Fibonacci Kiya ha ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fibonacci Kiya ha ?
    Fibonacci Kiya ha ?
    Fibonacci Kiya hai iska mojid kon tha. Is ki calculation kia hoti ha ham is tafseel me nahi jaein ga Support/ resistance ka bab mein hum ne is parha tha ka price sedhi nahi chalti balke seriyo ki shall me opr ya nicha chalti ha. Sehriyo ki levels ko hum fibonacci kehte hain. In levels ko (76.4%) (61.8%) (50.0%) (38.2%) (23.6%) ka hisab se rakha gaya hai.
    Agr Price ap trend me ha to ya deal dalne ka lia intizar kia jae ga ka price kisi muqam pa wapis mura. Is murne ko retracement kahte hn, amuman opr diya gae levels me sa kisi aik level tak wapis ati ha or yahan sa doabra opr ki janib ka safar shuru karti. Nicha di gae shakil me price opr ja rahi hoti thi ki wapis nicha ko muri or 38.2 % sa dobara opr ko chalne shuru hoe.
    Yeh Muqam ko Buy karne k liye inthae mozon hai aur faida mand hai.


    DownTrend me is ka result hoga jase ka shakal me zahir ha.


    Fibonacci retracement ki sata kaledi elako ki nishan dahi karti hai jahan koi stock reyo ya rok sakta ha. Mustarka tanasib me 23.6 % 38.2% or 50% shamil han. Am tor pr ya security ka liya aik once or nichle mukam ka darmiyan hota han jo is ki is ki kimat ki naql o harket ki mustakbil k simat pasan goe karne k liye design kiya gaya hai.
    Islya hame iska bare me malomat hone chiya.
    Last edited by ; 24-05-2022, 05:58 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Fibonacci Kiya ha ?

    Description

    Dear friends Bearish aur Bullish trend par fibonacci tool use Karna hota hai to is ke lye hum down point say up point par aur up point se down point par fibonacci line draw karain gay yeh jo dotted line hain is par ap double click kar ke bhi modify kar saktay hain agar ghalat point par fibo set ho jaye to aap isko sahi kar sakty hain hum is ko daily time frame aur H4 par bhi use kar saktay hain.

    Click image for larger version

Name:	images (12).png
Views:	4
Size:	12.2 کلوبائٹ
ID:	12395954

    Use of Fibonacci Indicator.

    Dear friends Fibonacci retracement tool overall prices k trends ko janchnay k liay useful nhi hotay bl k large trends reversal ma support aur resistance levels ko predict karnay k liay mufeed hain, traders inko entry point k liay ya stoploss levels aur take profit levels ko janchnay k liay use kartay hain fibonacci retracement prices ki strong up ya down moment k baad use ki jati hain, jin k baad market retrace karti ha, isi tarah in retracements ko apply karnay k liay hmain swing high aur swing low points ko identify kar laina chaiay, fibonacci tool ki afadiat us waqt ziada ho jati ha jb isay trend lines ya candlestick patterns k sath combine kar k use kia jata ha is sa entry points aur stoploss points spot karnay ma asani hoti hea.

    How to use Fibnoccai indicator

    Dear friends fibonacci indicator ka istemal karte waqt market ki price ko indicate karne ke liye sport resistance level ko bhi apply kar sakte hain Kyunki market Mein ine indicators ko commonly ratio ko calculate karne ke liye Bhi istemal Kiya jata hai is Kesariya se ratio include 23.6% 38.2% 50% 61.8% and 78,6% ratio ko acche tarike se determined Kiya Ja sakta hai market Mein ratio ko calculate karna bahut zyada zaruri hota hea.

    Click image for larger version

Name:	images (9).jpeg
Views:	13
Size:	38.1 کلوبائٹ
ID:	12395955
    • #3 Collapse

      Re: Fibonacci Kiya ha ?

      Fibonacci Retracement


      Fibonacci number aik mathematician Leonardo Fibonacci ne daryaft keye they. Yevnumber qudrati pemane ka istemal karte howe aik khas tarteeb k sath barhte jate hen. Fabonacci levels ka istemal sab se pehle qudrati ashya k number me izafay k leye tayar keya gaya tha, jis ka istemal 20th sadi eeswen me financial markets me hone laga. Fibonacci ratio k pechay basic maqsad ye hai k is ka istemal qeematon k support aur resistance level ko malom karne k leye kia jaye.
      Fibonacci ratio k zarye se un levels ya position ki nishandahi ki jaye jo traders k leye munafay ka bahis banti hai. Jab market me qeematen aik trend k hisab se chal rahi hoti hai aur Fibonacci ratio bhi market ka sath de rahi ho to us sorat me qeematon ko tasalsul se chalne deya jaye. Trader trading plateforme software ki madad se Fibonacci Retracement k levels ka hisab laga sakta hai, jis se trader ko andaza ho jata hai k us ko kis level par apna munafa kamane ki zarorat hai. Forex trading me ziada tar traders apne technical analysis me Fibonacci Retracement levels par inhisar karti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (292).jpeg
Views:	38
Size:	42.4 کلوبائٹ
ID:	12395971

      Fabonacci Retracement importance
      1. Fabonacci retracement har tarah k timeframe me istemal kia ja sakta hai, yani short term traders bhi same faida hasil kar sakta hai, jo long term k traders lete hen.
      2. Fabonacci retracement technical analysis me humen qeematon k support aur resistance ko malom karke trading k dowran take profit aur stop loss ki entry asani se kar sakte hen.
      3. Fabonacci retracement ka samjhna aur is pe trading karna sab se asan hai, q k is pattern ki values ki calculation pehle se ho chuki hoti hai. Bus traders ko aik terchay line prices k top se bottom ya bottom se top tak draw karni hoti hai.


      Click image for larger version

Name:	images (418).png
Views:	1
Size:	4.0 کلوبائٹ
ID:	12395972

      Fabonacci Retracement ki Tafseel


      Fabonacci numbers ki mazeed mathematically calculation se fabonacci sequences levels banaye jate hen. Fabonacci numbers 1,1,2,3,5,8,13,21...... Waghera waghera. Ye number lamehdos numbers hen, yanni jitni chahey aap is ko apni marzi ki calculation k leye istemal kar sakte hen. Fabonacci numbers me izzafay ki psychology kuch yon hai k har anne wala number jo k proceeding number hota hai, pechley do numbers ka majomoa hota hai, jaise 1 ko 1 k sath jama karne par 2 ata hai, pher 1 ko 2 k sath add karne par 3 ata hai, issi tarah chalte jayen, aur 8 ko 13 k sath jama karne par 21 ata hai, ye numbers banana itna mushkil nahi hai, buss matha ki calculation ani chaheye.
      Fabonacci numbers malom karne k baad uss ki calculation karne se fabonacci sequences levels creat keye jate hen, ye sequences levels trading main bohut ziada aham hen, q k prices aksar in levels ko apne support aur resistance k leye istemal karte hen. Fabonacci sequences ko malom karne k leye tareeqay kar thora sa mukhtalif hai, jab bhi aik number ko uss k bad ane wale number par divided ki ajta hai, to uss se result 0.61 k aas pass ka ata hai, jo aik fabonacci sequence ka number hai, issi tarah se jab aik number ko uss k anne wale number ko chor kar agle number se divid ki jaye to ye 0.23 ki value deta hai. Ye sequence agay percentage main change karke trading k leye levels banaye jate hen.

      Click image for larger version

Name:	images (419).png
Views:	11
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12395973

      Fabonacci Levels ka Trading me Istemal


      Fabonacci retracement levels ko price chart par draw karnne k leye sab se pehle do intehaye ziada aur kam points k darmeyan aik trend line ko draw karne se kia jata hai. Six horizontal lines ki ek series fabonacci levels 0.0%, 23.6%, 38.2%, 50%, 61.8%, aur 100% par trend line ko uboor kartti howi bannaye jatti hai. Ye levels prices k leye bohut strong support and resistance ka role play karti hai.
      Jab bhi kisi stock ki prices in levels k aas pass ati hai to traders market main muhtat ho jate hen, q k yahan par do qisam k soratehal ho sakte hen, ya to prices in levels ko breakout karti hai aur ya unn ko touch karke ya touch karne se pehle hi wapis ho jati hai. Agar prices inn levels ko breakout karti hai to uss k baad prices next levels par nazren jama leti hai, jo k prices ka main agla hadad hota hai, aur ziada tar prices agle levels ki taraf jati hai.
      Agar prices in levels ko breakout ya breakdown nahi kar pati hai to uss sorat main ye levels support and resistance levels ban jati hai, jitni baar prices in levels se wapis hongi, utne hi ziada ye levels strong hote jayengay. Prices k fabonacci retracement levels se reverse hone ki sorat main uss ki pechli level ziada ahmeyat ikhteyar kar jate hen, jo prices k leye ziada mazbot hadaf hota hai. Fabonacci levels me 38.2% aur 61.8% k numbers ko golden numbers kaha jata hai. Jo k prices ka aik aham hadaf hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (420).png
Views:	9
Size:	32.7 کلوبائٹ
ID:	12395970
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Fibonacci Kiya ha ?

        Fabonacci Indicator

        Fabonacci analysis sabiqa price pattern aur reversal movement ki bunyaad par mustaqbil ki support aur resistance levels ka taayun karne ka mutalea hai. Fabonacci analysis Leonardo Pisano's ( aam tor par fabonacci ke naam se jana jata hai ) ke mathematician nataij par mabni hai. Usay fabonacci tarteeb ijaad karne ka sehra diya jata hai, nambaron ka aik majmoa jo is ka naam rakhta hai. Fabonacci tarteeb nambaron ka aik majmoa hai jo darj zail tarteeb mein jata hai. Tarteeb mein agla number haasil karne ke liye sirf do pichlle nambaron ko series mein shaamil kar ke. Series mein 55 ke baad anay walay number ko daryaft karne ke liye, misaal ke tor par, 55 ko 34 se zarb den. 55 aur 34 ki pedawar 89 ke barabar hai. Yeh series mein darj zail number hai. Nambaron ke darmiyan conection, ya tarteeb mein mukhtalif nambaron se banaye gaye tanasub ne, fabonacci ko khud nambaron se ziyada mutwajjah kya. Sunehri tanasub, jisay aam tor par sunehri ost kaha jata hai, shayad sab se zaroori tanasub hai. Yeh tadaad fitrat mein zahir hoti hai aur fabonacci tarteeb mein. Fabonacci tarteeb mein, har aik number apne pehlay walay number se 1.618 guna bara hai. Misaal ke tor par, number 89 number 55 ( 89 55 = 1.618 ) se 1.618 guna bara hai.

        Click image for larger version

Name:	images (140).jpeg
Views:	3
Size:	22.9 کلوبائٹ
ID:	12400113

        Fabonacci Retracement Formula

        Fibonacci retracement ki levels mein koi masawaat nahi hoti hai. Jab aik chart par aik jaisay isharay banaye jatay hain, to sarif do points chunta hai. Un do siton ke intikhab ke baad, is tehreek ke feesad par line khenchi gayi. Farz karen ke qeemat $10 se $15 tak barh jati hai, aur yeh retracement indicator qeemat ki un do sthon ko zehen mein rakhtay hue design kya gaya hai. $13.82 ( $15 - ( $5 x 0.236 ) = $ 13. 82 ) % 23. 6 sang mil hai. 50% ki had $ 12.50 ( $15 - ( $5 x 0.5 ) = $12.50 ) par haasil ki ja sakti hai.

        Click image for larger version

Name:	images (202).png
Views:	15
Size:	27.5 کلوبائٹ
ID:	12400114

        Fabonacci Retracement Levels ki Calculation karna


        Jaisa ke pehlay bayan kya gaya hai, jab fabonacci retracement levels ki baat aati hai to ginti ke liye kuch bhi nahi hai. Woh sawal mein qeemat ki had ke sirf feesad hain. Dosri taraf, fabonacci nambaron ki asliyat dilkash hai. Woh golden ratio par mabni hain, jo ke aik mathematically farmolh hai. Aik aur sifar se adadi silsila shuru karen. Phir darj zail number strong bananay ke liye do pichlle nambaron ko aik sath shaamil karen:

        0, 1, 1, 2, 3, 5, 8, 13, 21, 34, 55, 89, 144, 233, 377, 610, 987. .. aur isi terhan agay jate howe

        Tareeqakar rolling shuru honay ke baad, darj zail number ke douran aik number ko taqseem karne se 0.618, ya %61.8 haasil hota hai. Jab kisi Adad ko dosray number se is ke dayen taraf taqseem kya jaye to nateeja 0.382 ya %38.2 hota hai. %50 ki riayat ke sath ( jo ke real fabonacci number nahi hai.

        Fabonacci Levels

        Fibonacci retracements un nambaron ka istemaal karte hain jo ke fabonacci ki tarteeb se nambaron ki bajaye trading ke tanazur mein aik tarteeb waar eqdaar ke darmiyan mathematically conection ke zariye banaye jatay hain. Fabonacci number ko is ke baad anay walay number se taqseem karne se, % 61. 8 ka" sunehri" fabonacci tanasub shumaar kya jata hai. Misaal ke tor par, 89 / 144 0.6180 hai. Fabonacci number ko dayen taraf dosri leading space se zarb karne se %38.2 ka tanasub haasil hota hai. Misaal ke tor par, 89 / 233 0.3819 hai. Fabonacci number ko 23.6 feesad tanasub haasil karne ke liye dayen janib number teen pozishnon se zarb kya jata hai. Misaal ke tor par, 89 / 377 0. 2360 ke barabar hai. Chart par high aur low points len aur fabonacci retracement levels ka grid bananay ke liye 23.6%, 38.2%, aur 61.8% ke barray fabonacci tanasub ko ufuqi tor par talaash karen. Un ufuqi lakiron ka istemaal karte hue sirf mumkina qeemat ke ulat jane ki nishandahi ki jati hai. 50% retracement level aam tor par fabonacci level grid bananay ke liye charting software mein istemaal hota hai. Is haqeeqat ke bawajood ke yeh takneeki tor par fabonacci number par mabni nahi hai, 50% retracement level ko aksar aik ahem mumkina ulat jane wali satah ke tor par tasleem kya jata hai, jaisa ke dow theory aur w d gaan ke kaam se ishara kya gaya hai.

        Click image for larger version

Name:	images (139).jpeg
Views:	8
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12400115

        Retracement Grids Banana


        Fabonacci grids ko durust tareeqay se tarteeb dainay mein mahaarat shaamil hai aur ghalat levels ka intikhab karna shuru aur ikhtitami points ko ghair maqool khareed o farokht ki hosla afzai karkay munafe ko kam karta hai. Multi trend grids placement bhi zaroori hai, is se pehlay ke woh qeemat ki hudood ko qubool karlen jo khuli position ki poori zindagi mein amal mein askati hain, is se pehlay ke mukhtalif Tawalat ke frames par lagataar levels rakhay jayen. Weekly patteren ko dekh kar aur sab se taweel musalsal oopar ya neechay ki taraf trends ka taayun karkay shuru karen. Up trained mein, fabonacci grid ko kam se onche tak set karen, aur neechay ke rujhan mein, aik fabonacci grid ko onche se neechay tak set karen 0.382 , 0.50 , 0.618, aur 0.786 retracement levels dikhaane ke liye grid set up karen. Pehlay teen ratio compression zone ke tor par kaam karte hain, qeemat ko pinball ki terhan uchalnay ke qabil banatay hain, jab ke 786 aik trend line ke tor par kaam karta hai, khilaaf varziyan trend ki tabdeeli ka ishara deti hain. mukhtasir muddat ke patteren par jane se pehlay har waqt ke liye taaza grdz banayen. Chart linon ke sath grid ke aik set ki terhan lagta hai jo ya to mazbooti se mutaliq hain ya bilkul nahi hain. Jab moving averages , trend lines, aur gaps ki himayat haasil hoti hai, to sakht seedh hormonic support aur resistance levels ko zahir karti hai jo ke ziyada ya kamzor rujhan ki paish raft ka bhi andaza laga sakti hai. Be tarteebi seedh ki kami ki wajah se hoti hai, jis ki wajah se whipsaw hotay hain jo pishin goi ki taaqat aur munafe ki salahiyat ko nuqsaan pohanchate hain.

        Click image for larger version

Name:	images (201).png
Views:	3
Size:	18.8 کلوبائٹ
ID:	12400116

        Fibonacci Sequence

        Aik hi fabonacci grid rozana chart par nataij ko behtar banaye ga, lekin do ya do se ziyada muddaton ko dekhnay par tanasub ziyada wazeh ho jata hai. Swing traders jo agla iqdaam uthany ke liye tayyar hain woh rozana aur 60 minute ke chart istemaal karne se faida utha satke hain, jab ke market ke timers rozana aur hafta waar charts ke imtezaaj se faida utha satke hain. Dono soraton mein kaleedi fib levels ki seedh mein waqti waqfon se posheeda himayat aur muzahmat zahir hoti hai jisay dakhlay, bahar niklny, aur order roknay ke liye istemaal kya ja sakta hai.

        Fabonacci Ka Istemal karte Howe Trading Karna


        Fibonacci retracements aam tor par trend trading ke harbon mein istemaal hotay hain. taajiron ko rujhan mein aik retracement nazar aata hai aur woh fabonacci sthon ka istemaal karte hue asal rujhan ki simt mein kam khatray wali jama awareyan talaash karna shuru kar dete hain. Fabonacci sthon ko maarny ke baad, trader tawaqqa karte hain ke qeemat pichlle trend ke mukhalif simat mein uchale gi.
        Technical indicators ka hum ahangi reversal trend ke imkaan ko berhata hai kyunkay market fabonacci satah tak pahonch jati hai. Candlestick pattern, trend lines, valum, momentum oscillator, aur moving averages tamam technical indicators ki misalein hain jo fabonacci levels ke sath istemaal ki ja sakti hain. Jab khail mein ziyada qabil tasdeeq indicators hotay hain, to aik mazboot ulat signal bantaa hai. Fibonacci retracements ka istemaal mukhtalif maliyati asason ki qeemat ka hisaab laganay ke liye kya jata hai, bashmole stock, ashya aur ghair mulki zar mubadla ki sharah. Woh time frame ki aik wasee range mein bhi kaam karte hain. Is signal ki pishin goi ifadiyat, dosray technical indicators ki terhan, muntakhib kardah time frame par munhasir hai, jis mein taweel time frame ziyada wazan haasil karte hain. Weekly chart par, misaal ke tor par, paanch minute ke chart par %38.2 retracement se kahin ziyada ahem hai.



        Click image for larger version

Name:	images (203).png
Views:	3
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12400112

        اب آن لائن

        Working...
        X