Assalamu Alaikum Dosto!
Upside Tasuki Gap Candlestick Pattern
Upside tasuki gap candlestick pattern chart price main teen candles k darmeyan upward side par aik kicking type pattern hai. Pattern ki pehli aur sosri candles bullish hoti hen, jiss k darmeyan upside par aik gap ban jata hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo dosri candle k baad ban kar gap main close hoti hai. Pattern ki pehli candle k high price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k lower price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Upside tasuki gap candlestick pattern aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles bullish pattern k aur teesi candle bearish pattern k hote hen. Ye pattern prices main buyers ki mazboti aur upward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai.
Candles Formation
Upside tasuki gap candlestick pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfay k doaran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath upper push karte hen, pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka wazih hona zarori hai.
2. Second Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bullish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k high price se above gap main banti hai. Dosri candle ka low price pehli candle k high price se wazih upside gap main hona chaheye. Ye candle bhi aik bullish body main honi chaheye, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
3. Third Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa below banti hai, lekin close gap main ya gap se above honi chaheye. Ye candle prices ko bearish push karne ki nakam koshash karti hai, lekin buyers ki mazboti prices ko upward move karti hai.
Explanation
Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Upside tasuki gap candlestick pattern main bullish trend k dowran do bullish aur aik bearish candles k darmeyan upward side par aik gap banta hai, jo k prices k bullish trend confirmation ki alamat hoti hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle k high price aur dosri candle k low prices k darmeyan aik wazih aur clear gap hota hai, jab k teesri bearish candle dosri bullish candle k top pe open ho kar gap main ya gap se above close hoti hai. Ye pattern buyers ki market main mazboti aur prices ka mazeed bullish jane ka aik clear message hota hai.
Trading
Upside tasuki gap candlestick pattern prices k uptrend main banta hai, aur iss pattern ki mazboti candles ki real body se pata chalta hai. Strong real body wali candles prices ko teezi k sath bullish push karegi, jo k resistance level se upward side par hone chaheye. Pattern par trading se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, aur pattern lazmi resistance line k upward hona chaheye. Confirmation candle real body main bullish candle honi chaheye, jab k bearish candle banne ki sorat main trading ka khatra mol nahi lena chaheye. Ye pattern agar resistance level se nechay banta hai, to ye bearish trend reversal bhi ho sakta hai, iss waja se pattern ka resistance point k top par hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим