Important Points Of Risk Management

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important Points Of Risk Management
    Risk Management Ke Tareef?

    Forex mein risk management aek set of rules hay ya rules ke aise management hae jo aapko ksi bhe trade kay negative impact sy bachata hae. For example, agarr aap ko trade mein loss honay lag gya hoo to us loss kesy manage kesy karna hae, us loss ko bara loss say bachanaa kesy hai or usay recover kesy karna hai. Forex trading better planning say hoti hai our aapkay liey yeh acha hoga kay aap kay pass trading start karny sy pehly aek acha plan mojood ho.

    Risk Ko Manage Kesy Kiya Jaay?

    Pehlaa rule ye hae kay aap ko forex market key baary mein malomaat honi chahey. Forex market poori duniya ke currencies sy bani hai jesa kay USD, JPY, GBP, EUR, AND CHF. Yeh saaary currencies supply our demand sey move karti haen.

    FX ya foreign exchange currencies pairs mein trade ke jaati hain. Currency pair ke pehli currency base currency our dosri quote currency khelati hae, maslann EURUSD aek pair hai aur es main Eur base aur Usd quote currency kehlati hai. Ye basic knowledge aap kay pas hona zaroori hae.

    Jab aap forez main trade karty hain to aapko leverage ka sahei isteimaal aana chahey. Agar aap leverage ka sahi istemaal nahi kar sakty yo account hamesha risk pe hota hai. Apney account kay capital kay hisab sy trading plan bana kar leverage ka sahi use karna intehaai zaroori hotaa hae.

    Aek acha trading plan aapkey account ko save rakh sakta hai. Agar aek acha trading plan aapky pass mojood hay to aap market main zaidaa volatility kay time bhe achy decisions lay sakty hain. Ye bahut zaroori haykay ap apna plan khud bnaain aur test kar kay implement karin. Kisi aur ka plan istemaal karny ke soorat main aapko nuqsan hao sakta hai.

    Risk reward ratio koo set karney sey aap apney account ko achi tarha sy manage kar sakty hain. Risk reward ratio es tarha honi chahy kay agar aapke trades fifty percent loss main close hon aur fifty percent profit main to apko overall profit hona cahey. For example, agar 10 main sy 5 trades main profit ho aur 5 main loss to risk reward ratio esy honi chahey kay aap ko overall profit ho raha ho.

    Stops aur limit ko use kar kay aap apney account ko saahi manage kar sakty hain.

    Emotions forex trading mein aik aisa factor haykay aapko ghalat faisla leny par majboor kar deta hai. Agar aapka apny jazbaat key oper kabu nahi hayto ye aapko loss ke taraf dhakailta hai. Risk ko manage karny kay liey trading plan pey amal daramad karna chahey or jazbaat ko haavi na hony diya jaay.

    Ye saary points agar aap apney dimagh main rakh karr apney plan kay mutabik chalty hain to aap kafi had tak apnye risk ko manage kar sakty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important Points Of Risk Management

    Risk Management


    Forex trading market me sare traders trading ko seekhne ya apne experience ko increase karne par ziada tar tawajah dete hen, wahan par traders aik aham aur zarori juzz yani risk management ko nazar andaz kar dete hen. Forex trading me taqreeban ziada tar traders ya khas kar new traders hamesha market me apni tawajah technical analysis pe deti hai, ya wo aise technical tools ya technical indicators ki talash me hote hen, jis se wo apni har aik trade ko lazmi kamyab banaye, halankeh haqeeqatan aisa mumkin nahi hota hai, aur traders ziada munafay k chakat me apne pas maojood sarmaye ko bhi zaya kar jate hen.
    Jab traders aise risk lena shoro kar dete hen, jo us k account me maojood sarmaye k mutabiq na ho, loss ki sorat me koi khas mansoba bandi ya technique nahi ki ho, traders kabhi loss ki haqeeqat ko qabool hi nahi karta ho, ya trading me bare risk k nuqsan se na ashna ho, to forex trading market me kamyabi ka zatya kabhi nahi bante.
    Forex trading market me tamam traders kamyab nahi ho sakte, bohut sare loss me bhi hote hen. Hamesha aik trader ko market me entry katne se pehle kamyabi aur nakami dono ko apne zehen me rakhna zarori hai. Agar traders ko kamyabi aur nakami dono qabool nahi hai to wo kabhi bhi kamyab nahi ho sakte hen. Aik kamyab trader k leye loss ko har sorat qabool hona chaheye, bulke kaye maqon par to musalsal loss bhi ho sakti hai, jab trading market hamare khilaf ho.
    Forex trading ko kamyab banane k leye is ko teen hison me taqseem kia ja sakta hai, sarmaye ka tahafuz aur taraqi, stop loss ki tarteeb aur muanafay k ahdaaf.

    Click image for larger version

Name:	images (59).jpeg
Views:	1
Size:	47.7 کلوبائٹ
ID:	12396773

    Sarmaye ka Tahafuz aur Taraqi


    Forex trading market me traders apne samaye ko us waqat mehfoz bana sakta hai, jab bhi wo ziada munafay ya chand hafton me ameer banne ki koshash nahi karega. Aksar awqat trader kisi media channels, gher mayari signal providers, kuch tijarati taleemi compneya k lalach me a jate hen, q k wo kehte hen k hum thore se sarmaye ko bohut jald lakhon me tabdeel karwa sakte hen, jo k asal haqeeqat se yaksar mukhtalif hote hen. Traders jab haqeeqat ki bajaye lalach me parh jate hen to apne account ko proper money management ya risk k mutabiq istemal nahi katrte, to us ko aksar loss ka samna ho sakta hai. Trading ki behtareen hikmate amli k leye zarori hai k traders apne samaye ko (khas kar chote (small) account holder) ko ahista ahista taraqi de, yani mamoli margin se apne account me izafa karen. Jab bhi traders gher haqeeqi dawon me nahi paregy, aur proper market k hisab se chalengay to us waqat traders is riski business me kamyab ho sakte hen.
    Hamari awaleen tarjeeh hamare tijarati sarmaye ka tahafuz hai. Trading k leye sarmaye k bagher, hum kisi bhi trading sargarmi me hisa nahi le sakte hen. Agar aik trader apne account ka istemal behtareen hikmate amli se karta hai aur trading position ko account k mutabiq rakhta hai to loss hone se bhi us ka account itna ziada mutasir nahi hota hai k jitna aik dosra trader bagher risk management k trading me loss uthata hai.

    Losses


    Traders ko ye wazih katna chaheye k wo aik trade par kitna loss bardasht kar sakta hai. Traders aksar awqat apne trading entry point aur exit position ya waqat par bohut ziada waqat lagate hen aur aksar to trader exit point ko nazar tak kar dete hen. Aik kamyab trader k leye zarori hai k wo apne trading profit k sath sath loss k bhi exit position pe ghawar kare.
    Ziada tar traders ko loss ko kam karne ka kaha jata hai, hum apne trading loss ko us sorat me kam kar sakte hen jab hum ye tasleem karengay k mojoda market k halat hamare trading k mutabiq nahi hen aur hamara trade hasare me hen, to humen trade ko close ya us ka kuch hisa khatam karna chaheye. Ye sab loss ko qabol karne , trader ko ghalat sabit karne aur apne agley trade ki taraf bathne k ishare hote hen. Is ummeed par trade latkhane ka koi faida nahi hai, k trades hamare haq me wapis a jayrngay, yahan pe khone wala sarmaya hum kisi aur trade par faide k leye istemal kar sakte hen. Ziada waqat loss me rehni wale trades humen zehni torcher bhi karti hai, q k hum baar baar us ko loss me dekhte howe pechtate hen, aur agar loss mazeed barh raha ho to ye humari aur bhi energy zaya karti hai. Stop liss hamesha humen is tarah ki tension se door rakhta hai, humen har trade k sath stop loss ka istemal yaqeeni banana chaheye.
    Nuqsan ki sorat me ; aghaz me jis position pe hamari trades khatam ho jayi hai, ye stop loss ki position hoti hai. Ye wo position hoti hai jahan pe hum kisi bhi trade ka loss bardasht kar sakte hen. Is leye is position pe trades ya to close ki jati hai aur ya kuch kam ki jati hai.
    Stop loss ki miqdar bare account me ziada aur chote account me kam hogi. Risk-reward ratio k mutabiq stop loss set kia jata hai, jo humen boht ziada behtar parta hai. Stop loss hit hone oe humen dil chota nahi karna chaheye aur nahi is ko har waqat dil pe lena chaheye. Loss ka dukh hota zaror hai lekin huamare pass aur bhi trading karne ka moqa hota hai. Is waja se hum is loss ko cover kar sakte hen.

    Leverages aur Position Size ka Istemal



    Leverage hamare apne sarmaye k aik chote se hese ko istemal karne aur financial market me hamare trading capacity ko barhane k keye broker ya dealer se musar tareeqay se qaraz lene ka amal hai.
    Hum aksar awqat internet par dekhte hen k brokers apne plateform ki tashheer k leye advertise dete hen k $500 se account shoro karen aur 400 persent tak leverage hasil karen. Agar che ye such hai k kuch brokers ne chote level k traders se shorat ki hen, aur unhen bare tijarati accounts me tabdeel kar deya hai. Lekin rato-raat karor-patti banne ka khwab us waqat aik daraone khwab me badal jata hai, k jab leverage ka ziada istemal aur ghalat istemal trading account ko mukamal khatam ya wash kar deta hai.
    Leverage ka sahi istemal hamare account k safety ko bathati hai. Ye bhi haqeeqat hai k hum jitna bare leverage ka account banayengay to us se humen munafa hasil karne k chances bhi ziada hote hen, lekin haqeeqat me aisa mumkin nahi hai. Q k hamare open trades kabhi bhi har waqat munafa me nahi reh sakte, is waja se bare leverage k istemal k waqat loss bhi bara hota hai. Agar aik trader apne account leverage ka sahi istemal karte howe sirf 2 percent hi risk leta hai to wo hamesha bare loss se mehfoz rahega. Lekin agara is k bar-akas wo 10 ka risk leta hai ,to us sorat me loss bhi pehle wale risk se 500% ziada hoga. Yani agar aik trader 2% leverage k istemal pe agar loss ki sorat me $2 ka loss uthata hai, to 10% leverage ka risk uthane wale ko $10 ka loss hoga.
    Forex trading market me aik trader ko jitna ho sake seekhne ki koshash karni chaheye, lekin us k sath sath, apne account me jitna ho sake sarmaya kari kare, aik behtareen aur sahi leverage k sath trading kare aur risk management k sakht qawaneen, jis k apnane se traders kamyab hote hen, par lazmi amal katna chaheye.
    Munasib account ki capatilization k sath leverage ki munasib sharhon ka istemal nuqsanat ko kam se kam rakhne ko yaqeeni banayega, aur trader ko samaye ki tahafuz ki pehli tarjeeh par amal karne k qabil banayega.
    Stop loss k istemal k sath achay trading position k size ki techniques ka imtezaj trader ko apni business aur sarmaye ka intezam karne ki ijazat dega, takeh trader ziada loss se mehfoz reh sake aur is k sath sath forex trading market me apni trading ka amal bhi jari rakh saken.
    • #3 Collapse

      ### Risk Management Ke Ahem Points: Trading Mein Kaise Implement Karein?
      Risk management trading aur investment ka ek fundamental aspect hai jo long-term success aur financial stability ke liye zaroori hai. Effective risk management strategies se traders apne capital ko protect kar sakte hain aur potential losses ko minimize kar sakte hain. Aaj hum risk management ke kuch ahem points ko discuss karenge aur jaanenge ke inhe trading mein kaise implement kiya jata hai.

      **1. Risk Assessment:**

      - **Risk Identification:** Pehla step hai apne trading setup aur strategy ko analyze karna aur identify karna ke kis type ka risk involved hai. Yeh market risk, liquidity risk, aur operational risk ho sakta hai. Har trade aur investment ke sath associated risks ko samajhna zaroori hai.
      - **Risk Evaluation:** Identify kiye gaye risks ko evaluate karna zaroori hai taake aap assess kar sakein ke har risk ka aapki portfolio aur trading performance par kya impact ho sakta hai. Risk evaluation se aapko risk ke potential magnitude aur probability ka pata chal sakta hai.

      **2. Risk Tolerance:**

      - **Define Risk Tolerance:** Apni risk tolerance ko define karna zaroori hai. Yeh aapke financial goals, trading style, aur investment horizon ke according vary kar sakta hai. High risk tolerance wale traders zyada aggressive trades kar sakte hain, jabke low risk tolerance wale traders conservative approach rakhte hain.
      - **Adjust Risk Exposure:** Apne risk tolerance ke mutabiq, risk exposure ko adjust karna zaroori hai. Agar aapki risk tolerance low hai, to aapko smaller positions aur conservative trading strategies adopt karni chahiye.

      **3. Stop-Loss Orders:**

      - **Importance of Stop-Loss:** Stop-loss orders risk management ke liye ek important tool hain. Yeh orders aapko trade ke loss ko limit karne aur predetermined level par exit karne mein help karte hain. Yeh aapki losses ko control karne aur capital ko protect karne mein madadgar hote hain.
      - **Setting Stop-Loss Levels:** Stop-loss levels ko technical analysis aur market conditions ke basis par set kiya jata hai. Yeh levels aapke risk-reward ratio aur trading strategy ke according honi chahiye.

      **4. Position Sizing:**

      - **Calculate Position Size:** Position sizing risk management ke liye crucial hai. Yeh aapko decide karne mein madad karta hai ke kitni quantity aapko trade karni chahiye taake aapka risk manageable rahe. Position size ko capital, stop-loss level, aur risk tolerance ke basis par calculate kiya jata hai.
      - **Diversification:** Diversification bhi risk management ka ek part hai. Apni portfolio ko diversify karke, aap risk ko spread kar sakte hain aur specific asset ya trade ke performance par dependency ko reduce kar sakte hain.

      **5. Risk-Reward Ratio:**

      - **Understand Risk-Reward Ratio:** Risk-reward ratio aapko trading decisions mein help karta hai. Yeh ratio risk aur potential reward ke beech ka comparison hota hai. High risk-reward ratio trades zyada profitable hoti hain aur risk management ko effective banati hain.
      - **Implement Ratio in Strategy:** Apne trading strategy mein risk-reward ratio ko implement karke, aap ensure kar sakte hain ke trades ke expected returns risk ke comparison mein higher hain. Yeh aapko better trading decisions lene mein madad karta hai.

      **6. Regular Review and Adjustment:**

      - **Monitor and Review:** Regularly apne risk management strategies ko monitor aur review karna zaroori hai. Market conditions aur personal circumstances ke changes ke saath risk management approach ko adjust karna chahiye.
      - **Adapt Strategies:** Trading aur investment strategies ko market conditions ke according adapt karna chahiye. Agar market volatility ya personal risk tolerance change hoti hai, to apne strategies ko accordingly adjust karna chahiye.

      **7. Conclusion:**

      Risk management trading aur investment mein ek critical role play karta hai. Effective risk management ke liye risk assessment, risk tolerance, stop-loss orders, position sizing, risk-reward ratio, aur regular review zaroori hain. In strategies ko implement karke, aap apne capital ko protect kar sakte hain, potential losses ko minimize kar sakte hain, aur successful trading aur investment outcomes achieve kar sakte hain.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Risk Management Ke Ahm Nuqaat


        1. Risk Tolerance Samajhna

        Risk management ka sab se pehla aur ahm nuqta yeh hai ke aap apni risk tolerance ko samajh lein. Har shakhs ki risk uthanay ki salahiyat mukhtalif hoti hai. Agar aap financial markets, jaise Forex ya stocks mein trade kar rahay hain, toh yeh zaroori hai ke aap apni investment ka aisa hissa risk par lagayein jo aap ke liye acceptable ho. Is se aap ko na sirf apni investments ko protect karne mein madad milegi, balki emotional stress bhi kam hoga.

        2. Proper Planning Karna

        Acha risk management tabhi mumkin hai jab aap ke paas ek strong plan ho. Yeh zaroori hai ke aap trading ya investment se pehle ek clear strategy banayein. Is mein aap apni entry aur exit points, profit targets, aur stop-loss levels ko define karein. Yeh plan aap ko panic situations mein ghalat decisions lene se bacha sakta hai. Is se aap apni trades ko discipline ke saath manage kar sakte hain.

        3. Stop-Loss Orders Ka Istemaal

        Stop-loss orders risk management ka ek ahem hissa hain. Yeh orders aap ki trades ko kisi bhi unexpected loss se bacha sakte hain. Jab market aap ki khilaf jaati hai, toh stop-loss order automatically aap ki position close kar deta hai, jis se aap ko zyadah loss nahi uthana padta. Yeh ek defensive strategy hai jo aap ki capital ko preserve karne mein madadgar hoti hai.

        4. Position Sizing Ki Ahamiyat

        Position sizing bhi ek important risk management technique hai. Iska matlab yeh hai ke aap har trade mein apni total capital ka kitna hissa invest karte hain. Acha position sizing aap ko kisi bhi trade mein zyadah risk uthane se bacha sakta hai. General rule yeh hai ke aap apni total capital ka sirf 1-2% hi ek trade mein risk karein. Is tarah agar ek trade loss mein bhi chali jaye, toh bhi aap ki overall portfolio par uska zyadah asar nahi hoga.

        5. Diversification Se Risk Kum Karna

        Diversification ka matlab hai ke apni investments ko mukhtalif assets ya markets mein distribute karna. Yeh ek effective tariqa hai risk ko kum karne ka. Agar aap sirf ek hi asset ya market mein invest karte hain, aur woh market gir jati hai, toh aap ka sara paisa khatrey mein aa sakta hai. Lekin agar aap ke paas diversified portfolio hai, toh ek market ke loss ko doosri market ka gain cover kar sakta hai.

        6. Regular Review Aur Adjustments

        Risk management mein continuous review aur adjustments bhi zaroori hain. Market conditions din ba din badalti rehti hain, is liye aap ko apni strategy ko regular basis par review karna chahiye. Agar market ka trend badal raha ho ya aap ke goals mein koi change aaye, toh aap ko apni risk management strategy ko bhi accordingly adjust karna chahiye. Is se aap apni investments ko protect kar sakte hain aur apne financial goals ko achieve karne ke qareeb ho sakte hain.

        اب آن لائن

        Working...
        X