Bump and run

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bump and run
    Assalamualikumm dosto aj ham bat karein ga bump and run ka bare mai , isko samjhna ka bad apka trend reversal pa grip boaht achi hojei gi .Bump and Run thomasbulko waski na (Technical analysis of stock commodities) ki book ma bataya ha inka mutbik kisi bi chart pattern ka banana ma 3 zaruri steps hota hain lead-in, bump, run .Bump and run do tarah ka hota ha bullish reversal bump and run , bearish reversal bump and run. Bullish reversal bump and run downtrend ko khatam kar ka uptrend ki direction deta ha .Or bearish reversal bump and uptrend ko khatam kar ka downtrend ka signal deta ha .

    Bump And Run FORMATION :

    Dosto chart ma ham dekhta hain price higher support higher resistance banata hue market ma uptrend dikhata ha or bearish bump and run ka banana ma yha zaruri ha ka shuruwati trend uptrend ho jab price uptrend ma chata hue do support bana da uska bad dono support ka low ko touch kar k ek trend angel line khenchni ha, ab yaha ham man leta hain ka yahan trend angel line 30 degree ka angel bana rahi ha matlab ka tezi ka trend 30 degree ka angel sa chal rha ha,is pahla part ko lead-in kahta ha isma price line ko respect karta hue upar ki taraf barhta ha ,iska bad disra part shuru hota ha usa kahta hain bump ,isma hota ya ha keh price achanak sa bohat zyada pump hona lagta ha ,jab market ma itna zyada pump ata ha to asa lagta hai bazar ma speculative hua ha or iska sath volume bhi barhna lagata ha lakin yha tezi zyada dair nahi chalti ha or price necha ana lagti ha .Ab yaha par ek bat ha jo apko dihan rakhna ha ka ya jo tezi ka trend aya ha wo wakae ma bump ha ,iska lie apko or trend angel line khenchna para gi ya line apko jaha sa bump shuru hua ha or iska owest low sa khenchna ha,or dusri line ka angel pahli linek ka angel sa 1/2 guna to hona hi chahie ,matlab jasa pahli line ka angel 30 degree tha to dusri line ka angel 45 degree ka to hona hi chahiye is sa zyada ho to achi bat hogi .To dosto is tarah sa ham bump ka tajzia kar sakta hain .Iska abd price pahli trend line ka necha closing da da tab bump pura hota ha or isa valid kah sakta hain .Ab akhir ma hota ha run, jab candle pahli trend line ko tor kar necha closing da deta hain .Trend line tutna ka bad bazar ma resistance line ban jati ha is tarah sa price necha ana lagta ha or volume bi increase hona lagta ha .To dosto is tarah sa bearish bump and run ki formation hoti ha .

    Bearish Bump And Run:

    Dosto agar apko chart ma bearish bump and run ka formation dikhaye da rha ha or dono trend angel line ka angel bi sahe ha to apko isma selling karna ka lie yaha dekhna ha ka price bump pura hona par pahli trend line ka necha closing da deta hai to uska bad wali candle ma apko selling karna ha ,or kahridari karna ka foran bad jis candle na trend angel line ka necha closing di ha uska low ka necha ka stopploss lagana ha ,trade lana ka bad apko trailing stopploss lagana ha ab isma akhri point yha ha hamein profit book kahan karna ha ,profit book karna k lie apko yaha dekhna ha jaha sa bump shuru hua ha isa ham name deta ha point A or jaha pa bump ka lowest low bana ha usa ham name deta a point B, ab point A or pint B ka jo difference hoga wo hamara target hoga ,jasa kah point A or point B ka difference 20 point ka ha to hamara target point ka hoga ,or jab price 20 tak ponch jaye hama foran profit book karna ha.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    ### Bump and Run Pattern: Trading Ki Dunia Mein Ek Important Pattern
    Technical analysis mein kai aise patterns hain jo market trends aur potential reversals ko predict karne mein madadgar sabit hote hain. Inmein se ek hai 'Bump and Run' pattern, jo ek strong reversal pattern hai aur market ke trend reversal points ko identify karne mein madad karta hai. Aaj hum is pattern ke characteristics, identification aur trading strategy par detail mein baat karenge.

    **1. Bump and Run Pattern Kya Hai?**
    Bump and Run pattern ek technical chart pattern hai jo market ke ek smooth uptrend ke baad develop hota hai. Is pattern mein teen distinct phases hote hain: Bump, Run aur Breakout. Pehle phase mein, price ek steady uptrend ko follow karti hai, jise 'Bump' kehte hain. Phir price ek sharp rally ke sath upar ki taraf move karti hai, jo ek steep angle ka hota hai aur ise 'Run' kehte hain. Last phase mein, price ek reversal pattern develop karti hai, jise 'Breakout' kehte hain.

    **2. Bump and Run Pattern Ki Pehchaan:**
    - **Bump:** Bump phase market ke gradual uptrend ko represent karta hai. Ye phase price ke gradual increase aur steady growth ko dikhata hai.
    - **Run:** Run phase mein price ek sharp aur steep rally ko show karti hai. Ye phase market mein overbought conditions aur excessive bullish sentiment ko indicate karta hai.
    - **Breakout:** Breakout phase mein price sudden reversal dikhaati hai aur ek downward trend start karti hai. Ye phase market ke trend reversal ka clear indication hota hai.

    **3. Trading Strategy:**
    - **Identification:** Bump and Run pattern ko accurately identify karne ke liye, price chart ko analyze karna zaroori hai. Is pattern ki accurate identification ke liye, price chart par Bump, Run aur Breakout phases ko clearly dekhna chahiye.
    - **Entry Points:** Trading ke waqt, aap breakout phase ke signal ke baad short positions open kar sakte hain. Breakout ke baad, price ke downward movement ka fayda uthane ke liye entry points identify karna zaroori hai.
    - **Stop-Loss Aur Target:** Stop-loss orders ko entry point ke upar place karna chahiye taake unexpected upward movements se bacha ja sake. Target price ko pattern ke height aur downward movement ke basis par estimate kiya ja sakta hai.

    **4. Risk Management:**
    Risk management bhi trading strategy ka ek important hissa hai. Bump and Run pattern ko use karte waqt, additional technical indicators aur volume analysis ko include karna faydemand hota hai. Volume increase breakout ke confirmation mein madadgar hota hai.

    Bump and Run pattern market ke trend reversal points ko identify karne mein madadgar hai. Is pattern ko samajhkar aur sahi trading strategy ke saath implement karke, aap apne trading decisions ko behtar bana sakte hain aur market ki fluctuations ka fayda utha sakte hain.

    اب آن لائن

    Working...
    X