trading with bullish hammer candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    trading with bullish hammer candle stick pattern
    what is Hammer candle stick pattern;



    Bullish Hammer candle stick pattern aik single candle stick pattern hota hey jo keh forex market mein price kay chart mein pai jate hey bullish reversal janay ko indicate karte hey yeh dosray candle stick say different hey kun keh es ke aik single candle stick aik mor par kaim ke jate hey or aik kaim kame kay trend kay dorn eshara karte hey
    Hammer kay nechay tasweer ke tashreeh candle stick khas tor par open , close high or low or close level ko samajh kar ke jate hey Hammer bananay kay ley currency pair kay ley currency pair ko nomayan tor par price par sell karna chihay tahum es low kay bad price mein wazah tor par nomain ezafa hota hey jes ke wajah say prices aik small body rakhte hein or es ke ebtadai price tak pohnch jate hein
    Click image for larger version

Name:	trading-the-bullish-hammer-candle_body_2019_05_07_09_38_06_IG_Trading_Platform_Spread_Betting.png
Views:	14
Size:	2.3 کلوبائٹ
ID:	12533051

    bullish hammer candle stick ke lambai kam az kam double long wick hone chihay candle stick red ya green ho sakte hey jo keh reversal janay ke strength ke depend karte hey zyada bullish hammer candle stick pattern hanging man cadle stick pattern kay sath oljh jata hey en do market kay darmean mein farq trend saz market mein n ke jagah ka tayon karta hey Hanging Man candle stick pattern aik chote ce body hey jo keh long wick hote hey laken yeh opar trenfd kay opar latke hove nazar ate hey bullish hammer candle stick ke body small hote hey long wick bhe hote laken yeh serf nechlay trend mein nazar ate hey



    trading with bullish hammer candle stick pattern



    Bullish hammer candle stick chart pttern mokhtalef kesam kay chart pattern mein mell sakte hey or mokhtalef kesam kay time frame mein mell sakte hey AUDUSD daily chart par hammer ke aik mesal hey 20 may say 31 may tak 892 pips tak AUDUSD ger geya hey kame kay trend ka end aik bullish hammer candle stick say kea geya hey es kay bad price nay aaj tak price action kay zarey kull 792 pips ka ezafa kea hey
    Click image for larger version

Name:	trading-the-bullish-hammer-candle_body_Bullishhammer.png
Views:	15
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12533052
    chonkeh hammer ke strength graph mein os ke jagah par depend karte hey aam tor par trader os ke jagah par price ke support or dosray technical indicator ka estamal kartay hein es mein tools ka estamal karna shamel hey Hammer ke wick support level mein enter ho jay ge laken body support kay new jazbay mein support kay opar close ho jay ge buying kay new chance kay sath support kay opar close ho jay ge or es kay bad support kay nechay banay ge wick kay nechay stop laganay ka entakhab karen



    Bullish Hammer candle stick pattern in equity market



    bullish hammer candle stick pattern ke tashreeh tamam financial market mein es tarah ke ja sakte hey keh tahum stock kay analysis kay ley candle stick pattern confirmation kay tor par mazeed data ke zaroorat hote hey or es baat ko note karna zarre hey keh broker aam tor par forex sameet dosree andorone market kay volume kay adad o shumar dekhatay hein jes ke wajah say volume eshara market kay over all volume kay takhmenay kay ley kabel e aitmad nahe ho sakta hey
    nechay dey gay chart mein Plc chart par aik hammer ko dekhaya geya hey bullish kay hammer kay sath mell kar jaisa keh noman kea geya hey trading volumr mein bad mein nesbatan ezafa hota hey big volume ke wajah say es mein nesbatan es period kay ley edara jate sargarme par zoor dayta hey self trader etni big equity ko effect nahe kar saken gay
    Click image for larger version

Name:	trading-the-bullish-hammer-candle_body_bARCLAYSSHARE.png
Views:	3
Size:	17.4 کلوبائٹ
ID:	12533053
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: trading with bullish hammer candle stick pattern

    Hammer Candle


    Introduction

    Hammer aik trend reversal candlestick pattern hai, jo umoman prices ko uptrend main badalta hai, aur ye prices k bottom par ya bearish trend k baad paya jata hai. Hammer candle aik strong bullish trend reversal candle hai. Candle ki real body bohut small hoti hai, jo k umoman candle ki shadow k muqabele main adhi hoti hai, yani shadow bohut ziada lengthi hota hai. Ye candle upper side par shadow nahi rakhti hai, lekin bohut small si wick mumkin hai, jo k candle ki formation par ziada asar andaz nahi hoti hai. Hammer candle ki real body ka open aur close same nahi hona chaheye, take ye candle dekhne main dragonfly doji candle s3 mukhtalif dekhaye den.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (9).png
Views:	6
Size:	463 بائٹ
ID:	12397232

    Candle ki Pehchan k Rules
    1. Hammer candle k leye prices ka lower, bottom ya bearish trend hona zarori hai.
    2. Candle ki real body small honi chaheye, jis ka open aur close same nahi hona chaheye.
    3. Candle k lower side par aik long shadow honi chaheye.
    4. Candle ki shadow real body k muqabele main double size main hota hai.
    5. Candle ki real body black ya white dono ho sakti hai, lekin agar green ho to ziada behtar hai.


    Click image for larger version

Name:	images (4) (17).png
Views:	6
Size:	7.2 کلوبائٹ
ID:	12397233

    Pattern ki Tafseel


    Hammer candle single pattern candle hai, jiss ka lower side par aik long real body hoti hai, jab k candle ki real body shadow k muqabele main bohut small hoti hai. Candle ki real body ka open aur close same price par nahi hona chaheye, jab k real body kisi bhi color main ho sakti hai, lekinagar ye candle lower prices par bullish banti hai to ye pattern se ziada mushabehat rakhti hai. Candle ka upper side par shadow nahi hona chaheye, lekin chota sa small wick acceptable hai. Hammer candle ki volume aksar pechle do candles se ziada hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (8).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12397234

    Pattern par Trading


    Hammer candle k prices k bottom par buyers aur sellers k psychology ki waja se banti hai. Jab bhi sellers prices ko bearish push karti hai, lekin usi time buyers bhi market main active ho kar prices ko mazeed nechay nahi jane deti haito us waqat ye candle banti hai. Prices ka bottom hone ki waja se prices trend reversal main badal jati hai. Prices aik small real body wali candle hoti hai, jis ka lower side par aik long real body hoti hai, jab k stop loss pattern k lower side par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (16).png
Views:	41
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12397235
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: trading with bullish hammer candle stick pattern

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Hammer Candlestick


      Hammer candlestick aik single candle par mushtamil pattern hai, jo k prices k bottom trend par bannti hai, aur prices ka bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle taqreeban shap main hanging man jaisa hi hai, lekin faraq ye hai k hammer candle prices k bearish trend ya down trend main bantti hai. Hammer candle ki aik small real body hotti hai, jis ka downward side par aik long tail ya wick hotti hai. Jab k ziadda tar candle k upper side par koi wick ya shadow nahi bantta hai. Aggar up side par aik small wick ban bhi jayye to bhi acceptable hai, lekin ziada long ya real body se size main bara na ho. Ye candle bottom trend par honne ki waja se inverted hammer candle ki opposite hotti hai, q k wo bhi bottom trend par bantti hai, lekin us ka shadow ya wick upside par hotta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (19).png
Views:	65
Size:	20.5 کلوبائٹ
ID:	12397258

      Candles Formation


      Hammer candlestick pattern bottom trend par bullish trend reversal ka kaam to kartti hai, lekin zarrori nahi hai, k ye candle bullish hi ho. Candle k leye bottom position ziadda aham hai. Candle ki formate darjazzel tarrah se honna chaheye ;

      Click image for larger version

Name:	images (20).png
Views:	2
Size:	3.6 کلوبائٹ
ID:	12397259

      Hammer Candle: Hammer candle bullish ya bearish dono formate main ho saktti hai. Ye candle kisi bhi color main yanni black or white main ho kaam is ka bullish trend reversal ka hotta hai. Candle ki real body small aur lower side par aik long wick zaror hona chaheye.

      Explanation

      Hammer candlestick pattern k banne k pechay ki psychology ye hai k bottom trend par prices bearish trend k rules ko follow kartte howe pehle downward jatti hai, lekin baad main buying pressure ki waja se qeematen wappis increase ho jatti hai, aur candle ki bottom prices k leye support ka role play kartti hai. Hammer candle main prices downward janne k baad wapis open price k pass close ho jatti hai, jis par candle ki aik small real body banti hai, aur lower side par aik long shadow ya wick hotti hai. Hammer candle ki upside par wese to koi wick ya shadow nahi honna chaheye lekin aggar bann jaye to is se candle k formation par koi assar nahi partta hai. Lekin upside par shadow ziadda nahi honi chaheye jis se ye candle "Spinning top" candle bann jaye. Candle k bullish ya bearish color se koi assar nahi parta hai.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220602_101501.jpg
Views:	1
Size:	67.8 کلوبائٹ
ID:	12397252

      Trading

      Hammer candlestick agar long timeframe pa ho to bullish trend reversal ziada mazbot hogga. Pattern k lower side par long wick prices ka support level show karti hai, jiss se prices ka upward rise ziada mustahkem hota hai. Hammer candle shape main hanging man candle jaisa hi hai, lekin prices k bottom par honne ki waja se dono main difference ban jata hai. Hammer candlestick pattern par entry karne se pehle prices ka bottom area honna zarori hai, dossra pattern k baad confirmation candle ya koi relaible indicator se help bhi zaror lenni chaheye. Aggar hammer candle k baad aik long real body wali bullish candle banti hai to ye aik strong trend reversal aur market main buy ki entry ki position hoggi. Stop Loss ki position pattern k bottom par ya hammer candle k lower price se ek ya do pips below set karen.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220602_101513.jpg
Views:	1
Size:	62.1 کلوبائٹ
ID:	12397251

      اب آن لائن

      Working...
      X