick pattern trading k leye aik moasar candlestick pattern hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Trade k enter karne se pehle market ka low price area ya bearish trend main hona zarori hai, jab k small bullish candle k baad aik trend confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle ka bullish hona lazmi hai, jo dosri candle k top par close honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli bearish candle k low price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220604_190800.jpg
Views:	1
Size:	41.6 کلوبائٹ
ID:	12399149
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What Is a Bullish Harami? Mukamal tafseel ky sath.

      Assalam o alikum umeed hai k ap sab theek thaak hon gy aur aap sab achy treeky sy trading kar rahy hoon gy. aaj ka hmara topic hai k bullis hrami candlestic pattern kia hota hai. to apny topic ko discuss karty hain.

      Bullish hrami candlestic patern kia hai?

      Bullish harami candlestic pattern aik aisa pattern hai jo k market mai bullish trend reversal ki alamt smjha jata hai es ka mtlb hota hi k market mai bearish trend khtam ho gya hai aur chance hai k bullish trend start ho jaye ga lehaza market mai ab buy ki trade leni chaheay aur seliing ko rok dena chaheay.

      Bullish harami candlestic pattern kis trha sy banta hai?

      Bullish harmai cnadlestic pattern 2 candles per mushtamil hota hai. es kmai pehly aik bari body wali bearish candle banti hai os k bad aik choti body ki bullish candle banti hai aur bulish candle es trha sy hoti hai k os ko bearish candle engulf kar rahi hoti hai. mean bearish candle ki closing price bullish candle ki opening price sy thora sa neechy ho gi aur bearish candle ki opening price bullish candle ki opening price sy ooper ho gi.

      Trading with bullish harami candlestic pattern

      Bullish harami sy trade karny k leay zroori hota hai k nazeed koi acha resistance level na ho
      nazdeek koi achi support ho
      patern trend k bottom per ban raha ho
      agr ye sab signs poory ho rahy hoon to buy ki trade li ja sakti hai

      اب آن لائن

      Working...
      X