Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Pin Bar Candlestick
Bullish pin bar candlestick aik long lower tail k sath short body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Bullish pin bar ki aik long lower tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick pin bar banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Bullish pin bar candlestick pattern bullish aur bearish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada lower area main hone ki waja se ye bullish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.
Candles Formation
Bullish pin bar candle prices k bottom main ziada supply aur kam demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k downward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;
Bullish Pin [COLOR="#006400] Bar Candle:[/COLOR] Bullish pin bar candlestick agar prices k bottom main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bullish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.
Explanation
Bullish pin bar candlestick price chart par aksar bottom ya top prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath downward fall karne k baad wapis apne upper open price k qareeb ja kar close hoti hai. Ye candle aik long lower shadow k sath hoti hai, jiss k upper side psr aik small real body hoti hai. Candle k upper side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jayi hai. Real body ka color kisi khas pattern ka hona zarori nahi hai, lekin iss candle ki lower prices main hona ziada aham hai. Dekhne main ye candle bottom prices par banne wali hammer candle ki hi tarah lagti hai.
Trading
Bullish pin bar candle prices k bottom main ziada bearish pressure parne par banti hai, jiss se aik small real body ki candle k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bullish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad buy ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bullish real body main hona zarori hai, jab k bearish candle banne se ye candle invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya candle k shadow k lower side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим