Doji Candles
Four Price candle doji family se taluq rakhti hai jo k aik unique design me banti hai, jo baqi dosre doji candles se bohut alag tarah se dekhti hai. Doji candles markek me us waqat banti hai, jab qeematon ka open aur close aik hi point pe hota hai. Is candlestick me qeematen apne aghaz ki position se shoro ho kar up aur down move karne k baad wapis apni open wali position pe band ho jati hai. Financial markets medoji candle aik neutral candle hoti hai, q k is ki real body bulkul hoti hi nahi hai. Isi tarah se Doji candles me aam bullish aur bearish candles ki nisbat shadow hi bohut zyada ahmeyat ki hoti hai. Candles ka shadow jis side pe ziada hota hai, to umoman qeematen us semat ki ulat (reversal) side pe jati hai, q k qeematen us side ko reject kar chuki hoti hai. Doji candles main four price doji candle sab se alag dekhti hai, jiss ki tafseel nechay hai;
Four Price Doji Candle
Doji candles ki wo qisam jis ka open, close, high aur low same point ye price pe hota hai, uss ko Four Price Doji Candle kaha jata hai. Doji candle me real body na hone ki waja se is candle ki wick ya shadow ki ahmeyat ziada ho jati hai, lekin doji candle me four price doji candle aisi candle hai, k jis ka shadow bhi nahi hota. Is candle me qeematen jis position pe open hoti hai, to candle ka duration pora hone k baad bhi qeematen same usi position pe hi rehti hai.
Candle k Aham Rules
- Four price doji candle ki high aur low same hone ki waja se chart pe line jaisi dekhaye deti hai, q k candle me qeematon ka open-close aur high-low aik hi point pe hota hai.
- Candle ki na to real body hoti hai, aur na hi is candle ki kisi side pe shadow hoti hai.
- Candle k banne ka matlab hota hai, k market me buyers aur sellers ki kki dilchaspi nahi hai.
- Candle ko aam tawar par aik neutral candle tasawar kia jata hai, q k qeematen apni jagah se halki bhi kisi aik side pe move nahi hoti.
Pattern ki Tafseel
Jab bhi market me investors ki koi khas dilchaspi nahi rehti ya wo kisis bare events ki intezar main hote hen, to uss waqat market me Four Price Doji Candle ban jati hai. Four price candle aik neutral doji candle hoti hai, jo na to real body rakhti hai aur na hi is candle ki kisi aik side (up and down) shadow hota hai. Baaz dafa umoman investors kisi news ya bare event k intezar ki waja se market se be-rukhi ikhteyar karte hen, jis ki waja se market me qeematen aik hi point pe rukh jati hai. Market me aksar trend is candle k banne ki waja se reversal trend pe chale jate hen.
Four Price Doji pe Trading
Four Price Doji Candle par wese to trading karna bohut riski hai, q k market ki koi semat wazih nahi hoti ha. Four price doji candle pe trading hum us waqat kar sakte hen, jab bhi qeematen ya to high prices area yani bullish trend me hoti hai, aur ya low prices area yani bearish trend me ho. Ye candle high price area me banne se trend ko reversal bearish trend me convert kar deti hai, jab k low price area me banne se ye trend ko bullish reversal me convert kar deti hai. Candle ki position agar chart k darmeyan me a jaye to us waqat ye neutral tasawar hoti hai, jis pe trading se ikhtiat karna chaheye. Wese bhi ye candle neutral hoti hai, q k traders kisi bare news ya event k intezar me hote hen.
Four Price Doji Candle aik signal candle ka pattern hai, iss waja candle par trade lagane se pehle pattern k baad banni wali candle se confirmation zarori hai, agar wo candle reversal trend pe banti hai, to us waqat humen trend k side pe trade open karni chaheye, stop loss candle ki sab se up position sell trade k leye aur sab se down position buy trade k leye hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим