RSI indicator In forex

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    RSI indicator In forex
    Friends kaise hain aap sab ummid Karti Hun Ki khairiyat se Honge aur Forex trading business Mein Apni acchi working quality ki vajah Se Achcha profit earning kar rahe Honge. Es job sy kafi human ki life mein change aa chuka ha forex sy hm idea laga skty hain k mehnat k bageer kamyabi mumkin nahein Dosto es leay hmein chaey k hm phly fotex k bary mein knowladge hasil krein acha experience ho phr hm forex ko join krein aur apna facture banein. Dear aty hain hm aj k topic hy stochastic oscillator hy forex mein mazeed profit ho skta ha.es indecator ko disscus krein gy. Aur achy sy apna knowleadge shear krein gy.or ap bhe kosjesh karty rahein ky apny knowleadge or experince ko improve karty rahein es ki waja sy fore x trading sey acha porfit hasil kar skty hn aj ke post ka topic hy Relative strenth index indecator hum kasy es ko apne trading main use kar skty hn or ye indecator kasykam karta hy or hum kasy es indecator ko use kar ky hum apne trade ko kamyab kar sktu hn es ko shart from mein RIS bhe kahty hn


    RSI indicator !

    RSI indicator pe (perameter) ya price reading ya pemayesh k leye 0 se lekar 100 tak k points hote hen, jis ko normaly 0,30,50,70 aur 100 k digits se show kia jata hai. RSI indicator me value aik line graph k shape pemayesh k hisab se moment karti rehti hai. Jis se humen us currency pair k trend k bullish ya bearish moment ka pata chalta hai. RSI indicator me do position bohut important hen, aik ko over-bought aur second ko over-sold kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (7).png
Views:	4
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12532854

    Important Point !

    # Rsi indicator signal provide karta hai technical trader ko bullish and bearish price momentum ky or aik graph plotted karta hai price ka kise bhi stock or assets ky related hota hy
    2. # es mai assets ko us waqt overbought consider karty hain jab Rsi above 70 % ho and oversold us waqt consider hota hai jab below 30% hote hy

    Overbought Trading !2


    RSI indicator me value 70 se oper chali jaye to ye over-bought kehlata hai. Kuch platform me ye level 80 ka hota hai. Bullish trend ya up-trend me, RSI indicator 40 se 90 k darmeyan rehta hai, jab k 40 se 50 ka zone support k tawar par kaam karta hai.
    RSI indicator k over-bought position pe trading k leye zarori hai k indicator me value 70 se oper ho, q k is position pe trend k reversal k chances ziada hai aur traders ko sell k trades lagane chaheye.or waot karna b important hy kabh asa b hota hy traders jalde karty hn or forun sell ke trade open kar lytu hn es traj loss hota hy confermation zarore hy


    Click image for larger version

Name:	images (12).jpeg
Views:	1
Size:	18.1 کلوبائٹ
ID:	12532855
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: RSI indicator In forex

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Relative Strength Index


    Relative Strength Index (RSI) indicator aik bohut mashahoor momentum indicator hai, jiss analyst J. Welles Wilder ne design kia hai. RSI indicator trends aur trend ki semat k tabdeelion ke baray mein mukhtalif signal faraham karta hai. Taham, ziyada tar traders iss ka istemaal overbought (jab price bohut ziada upward ja chuki hoti hai aur yahan se down-fall hone wala hota hai) ya oversold (jab price bohut zyada nechay ja chuki ho aur yahan se prices ka wapis upward jane ka imkan ho) market ke halaat ki nishandahi karne ke liye istemaal karte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (30).jpeg
Views:	42
Size:	21.8 کلوبائٹ
ID:	12427658

    RSI indicator ki calculation darjazel tarah se ki jati hai;

    RSI = 100 - 100 / (1 + RS)
    Where RS = Average Gain / Average Loss

    RSI Indicator Tafseel


    RSI indicator ki value 0 - 100 ke darmiyan hoti hain, aur ziyada tar oscillator ki terhan, overbought aur over-sold honay walay areas mein hotay hain. Indicator ka aam istemaal yeh hai ke 70 ya is se oopar ki RSI value is baat ki nishan-dahi karti hen, ke assets ko overbought kia ja raha hai, aur is wajah se trend ke reversal jane ko imkan ho sakta hai. Dosri taraf, 30 ya is se neechay ki RSI value aam tor par aik oversold honay wali haalat ki nishan-dahi karti hen, jo trend mein tabdeeli ya price ki corrective bullish trend reversal ka signal dey sakti hai. Taham, in overbought aur oversold values mein traders tarmeem kar sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (40).png
Views:	12
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12427659

    Wilder ke mutabiq RSI indicator by-default set up 14-peroid hai. Trader iss value ko tabdeel kar satka hai, iss ka inhisar traders par hai, k wo kis qader slow ya fast se market mein signal ko haasil karna chahtay hen.
    RSI indicator aik momentum indicator hai, lekin trend ka taayun karne ke liye bhi ye istemaal mein bohut aasaan hai. Jab RSI 50 se neechay a jata hai to market ko bearish samjha jata hai, aur agar yeh 50 se oopar chala jata hai to market ko bullish samjha jata hai. Aik oscillator ke tor par, RSI indicator ki apni movement/trends hen aur yeh low aur high bana sakta hai. Iss lehaaz se, indicator ko price aur indicator ke data ke darmiyan faraq talaash karne ke liye istemaal kya ja sakta hai.
    RSI indicator ka bearish divergence uss waqt hota hai, jab RSI indicator overbought zone mein hota hai aur lower highs ko touch karta hai, jab keh ussi waqat price chart mein higher high ko touch kar raha hota hai. Bullish divergence uss waqat hota hai, jab RSI indicator oversold area mein hota hai aur price chart high low banata hai jab keh same ussi waqat prices chart par lower high banata hai.

    RSI ko Trading Plateform main Add Karna
    1. Indicators k drop down Manu mein RSI type karen aur RSI ko muntakhib karen.
    2. RSI ki screen setting ab zahir hoti hain. Aap default input data istemaal kar satke hain ya apna data daraj kar satke hen.
    3. RSI ko, apne trading plateform mein shaamil karne ke liye OK button par click karen.


    Click image for larger version

Name:	images (31).jpeg
Views:	5
Size:	21.6 کلوبائٹ
ID:	12427660

    Sumary

    Relative Strength Index indicator aik strong aur reliable indicator hai, jisay har level ke mutadid trader istemaal karte hain. Yeh aik oscillator ke tor par samajhna aasaan hai. Agar RSI indicator 70 se oopar hai to market overbought zone main jata hai, aur agar yeh 30 se ​​nechay ata hai to market oversold level main chala jata hai. Yeh aam aur new traders ka aik pasandida indicator hai.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: RSI indicator In forex

      Difference between cci and RSI and commodity​ channel


      RSI rishtedar takatvar index to well-known technique escalator hai jo CCI index mukhtalif Spartan in tahi kimat ke rupaye ke Taur consistent with Jyada bhai Hue aur RSI ke Taur according to kam Karte Hain Jyada aap firok Hone Wali faltu ko dekhne ke liye Kintu Mein tabdile girftar Kore Karta Hai Jab Kisi Asha Se Ki Harkat Padhi ausat kimat se CCI ke mamul ke narakut kar:


      R Si takatdar Rishtce ka ishariya


      Maqsood time of Taur according to 14 days R Si ke among up near up opposition area of interest band hone ki ausat Ke Darmiyan Taluka Maulana Karta Hai Iske formule ke zariye taiyar kar da kadron ko FIR kimat Char Ke Niche ek muthare ek line according to plant Kiya Jata Hai Tamam redends restore or shav Ke Darmiyan Punjab Ke Vaste ke sath Chalti Hai jisse mother Kana Had Se Jyada kharide Gaye one hundred se upar aur speed shosh niche ki Sidhu ke bare mein aasani se padhne ki


      CCI Comodetr chanel


      Asal Mein Asia Mein chakravati ruzan aat ko Talash equity aur foreign money CI karne ke liye taiyar Kiya Gaya Hai ka method Kisi Asha se CCI mein bhi Maqbool Ho Gaya Hai Kisi Aam kimat isase ki Chalti ausat Se mavad Na karta hai and FIR Inko Aam kimat se is ke ausat ine 1/2 ke mutaliq Kadar se taksim Karta Hai Allah musaatrining is baat ka Ishara deti hai ki Asa Sa Iske Masi ke ruzan ke chakkaron Se Jyada majbut se exchange Kar Raha Hai Jiski pesh Koi isase karna chahie ki kam manferred kar hahaha KCC I kept rocks workplace I you return do not earth and Cara hello Paul smokes Avenged coordinator responded Amish : Hanso se th uzad vo stupid later donon Momentum CCI aur RSI Kyon Ke Hain isiliye vah Teji aur Mandi ke farak ka Ishara Dene Ke Kabil hay yah is Waqt hota hai jab nai kimat ki Chhoti hun aur vadiyon ko ISI Raftar ki choti aur vadiyon se Aks bandh nahin kiya Jata ISI Tarah Ke band nahin kiya jata hai ISI Tarah Ke ruzan ki tabdiliyon ko numaya karte hain ko Jyada tar marketon ke liye RSI Hai aamtaur consistent with Se Jyada kabile etmad Tu Samjha jata hai aur CCI bahut se taaje iski nisbat sadagi ko tarji Dete Hain

      اب آن لائن

      Working...
      X