MACD Indicator
Moving Average Convergence/Divergence indicator yani MACD indicator aik momentum oscillator hai, jo bunyadi tawar par trend par trading k leye istemal hota hai. MACD indicator aik oscillator hone k bawajood bhi over-bought aur over-sold position ki indification k leye istemal nahi hota hai. Ye chart par two lines se zahir hota hai, jiss k upper ya lower sides par koi khas levels ya hodod nahi hote hen. Dono lines ka cross over moving average system ki tarah trading signals deta hai.
How MACD indicator Works
Moving Averages ki tarah MACD indicator bhi same cross over tareeqay kar par kaam karta hai, asal main MACD indicator bhi moving average family se taluq rakhta hai, q k ye bhi moving averages ka hi istemal karta hai, MACD Indicator ki tafseel darjazzel hai;
- Agar MACD zero ko upper side par cross kar deta hai, to ye bullish consider hoga, jab k nechay ya below cross karne par bearish hoga. Dosra agar MACD nechay ya below se zero ki taraf jata hai, to ye bullish hoga, jab k upper se zero ki taraf ana iss ko bearish shumar kia jayega.
- Jab MACD line signal line ko nechay se upper ki taraf cross karti hai, to is indication ko bullish qarar deya jata hai, jitna ye zero se nechay hoga, utna hi signal ziada mazbot hoga.
- Jab MACD indicator line signal line ko upper se nechay ki taraf cross karti hai, to is indication ko bearish qarar deya jayega, jitna ziada ye zero se upper hoga utna hi signal ziada strong hoga.
- Range trading k dowran MACD indicator whipsaw karta hai, tez raftar line signal line k agay pechay cross karti hai. MACD indicator istemal karne wale traders is soratehal main trading se gurez karte hen, ya wo iss dowran range trading main apne trades close karte hen. MACD indicator aur price action k divergence k darmeyan faraq aik strong signal hai, jab ye cross over signal ki tasdeeq karta hai.
Calculation
MACD indicator ki calculation main two moving averages, 26 Exponential Moving Average aur 12 Exponential Moving Average ka istemal kia jata hai. 12 (EMA) se 26 (EMA) ko tafreeq kia jata hai. Short EMA teezi k sath long EMA k qareeb aur uss se door jata hai. Iss ki waja se MACD indicator line zero ki satah k ird gerd ghomti hai. MACD line k sath 9 period EMA ki aik signal line banye jati hai.
MACD indicator ki upper calculation indicator main by-default set hoti hai, yanni traders apni marzi aur trading strategy k mutabiq apni settings tabdeel kar sakte hen. Long term k trader ziada time frame k moving averages jab k short term k traders small moving averages ka istemal kar sakte hen.
Trading
MACD indicator par trading karne se pechle apni trading strategy k mutabiq settings zarori hai, agar ye indicator by-default setting par istemal karna ho to bhi short aur long term ki trading k leye thek hai. Jab bhi indicator main short term yanni 12 EMA line 26 EMA lone ko nechay se upper ki taraf cross karti hai, to ye aik sell ka signal genrate karti hai, jab k agar same line upper se n3chay ki taraf ho to ye aik buy ka signal hoga.
Traders ziada tar trend confirmation par trading ko tarjeeh dete hen, to jab bhi indicator main cross over ho aur price action bhi uss ki confirmation den tab hi market main entry karen, ya MACD indicator ko dosre indicators k sath istemal karen. Ye aik reliable indicator hai jo ziada tar leading indicators k twar par kaam karta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим