Bearish Spike Candlestick kya Han?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Spike Candlestick kya Han?
    Bearish spike candlestick aik long Upper tail k sath short body ki candlestick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Bearish spike ki aik long upper tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dusre semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat change nahi hoti hai bulke jo candlestick spike banti hai us k tail ki reversal trend shuru hoti hai. Bearish spike candlestick pattern bearish or bullish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada upper area main hone ki waja se ye bearish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.


    Bearish Spike Candle kya hn?
    Bearish spike candlestick agar prices k top main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bearish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k liye prices k position zaroori hai, color nahi hai.


    Isme Trading kaise ki Jati hai?

    Bearish spike candle prices k top main ziada bullish pressure parne par banti hai, jis se aik small real body kit candy k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bearish signal generated karti hai, jis par confirmation k baad sell ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona zaroori hai, jab k bullish candle banne se ye candle trading k leye invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main trade karni chahiye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se top position ya candle k shadow k upper side par jo k prices k leye resistance level hoti hai, se two pips above set karen.


  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bearish Spike Candlestick kya Han?

    Bearish Spike Candlestick Pattern


    Bearish Spike candle qeematon k top par bullish trend ki tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen downward gerna shoro ho jati hai. Bearish spike candle price chart par single candle family se taluq rakhti hai, jis me candle ka aik small real body hoti hai aur iss me candle ka open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k lower side par shadow nahi banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (22).png
Views:	1
Size:	819 بائٹ
ID:	12397246

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Bearish spike candle aik single candle pattern hai, jo prices k top ya bullish trend main banti hai, jo k bearish trend reversal ka kaam karti hai.
    2. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis me open aur close point aik dosre k qareeb hote hen.
    3. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
    4. Candle k lower side par small si wick k elawa koi shadow nahi honi chaheye.
    5. Ye candle normal prices me neutral hoti hai.


    Click image for larger version

Name:	images (1) (12).jpeg
Views:	17
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12397247

    Pattern ki Tafseel


    Bearish spike candle aik single candle pattern hai, jo k qeematon high area ya bullish trend main ban kar bearish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k prices k leye resistance level sabit hota hai. Bearish spike candle me qeematen upper side par aik lamba shadow bannane k baad aik dosre k qareeb close hote hen, jiss main aik small real body banti hai, jab k candle ka saya real body ka dugna hota hai.

    Pattern par Trading ka Amal


    Bearish spike candle ko technical analysis k tawar par istemal karne k leye prices ka pehle top trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik black candle ka hona zarori hai, jis par market me sell ki entry ki ja sakti hai. Candle ka high shadow strong resistance level hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Candle k baad hi market me entry ki ja sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (21).png
Views:	3
Size:	2.2 کلوبائٹ
ID:	12397245

    اب آن لائن

    Working...
    X