Reversal and retracement??
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Reversal and retracement??
    Assalam alaikum dear members!
    umeed hai aap sb khair khairiat se hn gy or apki trading bahut achi jaa rahi ho ge>
    dear members trading k doran aksr hmary sth aisa hota hai k hum jskoreversal smjh k trade lety hain market wahan se reverse ni hoti or baad main pata chlta hai k ye to market retrace kar rahi thi or estrha hamen loss hota ha.
    agar hum loss se bachna chahty hain to hamen es main reversal or retracement ka frk smjhna ho ga taa k hmari trades profitable hn.
    es lye aj ki post main hum reversal or retracement k frq ko smjhen gy.

    What is retracement??

    Dear members jb market kisi trend main move karti ha jesa k uptrend to market seedha seedha opr ni jati bl k market opr nechy zig zag ho k ya koe pattern bna k opr jati ha.
    Jb market uptrend main ho r thora nechy ay phr opr jay estraha ki wave bnati ha or nechy ki movement ko retracement kaha jata ha.
    or es movement main market higher highs or higher lows bnati ha jb tk market apny low ko break ni karti to esy retrecement hi kaha jata ha.

    Click image for larger version

Name:	ret.png
Views:	16
Size:	13.8 کلوبائٹ
ID:	12532866

    estrha uptrend main hamen hr retracement k bad buy ki trade leni chahye na k retracement py sell ki baz mrtba traders retracement py sell ki trade le lety hain or loss kr bethty hain.

    What is reversal??

    Dear members jb market apna koe trend change kar k dosry trend main jati ha to esy trend reversal kaha jata ha.
    jesa k market agr downtrend main ho to market lower lows or lower highs bnati ha or jb tk aisa chly ga to trend continue rhy ga or jb market apna high break kr k opr ki trf jygi to us wqt trend reverse ho jyga or market downtrend se uptrend main chli jygi.
    Click image for larger version

Name:	84429512-3E68-4925-B727-4E5ED3E75AE7.png
Views:	20
Size:	20.8 کلوبائٹ
ID:	12532867market ka trend reverse ho to es main hum opposite trade lety hain or es main achi trade milti ha.

    How to identify reversal and retracement??

    Dear members retracement or reversal ko identify karny k lye hum technicals tools use kar skty hain jesa k agr market apny trend main move kar rhi ha or jb tk market apny lows or highs break ni karti to reversal ni hota or retracement hi hoti ha.
    or es k ilawa Fibonacci retracement indicator best tool ha jo k market main reversal or retracement ki identification main use hota ha.Click image for larger version

Name:	D9B52176-AC72-4766-8EC9-5643945FCC3B.png
Views:	17
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12532868

    indicator main hamen differnt ratios di jati ha or es indicatoe ko swing low se swing high tk lgaya kata ha kr agr market 61.8% se zada retrace kar jy to es reversal kaha jata ha agr market 61.8% se opr hi rhy to esy reversal kaha jata ha or expect kia jata ha k market apna trend continue kary ge.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Reversal and retracement??

    Reversal or Retracement

    Dear Friends , Agr Breakout ky baaad Market retrace movement start ker deti hai tou reverse order main trade open kerna hoti hai aur agar breakout kerti hai tou hamain same direction main breakout per entry lena hoti hai agar Ham wait kiay baghair hi reverse direction main trade open ker lety hain tou hamain bahot bara loss bhi ho sakta hai isliay hamain breakout per entry leny ki bajaey sell stop aur buy stop ki surat main pending orders ko use kerna chahiay lekin pending orders ky baghair trade kerty huey break out jab tak clear na ho jaey trade open nehi kerni chahiay ky aesi surat main bhi bahot bara loss ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-05-31T175239.553.jpeg
Views:	4
Size:	36.1 کلوبائٹ
ID:	12396974

    What Is Breakout Strategy

    Breakout strategy me hamen market mein kisi bhi time entry ke liye hamen Breakout ka wait karna chahiye aur ham Breakout per entry len gy to hamari entry good hogi aur hamen market se good profit lene ke chances honge aur agar ham Breakout per entry thi tarike se lete Hain to hamen profit jarur milta hai aur agar hamara entry-point good nahin to axha profit bhi nhi milta.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-05-31T175232.992.jpeg
Views:	1
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12396975

    Breakout Confirmation

    Trading me pahle hamen Breakout ko confirm karna chahie tab trade leni chahie kyunki market mein fake Breakout bhi hote hain jiski vajah se hamen lost bhi ho jata hai aur market hamare against chali jaati hai isliye market mein kisi bhi Breakout ke liye market analysis karna bahut jaruri hai market mein kuchh traders market ke against trade lagate Hain Jab market kisi trend mein acchi khasi movement kar chuki hoti hai to traders market ke against cricket open kar lete hain kyunki market Jab wapas aati hai to unko unki trading se profit milta hai lekin Jay method trading ke liye bahut hi dangerous hota hai aur main samajhta hun per hamen aise method could use nahin karna chahie kyunki aise message se hamen bahut bada loss bhi ho sakte hain isliye hamen chahie ke Ham is method to use na Karen kyunki market trend mein munh mein kar rahi hoti hai tu long time ke liye bhi move kar sakti hai isliye major time frame mein trading karna profitable hota hai support ya resistance per ponchny per trade open kerny ki bajaey kuch time ky liay wait kerna hota hai.
    There is always light. If only we're brave enough to see it. If only we're brave enough to be it.
    • #3 Collapse

      Re: Reversal and retracement??

      Assalaom o alikum umeed hai k ap sab theek thaak hoon gy aur apna kaam bohat hi achy treeky sy kar rhay hoon gy aaj ka hmaa topic hai k reversal aur retracements kia hoti hain aur en ki madad sy trading kese ki jati hai to apny topic ko discuss karty hain.

      Reversal kia hota hai?

      reversal ka mtlb hota hai k market mai jo trend chal raha ho os trend mai tbedeeli ka aana . agr market mai pehly bullish trend chal raha ho to reversal k bad market mai bearish trend start ho jaye ga magr agr market mai bearish trend chal raha ho to reversal k bad bullish trend start ho jaye ga.

      Reversal kab hota hai

      *jab market mai koi bari news aaye jo k market ki direction ko ooposite kar de
      *jab market kisi bohat hi achy support ya resistance level k nazdeek pohnch jaye

      Trading with reversal


      reversal sy trade karny k leay ap ko previous tend k opposite trade open karni hoti hai aur jo naya trend start ho raha ho os trend ki direction mai trade li jaye gi

      Retracements kia hain?

      Market k trend mai aarzi tor per tabdeeli ko pull back ya retracement kaha jata hai. misaal k tor per agr market mai uptrend chal raha ho to market musalsal ooper nahi jati balky market ki price thora sa ooper jati hai aur os k bad market mai thori der k leay down trend aaye ga es ko pull back ya retracements kaha jata hai aur es k bad market mai price ooper jaye gi

      Retracements mai trading

      retracements mai trading k leay zroori hota hai k main trend ki direction mai hi trade ki jaye gi aur jab retracement complete ho jaye to agr bearish trend chal raha ho to selling ki jaye gi aur agr bullish trend chal raha ho to buying ki jaye gi
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Reversal and retracement??

        Retracement and Reversal Kia Hai?

        retracement aik short term stock ki kamzori ki nishandahi karta hai jo ke ahem levels par kharidari ki raftaar ka mushahida karti hai jisay' support' kehte hain. Retracement aur reversal tijarat ke do mtnoa pehlu hain. jabkay Sabiqa ​​stock ki qeematon ya asharion mein kabhi kabhar honay wali islaah ko zahir karta hai, jisay sehat mand samjha jata hai, moakhar az zikr ka matlab hai jazbaat mein gehri kami aur tabdeeli. un ki shanakht karne ke liye, awleen zaroorat tajir ki stock ke rujhan ka taayun karne ki salahiyat hai, jis ke liye bunyadi aur takneeki tajzia ka ilm darkaar hai.
        Retracement aik qaleel mudti kamzoree ki nishandahi karta hai jo ke ahem sthon par kharidari ki raftaar ka mushahida karti hai jisay' support' kehte hain. support level mukhtalif ho satke hain aur qeemat ke mukhtalif pehluo par munhasir ho satke hain jaisay hajam, saylng pressure, candle stuck patteren, aur ziyada kharidi hui / ziyada farokht honay wali sharait .
        Dosri taraf reversal qeemat ki harkat mein mukammal tabdeeli ko zahir karta hai. yeh is manzar naame ki akkaasi karta hai jab qeemat kam ho rahi hai aur yeh is baat ka ishara hai ke qeemat durustagi mein hai aur kisi bhi support par kami nahi hai. qeemat mein kamzoree is waqt farokht ka izafi dabao haasil karti hai jab hajam manfi band par barhna shuru ho jata hai.

        Click image for larger version

Name:	images (6) (24).jpeg
Views:	14
Size:	39.4 کلوبائٹ
ID:	12397071

        Key Differences


        Retracement:
        • Price support level rakhti hai.
        • Price ki consolidation waaqt ki paband hai.
        • Consolidation movement par hajam mein izafah
        • qeemat ke deegar indicators jaisay moving averages, Bollinger band, trendline mazboot kharabi nahi dukhati hain.
        • Price apne aap mein taaqat aur raftaar ko zahir karti hai. baad mein, takneeki isharay jaisay rsi aur macd is ki pairwi karte hain.



        Reversal:
        • Price support level ko breakout deti hai.
        • Price ki consolidation ghair yakeeni muddat ka ishara deti hai.
        • Mazeed breakdown par hajam mein izafah
        • Indicators kamzoree aur manfi jazbaat ki tashkeel ko zahir karte hain.
        • RSI aur MACD qeemat ko ghasetetay hain aur manfi taaqat ko mazeed berhate hain.



        Retracement aur Reversal ke Darmiyan farq Karna Q Zaroori hai ?


        Retracement ko agar trend reversal ke tor par dekha jaye to, shadeed nuqsanaat ka baais ban sakta hai. un dono ki wazeh tor par shanakht karne ki salahiyat mumkina qaleel mudti aur darmiyani muddat ke fawaid ke wazan mein madad karti hai. Retracement tajir ko chhootey munafe haasil karne ka mauqa faraham kar sakta hai aur sath hi usay barray up trained mein daakhil honay ki ijazat day sakta hai. doosri taraf, ulat, aik bara mauqa faraham kar sakta hai, agar pehlay se achi terhan pehchan liya jaye.
        Retracements aik gum shuda tijarat mein daakhil honay ka aik mauqa faraham karte hain jabkay reversal mojooda jazbaat mein mukammal tabdeeli hai. sahih ulat phair ki nishandahi karne se taajiron ki faisla saazi mein ahmiyat barh jati hai aur tijarti aetmaad behtar hota hai. Retracement aur reversal ki shanakht ke liye aik alehda tijarti model bananay ki zaroorat hai.

        Awamel jo Retracement and Reversal ki Shanakht me Madad Karte hen

        • Retracement mukhtalif pehluo se akhaz kya ja sakta hai, sab se ziyada aam tor par tasleem shuda fabonacci retracement hai. Yeh sab se ziyada mumkina feesad ki nishandahi karta hai jahan aik stock wapas le sakta hai aur rebound dikha sakta hai. 23. 6 feesad, 38. 2 feesad, 50%, 61. 8 feesad, aur 78. 6 feesad ki sthin stak ka tajzia karte waqt ghhor karne ke liye ahem wapsi ki sthin hen.
        • Moving averages bhi aik ahem kirdaar ada karti hai. aik mumkina ulat jane ki nishandahi ki ja sakti hai agar qaleel mudti mutharrak ost taweel mudti ost ke sath mil jaye.
        • Volume bhi wazeh tasweer faraham karta hai. hajam mein taizi se izafah ya jhulein ulat jane ki pehli alamat deti hain aur agar yeh kuch aur sishnz jari rahay to koi stock mein kamzoree dekh sakta hai.
        • Candlesticks pattern ko barray charts ke sath jornay ki zaroorat hai. ho sakta hai ke rozana ka chart kaafi wazahat nah day, taham, hafta waar aur mahana chart ka mutalea aisay mamlaat mein shukook ko daur karne mein madad kar sakta hai.

        اب آن لائن

        Working...
        X