Assalamu Alaikum Dosto!
Matching High Candlestick Pattern
Matching High Candlestick pattern two days canrles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k top par ya bullish trend k baad banta hai, ye pattern market main prices k mazzeed bullish na jane aur bearish trend reversal ka signal deta hai. Matching High Candlestick pattern dekhne me same "Tweezers Top Candlestick Pattern" jaisa lagta hai, lekin Tweezers Top pattern main dino candles ka bullish hona zarori nahi hai. Matching High Candlestick pattern k banne ki peche ku psychology kuch iss tarah se hoti hai, k jab bhi prices main pehli candle aik khas bullish point par close ho jati hai aur dosre din ki candle pehle candle k close price ki bajaye nechay se open ho jati hai lekin pehli candle k same top price par close ho jati hai. Yanni dono candles ka close ya high price same hota hai.
Candles Formation
Matching High Candlestick pattern main dono din k candles same format ya trend yanni bullish trend ki candles hoti hai. Ye candles same resistance position par close hoti hai, jiss se prices mazzeed bullish nahi jati. Matching High Candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Matching High Candlestick pattern main pehli candle aik strong real body main banti hai, ye candle color main white ya green yanni bullish hoti hai. Pehli bullish candle prices main bullish trend ki mazboti dekhati hai, jo k pattern k banne se pehle prices follow kar rahi hoti hai.
2. Second Candle: Matching High Candlestick pattern ki second day candle bhi same bullish trend wali hoti hai. Matching High Candlestick pattern aur "Tweezers Top Candlestick Pattern" dono dekhne main same lagte hen, lekin tweezer top pattern main dono candles ka bullish hona ya candles ka close point same honna zarori nahi hai. Ye candle aik munfared iss waja se hai, q k aik to iss candle ka high ya close price same pehli candle jaisa hota hai, jab dosra ye candle pehli candle k close point k bajaye nechay below gap main open hoti hai. Ye candle bhi aik strong real body wali candle hoti hai, jiss ka color white ya green hota hai.
Explanation
Matching High Candlestick pattern aik munfared pattern hai, jiss main shamil dono din k candles bullish hone k bawajood bhi ye pattern aik bearish trend reversal ka kaam karta hai. Pattern high price area ya bullish trend main banta hai, jiss ki pehli candle aik strong real body main banne wali bullish candle hoti hai. Dosre din ki candle bhi same bullish hoti hai, lekin ye candle pehli candle k top par ya close point par open honne ki bajaye nechay se open hoti hai, lekin close same pehli candle k close point par hoti hai. Pattern ki pehli aur dosree candle ka high ya close price same hota hai.
Trading
Matching High Candlestick pattern prices main double top pattern banati hai, yanni prices do dafa same price ya point se reject ho jati hai. Ye point prices k leye aik strong resistance level ka kaam karta hai, q k pattern ki dono candles bullish trend aur bullish pattern honne ki bawajood same point ko breakout nahi kar pati hai. Ye point iss waja se aik strong resistance ka kaam karta hai. Matching High Candlestick pattern par trading karne k leye zarori hai, k prices top area ya bullish trend main hon. Dosra candlestick ki timeframe long term ki honni chaheye, jo kam az kam oneday se ziada ho. Matching high candlestick pattern par Trading se pehel confirmation candle ka honna zarori hai, jo k bearish honna zarori hai. Matching High Candlestick pattern k bad banne wali teesri bearish candle par sell ki entry karen, ye position ziada tez selling position sabi ho sakti hai. Matching High Candlestick pattern par Stop Loss ka lagana zarori hai, q k reversal pattern ziada reliable nahi hotte hen. Stop loss pattern k sab se top position, jo k dono candles ka resistance level banta hai, se aik do pips top position par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим