Bullish Marubozu Candles
Marubozu candles us waqat banti hai, jab b traders market main kisi aik side par bohut ziada khareedarri ya ferokht kar lete hen. Jiss se trader k us timeframe k dowran banne wali candles aik full length ki candle hoti hai, jiss k up and down side par koi small se wick ya shadow nahi banta hai. Marubozu bullish candle main banni wali candle ka color white ya green hota hai, jiss ka open close se kam hota hai. Ye candle stocks ki bullish trend ko zaher karti hai. White Marubozu candle stock ki opening price closing price se kam hoti hai. White candle ki body pori hoti hai aur ye bagher saye k hoti hai. Candle k uper aur lower dono sides pe choti si wick bhi nahi banti. Marubozu white Candle market k bullish trend ya ziada qeematon ko show karti hai, yanni iss dawran buyers market me ziada power me hote hen.
Candle k Rules
- Bullish Marubozu Candlestick me close price open price se ziada hona chaheye, yani candle me open bottom aur close top par hota hai.
- Candle ka low bottom me open k barabar hota hai, jab k high top par close k barabar hota hai.
- Candle ka color white hona chaheye, q k ye prices k top par close hpti hai.
- Candle k up aur down sides par koi wick nahi hoti hai.
Explaination
Bullish Marubozu candlesticks single candles par mushtamil aik strong bullish ka tasalsul ya bullish trend reversal pattern hai, jiss main candle ka open price low aur top price close price hota hai. Agar ye candle prices k bottom me banta hai to ye bullish trend reversal aur agar ye prices k mid ya top me banta hai to bullish trend continuation pattern ka kaam karta hai. Candle k up aur down side par koi shadow ya wick nahi banta hai. Agar candle ki kisi aik side par shadow ya wick ban bhi jaye to ye aik simple "Bozu" candle ban jati hai.
Trading
Marubozu candle prices k leye trend continuation aur trend reversal dono ka kaam karti hai. Ye candle ki trend continuation ko samajhne k leye bohut zarori hai. Ye candle trend ki lower ya uper side pe mazboti dekhati hai. Candle k baad banne wali ziada tar candles usi pattern ki hi hoti hai. Marubozu candles aksar market me breakout ya strong signal melne pe ban jati hai. Marubozu candle agar white hai to trade buy ki entry k leye signal genrate karta hai.