Resistance or support
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Resistance or support
    Resistance or support ki line khenchen

    Ek baat zehAn main rakhni chahea ky Resistance or support ek area hota hai.naqash price level nahi hota.upper candel stick ky taruf main shadow ky bary mein shakal sy btaya geya tha.magar aisi matwali line khenchi jaye jo 2 yeh 3 shadow ko milaye tu es area ko Resistance or support kehty hain. Agar line chart ky ouper kii side py ho to Resistance hogi or agar nechy ki side py ho to support kehlaye gi.
    Agar price uper ja rahi hai tu ek muqam py ruk jaye gi agr yaha sy price or ouper jaati hai tu yeh muqam support kehlayega.agar yaha sy wapis wapis mour jaati hai tu ye muqam Resistance kehlayega.
    Resistance/support ki sada ki misaal kamry ki hai jis main farsh support or chath Resistance hogi



    Support and resistances per hum kam kar k aik bhot he achi trade ko laa sakhta hain joh humain bhot he acha profit da sakti hain humain chaiye k hum iss main achi achi trades ko laa humain support and resistances per grip krni chiaye joh humain acha profit dana main bhot he helpful sabit ho sakti hain humain agr iss main trade lagta hain agr humeri trade first resistances ko hit krti hain or usko cross out kar lati hain toh hum kah sakta hain k market ny dosri resistances ko hit krna hain mean dosra tp hit kar sakta hain or iss k chances be bar jtye hain or hum apni trades ko some time hold be kar sakta hain.



  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Resistance or support

    Support aur Resistance Levels



    Forex market me currencies pair ki qeematen munjamed nahi hoti, bulke ye oper (high) aur nechay (low) do levles k darmeyan chal rahi hota hai. In do makhsos levels me high position ko resistance level jab k low position ko support level k naam se jana jata hai. Kabhi kabhi market ki qeematen kisi aik taraf tez bhi ho jati hai, jis se wo high aur low level ko cross kar jati hai, jis ko breakout kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	download (1) (2).jpeg
Views:	1
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12395852

    Resistance level



    Ye ksis makhsos timeframe k time period me sab se high position hota hai, jis ko qeematen uboor karne me nakam rehti hai. Matket qeematen is level se baar baar wapis ati hai. Agar qeematen ye level uboor kat deti hen, to ye resistance breakout ban jata hai jis se qeematen mazeed uper (high) chali jati hai, jahan pe wo apne leye aik naye resistance level ko muntakhib karti hai.


    Support level



    Resistance level k bar-aks support level wo position hoti hen, jahan se qeematen nechay nahi jati. Jab bhi qeematen is level pe pohunchti hen to yahan se hi reverse ho jati hai. Chonkeh qeematen musalsal movement me hoti hai to wo support level ko breakout karne ki koshash bhi karti hai, agar wo is ko breakout karti hai to qeematen mazeed nechay chali jati hen. Support level se qeematen nechay jane k bad wo apne leye aik naye support position ko select karti hai.

    Support aur Resistance levels pe Trading



    Support and resistance strategy bhi aik qisam ki aham strategy hai, q k sideways trend matket qeematen is levels se baat baar wapis ati hai. Market k day trading me high aur low dono sematon pe aik makhsos jagah ko qeematen touch karke wapis hoti hai, jo hamare leye buy aur sell k signals banati hai. Agar qeematen resistance level tak pohunchti hai to ye position sell trade k leye perfect hai, aur agar qeematen support level pe a jati hai to ye area buy position k leye thek hai.
    Baaz awqat support aur resistance area break out ho jate hen, is waja se market k calendar aur mukhtalif events ko lazmi made nazar rakhen. Aksar support aur resistance area breakout hone k bad qeematon me bohut bari tabdeeli dekhne ko melti hai. Kabhi kabhi resistance level breakout hone k bad ye market me support level ban jata hai aur isi tarah kabhi kabhi support level breakout hone k bad resistance level ban jata hai. Support aur resistance level ki trading dump ya sideways market me bohut faida mand sabit hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (277).jpeg
Views:	2
Size:	18.0 کلوبائٹ
ID:	12395853
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Resistance or support

      Support and Resistance Levels Kia Hai?

      Target ya hadaf ki qeemat ki nishandahi karne ka behtareen tareeqa support aur resistance points ki nishandahi karna hai. support aur resistance levels (S & R) aik chart par makhsoos qeemat points hain jin ki tawaqqa ziyada se ziyada khareed o farokht ki taraf mutwajjah ho gi. support price aik aisi qeemat hai jis par koi baichnay walay se ziyada kharidaron ki tawaqqa kar sakta hai. isi terhan, muzahmati qeemat aik aisi qeemat hai jis par kharidaron se ziyada farokht knndgan ki tawaqqa ki ja sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (402).png
Views:	20
Size:	14.2 کلوبائٹ
ID:	12395876

      Resistance Levels Kia Hai?


      Jaisa ke naam se pata chalta hai, resistance aik aisi cheez hai jo qeemat ko mazeed bherne se rokti hai. muzahmat ki satah chart par qeemat ka aik nuqta hai jahan tajir stock / index ke liye ziyada se ziyada supply ( farokht ke lehaaz se ) ki tawaqqa karte hain. muzahmat ki satah hamesha mojooda market ki qeemat se oopar hoti hai. Price ke muzahmati satah tak bherne, mazboot honay, tamam supply ko jazb karne aur girnay ka imkaan ziyada hai. muzahmat takneeki tajzia ke un ahem tools mein se aik hai jisay market ke shurka barhatay hue bazaar mein dekhte hain. muzahmat aksar farokht karne ke muharrak ke tor par kaam karti hai. muzahmat ke baray mein seekhnay ke baad, support level ko samjhna kaafi aasaan aur badehi hona chahiye.

      Click image for larger version

Name:	images (401).png
Views:	1
Size:	29.9 کلوبائٹ
ID:	12395875

      Support Levels Kia Hai?


      Jaisa ke naam se pata chalta hai, support aik aisi cheez hai jo qeemat ko mazeed girnay se rokti hai. support level chart par qeemat ka aik nuqta hai jahan tajir stock / index mein ziyada se ziyada maang ( kharidari ke lehaaz se ) anay ki tawaqqa karta hai. jab bhi qeemat support line par aati hai, is ke wapas uchalnay ka imkaan hota hai. support level hamesha mojooda market ki qeemat se neechay hota hai. Is baat ka ziyada se ziyada imkaan hai ke qeemat is waqt tak gir sakti hai jab tak ke support, mazboot nah ho, tamam maang ko jazb nah kar le, aur phir oopar ki taraf barhna shuru kar day. support un ahem takneeki sthon mein se aik hai jisay market ke shurka girty hui market mein talaash karte hain. support aksar kharidne ke liye aik muharrak ka kaam karti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (400).png
Views:	5
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12395874

      اب آن لائن

      Working...
      X