Long Upper Candlestick Pattern
Long upper shadow candle ki aik small real body hoti hai, jis ka lower ki tadaf par aik long tail ya wick hotti hai. Jab k ziadda tar candle k upper ki taraf par koi wick ya shadow nahi banta hai. Agar upper ki taraf par aik small wick ban bhi jayye to bhi acceptable hai, lekin ziada lamba ya real body se size main bara na ho. Ye candle up trend par hone ki waja se long lower shadow candle ki opposite hoti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Long upper shadow candle aik small real body wali candle hai, jo Umbarella k family se taluq rakhti hai.
- Candle aik bearish trend reversal ka kaam karti hai, iss waja se qeematon ka pehle se low price area ya bearish trend me hona chaheye.
- Candle ki upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
- Candle k lower side par koi shadow nahi hona chaheye, sewaye aik chote se nose wick k.
- Candle ka shadow real body se size me dugna ya us se ziada hona chaheye.
Pattern ki Tafseel
Long upper shadow candle main prices bullish jane k baad wapis open price k pass close ho jati hai, jis par candle ki aik small real body banti hai, aur upper side par aik long shadow ya wick hoti hai. Long upper shadow candle ki lower -side par wese to koi wick ya showed nahi honna chaheye lekin aggar bann jaye to is se candle k formation par koi assar nahi partta hai. Lekin downside par shadow ziada lamba nahi hona chaheye jis se ye candle "Spinning top" candle bann jaye.
Pattern par Trading ka Amal
Long upper shadow candlestick pattern par entry karne se pehle prices ka top area honna zarori hai, dosra pattern k baad confirmation candle ya koi relaible indicator se help bhi zaror lenni chaheye. Agar long upper shadow candle k baad aik long real body wali black candle banti hai to ye aik strong trend reversal aur market main sell ki entry ki position hogi. Pattern par apne risk k mutabiq stop loss set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим