Assalamu Alaikum Dosto!
Support and Resistance
Support aur resistance levels bohut ziadda aham points hen, jahan pe talab aur rasad (supply aur demand) ki quaten (forces) meltti hen. Market ki naseyyat aur supply aur demand ka tayun karte waqat technical analyst in support aur resistance levels ko bohut aham samjhtte hen. Jab bhi ye support aur resistance level breakout ho jatti hai, to ye samjha jatta hai k supply aur demand ki forces jinhon ne in sathon ko bannaya hai munttaqil ho gaye hai, aisi sorrat me naye support aur resistance levels k banne ka imkan hotta hai.
Support
Support wo satah (level) hai, jahan par demand ittni mazzbot hotti hai, k stock ko mazzeed nechay gerne se roktti hai. Support satah par qeematon ko nechay main dushwaree hotti hai, ye is waja se hotti hai, k jab bhi qeemat gerti hai, aur support level k qareeb atti hai, to market main buyers (demand) khareedne ki taraf ziadda mayel ho jatte hen, aur sellers (supply) market me ziadda kam mutaharek hotte hen.
Resistance
Resistance wo satah hotti hai, k jahan pe supply itni mazzbot hotti hai, k stock ko mazzeed upper janne se roktti hai. Jab bhi kisi stock ki qeemat resistance levels k qareeb jatti hai, to us ko ziadda upper janne me mushkil pesh atti hai, is ki wajja ye hai, k jaise jaise prices resistance levels k qareeb pohunnchti hai, to sellers (supply) sell karne ki taraf mayyel ho jate hen, aur khareedar (buyers) market me khareedne k leye kam dilchaspi dekhatte hen.
Psychology of Support and Resistance
Support aur resistance k pechay market ki kia nafseyyat hotti hen wo aap ko darjazzel mesalon (example) ki maddad se samajh a jayega;
Support Example: buyers ka ek group support area main stock ko khareed rahe hotte hen, aggar yahan par support level $50 ka hai. Buyers $50 par kuch stock ko buy kartte hen, aur prices yahan se move kar $55 par challi jatti hai. Is par buyers khush hotte hen aur wo mazzeed $50 par stock khareedna chahte hen, lekin $55 par nahi. So wo faisela karrte hen jab bhi qeemat wapis $50 par jayegi to wo mazzed stocks ko bay karengay, yahan par wo $50 par demand set kartte hen.
Ab aik dosra traders ka group aisa hai, jo k $50 par stock ko khareedne par tazzabzub ka shikar they, lekin $55 par stock janne ki waja se wo $50 par stock buy na katke pechta rahen hen, aur faisela karte hen, k jab bhi stock wapis $50 par jayega to wo lazzmi buy karengay aur wo bhi $50 par demand set kar lette hen.
Ab buyers ka ek teesra aisa bhi group hai, jis ne $40 par stock ko buy kia hotta hai, lekin wo $50 par us ko sell karte hen. Lekin jab wo dekhtte hen k stock $55 pe chala gaya to wo apne selling par pechtate hen, is waja se wo bhi faisele kartte hen, k jab bhi aggar stock dobbara $50 pe ayega to wo khareedengay. Ye group bhi $50 par stock k leye demand set karte hen, jis se demand bohutt mazzbot hotti hai.
Resistance Example: Resistance k mesal main bhi hum stock ki maojooda qeemat $50 hi tasawar kartte hen, aur buyers stock ko $50 par buy karte hen. Ab aggar qeemat $50 se $55 par chali jatti hai, to traders koshash kartte hen, k wo stock ko $55 par sell karden, bajaye ia k keh ye wapis $50 par aye, aur maximum traders aisa hi karrne ki koshash karrte hen. Jab bohut zyada miqdar main stock market me ferokht k leye pesh hogga to qeematen wapis support level ki taraf chalna shoro kartti hai. Stock par teen qisam k groups ka bohut ziadda pressure parne ki waja se stock $50 k level se wapis mor jata hai, lekin $50 par dobara demand ziadda hone ki waja se qeematen mazzeed nachay nahi jatti hen.
Support and Resistance Role Reversal
Technical analysis main ka aik key concept hai k jab bhi prices support aur resistance levels kp breakout kartti hai, to is ka role reversal ho jata hai. Aggar qeemat support level se nechay atti hai to wo level resistance ban jayegi, aur aggar qeemat resistance level se upper jatti hai to ye aksar support level ban jatti hai. Jaise jaise qeemat support ya resistance levels se guzzarti hai, to ye khayal kia jata hai, k supply aur demand main tabdelli aye hai, jis ki waja se ye tabdeeli reversal role kartti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим