Robotic Trading Kia Hay?
Robotic trading financial markets mein kaam karrny ka ekk aisa tareeka kaar hay jiss main ekk computer software channd set of rules ko follow karta hae aur un rules aur algorithms ke buniyaad par matket main entries yaa exit karta hai. Jab market price ksi pattern ko follow karti hae jo kay software main mojud ho to software trade execute karta hai.
Robotic Trading K Advantages
1) Minimize Emotions: Robotic trading emotions koo minimize kar deti hai. Normal trading main emotions ke wajha sy entry aur exit main ghalti ho sakti hai, lekin Automated trading main sirf usi wakt trade open hoti hai jab market trade rules ke requirements poora karti hai.
2) Follows Set of Rules: Market main disciplines koo follow karrna intehaai mushkil hota hai khas tor par jab markets main volatility zaida ho. Volatility zaida hony ke wajha sy insaan kay jazbaat wala factor beech main aa jaata hae jesa kay nuqsan hony ka dar. Robotic trading choon kay emotion less hota hai to us main kooi emotional entry ya exit nahi hota.
3) Increase Speed of Orders: Ekk aur faida automated trading ka yeh hai kay es say aapki trades ke speed kafi zaida milte hai. Normally trade open karrny aur us kay stop losses ya take profits set karrny mein kafi time lag sakta hae lekin computer software es koo foran kar deta hai.
Disadvantages
Mechanical failure ekk aisa drawback hai jis ke wajha say aapka order market mein execute nahi hota. Ho sakta hae aapkoo computer mein apna trade order nazar aa raha ho lekin asal main Internet failure ke wajha sy actually market main order na laga ho. Power failure ya server sy connection lost ho jaany ke soorat mein bhe usko foori hal karrna bahut zaroori hai.
Beshak aapko market order lagany kay liey sirf computer on karrna hae aur us kay baad order computer khud lagata hai lekin us ke lagataar monitoring bahut zaroori hai. Agar koi bhe problem aata hay ya koi bhe fault nazar aata hay to usko solve karrna parta hai. So monitoring karrna zaroori hay taa kay koi problem ho to usy foori hal kiya jaa saky.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим