Sports and resistance trading in forex market,,
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Sports and resistance trading in forex market,,
    Aslam o alaikum

    Introduction

    Umeed hai k ap sb thek hn gyen or forex trading ko achy sy enjoy kr rhay hn gyen aj main ap k sath apna experience or knowledge share krny ja rhe hn forex trading krny sy phely trader ko chahiye k study kr lyen tak acha profit hasil kr skty hain humy soch sumj k km krna hota hai technical analysis ko jb ap perform krty hain to ais main ap chart pr different candlestick pattern or chart pattern dkhty hain or ais k sath sath support and resistance dkhty hain jis sy ap ko trade find krny main asani hoti hai..

    Support And Resistance:

    Support:

    Downtrend main market main ais point jahn sy market ko nechy jany main mushkil ho us ko support kaha jeta hai jb market down trend main movement kr rhe hoti hai or market main ais point ata hai jahn market down hony main ya phr us ko break krny msin time lagta hai us ko support kaha jeta hai support sy market ya to wapis uptrend main ho jeti hai ya agr us ko break kry to previous support us ki resistance bn jati hai..

    Resistance:

    Jb market up movement kry or market main ek aisi jaga aya jis ko market break itni asani sy na kr sky us ko resistance kehty hain market uptrend msin movement krty huy kisi aisy point py ruky jahn pr market k movement slow ho jye or jahn market bht ziyada candle bna start kr dy us ko resistance kaha jeta hai jb market kisi resistance ko uptrend main break krti hai to us ki resistance support main convert ho jati hai..


    Use Support And Resistance In Trading:

    1:Trendline Strategy:

    Ais main hum trendline ko support and resistance k toor pr krty hain or us pper trade krty hain trendline strategy main spny market k trend k mutabik trade krna hoti hai jb market uptrend main movement kr rhe hoti hai to ap ko market k support sy buy k trade lagna hoti hai ya phr market jb trendline ko tuch krti hai to ap us main buy k trade lgty hain aisi tahr downtrend main sell k trade lgna hoti hai jb tk trend continued rehta hai ap aisi tahr sy trade krty rehty hain market k trend ko dkty huy trend line draw kren or us pr asani sy trade kren..

    2:Range Strategy:

    Rang trading main apap market jahn range bna rhe hoti hai ais ki support or resistance po r ap trade krty hsin jb market in range bna rhe hoti hai jesa k in support pr ati hai or wapis resistance pr chali jati hai ais k bd dobara support pr aa jati hai yahn market support or resistance k darmain range bna rhe hoti hai yahn po r traders support sy buy krty hain or resistance sy sell k trade open krty hain jb tk kisi bhi side market us ko break ni krti ais msin ap pending order k istemal krty hain or ais main stop loss k istemal lazmi kren..

    3:Breakout Strategy:

    Jesy k mainy ap ko btaya k market kisi bhi support ya resistance ko break krti hai to us k next target next support ya resistance hota hai agr market kisi resistance ko uptend main break kry ge to us k next target next resistance ho gya or agr kisi support ko break kry ge to us k next target next support ho gya or us ki previous support resistance main convert ho jye ge pullback usi ko kaha jeta hai jb market break krti hai support ya resistance to us k bd jb us ko retest k liye ati hai to us ko ap pullback kehty hain jb market break krti hai kisi bhi resistance ya support ko to us main jo trade lagi jeti hai us ko breakout trade kaha jeta hai..
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Sports and resistance trading in forex market,,

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Support and Resistance


    Financial market hamesha supply aur demand k rules par chalti hai. Market main kisi assets ki value ya qeemat hamesha se aik hi position par barqarar nahi reh sakti hai, jab bhi uss ki demand barhti hai, to uss ki value main izzafa hota hai, value main izzafa hone se uss ki prices bhi increase hona shoro karti hai, jo humen line graph upward jata houa ya bullish candles bante howe dekhaye deta hai. Lekin iss k bar akas jab bhi kisi item ya assets ki demand value kam hoti hai, to uss k sayh hi supply main izzafa hona shoro hota hai, jiss se value main kami waqea hona shoro hoti hai, value main kami ka matlab hoga k qeematen kam hongi. Financial markets supply aur demand k rules k mutabiq chalti hai, jiss main kabhi aik increase hota hai to kabhi dosra, jiss se prices stable nahi rehti aur updown movement karti rehti hia.

    Click image for larger version

Name:	images (51).png
Views:	16
Size:	32.0 کلوبائٹ
ID:	12396546

    Resistance Level


    Financial market main kisi assets k price chart par ye wo level hota hai, jahan par market main talab yani demand taqreeba khatam ho chuki hoti hai aur yahan par supply apne urooj par pohunch chuki hoti hai. Resistance level hamesha chart pattern par upward side par hoga, jo k aam tawar par supply zone se bhi jana jata hai. Iss level par assets ki mazeed talab kam ho jati hai aur ziada tar chances hote hen, k un ki ziada supply ki waja se qeematen yakdam ger jayengi. Ye area technical indicators par overbought zone show hota hai.

    Support Level

    Financial market main kisi bhi assets ka sab se kam qeemat area jahan par aksar ziada demand peda hone ka hadsha hota hai, jiss se qeematen increase hone ka hadsha hota hai. Iss position par supply bohut ziada ho chuki hoti hai, aur mazeed supply main kami waqea hoti hai. Ye zone price chart par support level bhi kehlata hai, q k aksar prices iss level se wapis ziada demand ki waja se upper jati hai.

    Support and Resistance main Faraq

    Support aur resistance levels main aik wazih faraq hota hai, jin levels ko prices baar baar touch karke nechay gerti hai, wo levels resistance level hota hai, jo supply zone bhi kehlata hai. Jab wo zone jiss se prices baar baar upper side par movement karne ki koshash karti hai, lekin baar baar touch karne par bhi nechay nahi jati hai, to ye position support level hota hai, jiss ko demand zone bhi kaha jata hai. Resistance level par hamesha demand main kami waqea ho chuki hoti hai, jab k support level main hamesha supply ki kami hoti hai. Ye area prices k upper ya lower sides par breakout hone k chances hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (34).jpeg
Views:	2
Size:	23.5 کلوبائٹ
ID:	12396547

    Trading

    Financial market main aik aseets ki prices updown hoti hai, jiss se traders market main buy ya sell se entry karne profit hasil karne ki koshash karte hen. Traders hamesha resistance level ya supply zone par sell ki trades se entry karte hen, jab k support levels demnad zone par buy ki entry karte hen. Agar prices sirf aik mehdod support and resistance levels k darmeyan trades kar rahi ho to uss sorat main ye range trading hogi, lekin lazmi nahi hai k prices hamesha aik do levels k darmeyan hi trades karen, q k kabhi kabhi ye levels ya zone breakout bhi ho jate hen. Zone ya levels k breakout hone k baad prices new support and resistance levels create karti hai aur financial market ka silsela chalta rehta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (53).png
Views:	2
Size:	16.5 کلوبائٹ
ID:	12396545

    اب آن لائن

    Working...
    X