What is Bearish Pin Bar Candlestick Pattern?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Bearish Pin Bar Candlestick Pattern?
    INTRODUCTION! Assalamu Alaikum! Kya hal he ap ka umeed krti ho sb khyrit se ho gy or forex trading me acha profit hasil kr rhe ho gy. Aj ka hmara topic he bearish pin bar candlestick pattern. Aj hm dekhe gy k is forex me is ka kam he. Hm dekhe gy is ka forex me kya kam he or hm is ko kase use kre gy or hme is se kya faida ho skta he. Friends Forex pe kam krne k liy buht se indicators ki zrurt hoti hkti he jism ki madad se profit bna skte he. Ab hm bt kre gy bearish pin bar candlestick pattern k bare.

    Bearish Pin Bar Candlestick Pattern kise khte he:

    Bearish pin bar candlestick pattern single candle pattern hone ki waja se technical analysis main bohut ziada istemal hone wala aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ko na sirf forex trading mein ziada istemal kia jata hai, balkay index, bands, aur cryptocurrency trading mein bhi is ka khasa use hota hai. Bearish pin bar candle price action traders ko bullish ya bearish trend ke baad mumkina trend reversal ko talaash karne mein madad kar sakti hain. Bearish pin bar candle ki karkardagi ka inhisar selected timeframe par hota hai, jab bhi ye candle prices k top par banti hai, to ye mumkina bearish trend reversal ka signal deti hai. Bearish pin bar candlestick dosre indicators k sath prices k top par bearish trend reversal ka k leye ziada mashahoor hai, jiss k opposite direction main bottom prices main bullish pin bar candle banti hai. Bearish pin bar candle k sath prices k top par aik long upper shadow candle bhi same hososeyat rakhti hai, jo bearish trend reversal ka sabab banti hai, lekin shape main Bearish pin bar candle se mukhtalif hoti hai.

    Candles Formation kya he:

    Bearish pin bar candle ki reliability ka inhisar price chart par muntakhib karda timeframe par hota hai, jitna ziada timeframes lamba select hoga, candle ki haseyat ziada strong banti jayegi. Long upper shadow candle price chart par darjazzel hososeyat k sath banti hai;

    Bearish Pin Bar Candle:
    Bearish pin bar candlestick bullish trend main bulterteeb buying aur selling pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bearish trend ki hoti hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka upper side par aik long shadow hota hai. Candle ki real body bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye candle bearish candle hi shumar hoti hai.

    Explanation

    Bearish pin bar candlestick pattern aik small real body main upper side par long shadow wali candle hai, jiss main prices bullish trend ko reject karne ka ishara deti hai. Candle ki shape bullish ya bearish dono tarah se ho sakta hai, jab k candle ki shadow real body k size se dunga ho sakti hai. Bearish pin bar candlestick aik aisa pattern hai, jo mukhtalif financial markets ke sath achi terhan kaam karta hai. Yeh candlestick ke sab se mashhoor pattern mein se aik hai, jisay trader price ki harkat ko dekhte hue result ke imkaan ka andaza laganay ke liye istemaal karte hen. Candlestick price chart mein, har aik candle selected timeframe ke mutabiq aik period se mutaliq hoti hai. Bearish pin bar candle single candle hone ki waja se har aik timeframe main aik hi candle ka pattern hoga.

    Trading

    Bearish pin bar bullish ya bearish dono shapes main bearish trend reversal ki hososeyat ka hamil hoti hai, q k prices k top ye bullish trend main ye candle prices k leye resistance zone ka role play karti hai. Single candle pattern main jitna ziada lamba timeframes hota hai, iss ki reliability uss k hisab se achi hoti hai. Candle par trading se pehle long term ki timeframe k sath aik trend confirmation candle ka hona bhi zarori hai, jo k real body main bearish candle hone k sath Bearish pin bar candle k lower side par close honi chaheye. Candle ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jis ki value overbought zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se top ya high price se two pips above set karen.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Bearish Pin Bar Candlestick Pattern?

    Bohat hi zabardast maloomat di hen ap nay forex friend. agar ham aesi hi information share karen gy to sab members easily forex trading ko achi tarha say seekh lain gay aur earning kar sakain gay agar ham nay earning karni hay forex trading say to hamen mehnat lagan aur full jazbay say kam karna ho ga tabhi ham kamyab ho saken gay
    If you work hard no body can stop you from success
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What is Bearish Pin Bar Candlestick Pattern?

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Bearish Pin Bar Candlestick


      Bearish pin bar candlestick aik long Upper tail k sath short body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Bearish pin bar ki aik long upper tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick pin bar banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Bearish pin bar candlestick pattern bearish aur bullish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada upper area main hone ki waja se ye bearish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220523_001249.jpg
Views:	1
Size:	29.2 کلوبائٹ
ID:	12395604

      Candles Formation


      Bearish pin bar candle prices k top main kam supply aur ziada demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k upward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220523_001433.jpg
Views:	1
Size:	31.1 کلوبائٹ
ID:	12395605

      Bearish Pin Bar Candle: Bearish pin bar candlestick agar prices k top main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bearish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.

      Explanation

      bearish pin bar candlestick price chart par aksar top ya bottom prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath upward rise karne k baad wapis apne lower open price k qareeb ja kar close hoti hai. Ye candle aik long upper shadow k sath hoti hai, jiss k lower side psr aik small real body hoti hai. Candle k lower side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jayi hai. Real body ka color kisi khas pattern ka hona zarori nahi hai, lekin iss candle ki upper prices main hona ziada aham hai. Dekhne main ye candle top prices par banne wali shooting star candle ki hi tarah lagti hai.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220523_000901.jpg
Views:	1
Size:	62.0 کلوبائٹ
ID:	12395606

      Trading

      Bearish pin bar candle prices k top main ziada bullish pressure parne par banti hai, jiss se aik small real body ki candle k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bearish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad sell ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona zarori hai, jab k bullish candle banne se ye candle trading k leye invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se top position ya candle k shadow k upper side par jo k prices k leye resistance level hoti hai, se two pips above set karen.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220523_000055.jpg
Views:	2
Size:	41.1 کلوبائٹ
ID:	12395603

      اب آن لائن

      Working...
      X