what is bullish hammer candelstick pattren?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is bullish hammer candelstick pattren?
    assalium o alekum

    dear forex member umed ka
    rti hun aap sab kharyt s hun gy or mahnat s apna work complete kry hn gy jesa k ap janty hai k hmy bounce hasil krny k ly daily three post share krni hoti hai agr hmri post improve Hoj jati tu hmy acha bounce hasil ho skta hai chlty hai apny topic ki trf




    what is bullish hammer?


    bullish hammer aik wahid mom batii hai jo qeemat ke chart mein payi jati hai jo taizi ke ulat jane ki nishandahi karti hai. yeh deegar mom batii ke namonon se mukhtalif hai kyunkay is ki wahid mom batii aik mourr par aik qaim kami ke rujhan ke douran ishara karti hai .

    hathoray ke neechay tasweer ki tashreeh mom btyon ko khaas tor par khuli, kam onche aur qareebi sthon ko samajh kar ki jati hai. hathora bananay ke liye, currency ke jore ke liye nai kam bananay ke liye qeemat ko pehlay numaya tor par farokht karna chahiye. taham, is kami ke baad, qeematon mein numaya tor par izafah hona chahiye jis ki wajah se qeematein aik choti body rakhti hain aur is ki ibtidayi qeemat ke qareeb pahonch jati hain .
    Click image for larger version

Name:	Bullish-Hammer-Candlestick.png
Views:	6
Size:	31.5 کلوبائٹ
ID:	12531630
    explainations


    yeh yaad rakhna zaroori hai ke taiz hthorhon mein mom batii ke jism ki lambai se kam az kam do gina lambi vicks honi chahiye. is ke ilawa, mom batii khud ya to surkh ya sabz hosakti hai jo ulat jane ki taaqat par munhasir hai .

    aksar taizi ka hathora bearish hang mean candle ke sath ulajh jata hai. ghalat bayani mantaqi hai kyunkay dono mom batian aik jaisi nazar aati hain. un do mom btyon ke darmiyan farq rujhan saaz market mein un ki jagah ka taayun hai. ltkne walay aadmi mein aik chhota sa jism aur lambi batii hoti hai lekin yeh oopri rujhan ke aakhir mein lataki hui payi jati hai. blush hthorhon ke jism chhootey hotay hain aur lambi VICKS bhi lekin yeh sirf neechay ke rujhan ke aakhir mein nazar atay hain .
    Click image for larger version

Name:	bullish-hammer-formation.png
Views:	2
Size:	112.0 کلوبائٹ
ID:	12531631

    How to spot a Bullish Hammer pattern:

    aik mukhtasir jism aur lambi batii wali mom batii ( jism ke size se kam az kam 2x )
    neechay ki taraf rujhan ke nichale hissay mein hota hai .
    dosray isharay se tasdeeq jaisa ke zail mein bataya gaya hai .

    what does a indicate


    rujhan ka ulat jana oopar ki taraf ( taizi ka ulat jana )
    aik makhsoos' kaleedi satah' par qeemat mustard

    value of trader
    mumkina qeemat ke ulat phair ki nishandahi karta hai jo oopar ki taraf jhoolnay ke aaghaz par aik lambi position mein daakhil honay ka baais ban sakta hai - mukammal oopar ki harkat ka faida uthayen
    shanakht karna aasaan hai

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: what is bullish hammer candelstick pattren?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Hammer Candlestick


    Hammer candlestick prices k bottom ya bearish trend main banne wali aik single candle pattern hai, jiss main candle ki aik small real body k sath lower side par long shadow hota hai. Hai aik candlestick bulls aur bears, buyers aur sellers, supply aur demand, risk aur profit ke darmiyan muqabele ki aik kahani hoti hoti hai. Jiss main market main aik single candle bhi prices k top ya bottom main prices par asar andaz ho sakti hai. Hammer candle ki ye haseyat hai, k ye bullish ya bearish dono soraton main bullish trend reversal k asarat rakhti hai, jiss k leye prices ka bottom level ya bearish trend main hona zarori hai. Kisi bhi assets k matloba timeframe main jab bull prices ko mazeed bottom level par jane se mana karte hen to uss sorat main hammer candle ban jati hai.

    Click image for larger version

Name:	download (17).png
Views:	11
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12407598

    Candles Formation


    Hammer candle prices k bottom main uss waqat ban jati hai, jab bhi bear market main apna control baqarar rakhne k leye prices ko downward push karti hai, lekin bull uss waqat ziada active ho jate hen, jiss se wo prices k nechay jane main rukawat peda karte hen. Hammer candle ki chart main formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (99).png
Views:	5
Size:	2.2 کلوبائٹ
ID:	12407599

    Hammer Candle: Hammer candlestick aik single candle pattern hai, jiss main aik timeframe k dowran prices bottom level par bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle bullish aur bearish dono soraton main bullish hi hoti hai. Jab k ye candle aik small real body main hoti hai, jiss k lower side par aik long shadow ya wick hoti hai. Candle ka shadow aik to real body ka dugna ya ziada hota hai, dosra iss candle k upper side par small si wick to acceptable hai lekin agar ye upper side par bagher shadow ki ho to ye ziada payedar candle hoti hai.

    Explanation

    Hammer candle prices k bottom ya bearish trend main bears aur bulls ki market par control hasil karne ka natijay main banti hai. Jab bhi prices ko aik matloba timeframes k dawran bear nechay push karne ki koshash karte hen, lekin demand yakdam ziada hone ki waja se bulls market main active ho jate hen, jiss se wo prices ko mazeed bearish jane se rokhte hwn, jiss k natijay main aik small real body wali long lower shadow ki candle tashkeel hoti hai. Ye candle bagher upper shadow ki hoti hai, lekin pher ye candle bullish hososeyat rakhti hai, q k ye iss candle main prices ko nechay jane main dushwaree ka samna karna parta hai. Ye candle prices k top par banne wali hanging man candle jaise hoti hai, jab k prices k bottom par banne wali inverted hammer ki opposite shap main banti hai.

    Click image for larger version

Name:	download (18).png
Views:	1
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12407600

    Trading

    Hammer candlestick market main traders k leye buy ka signal dete hai, jiss se trader long timeframes main prices k bottom par aik confirmation candle k baad entry kar sakte hen. Confirmation candle ka aik to bullish hona zarori hai, jab k dosra ye candle hammer candle k ooper close honi chaheye. Agar iss candle k baad banne wali candle bearish hoti hai, to uss sorat main trade entre karne ki risk na len. Ye single candle hone ki waja se zarori hai, k trend confirmation indicator se bhi ki jaye, jaise agar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se lower prices ya shadow k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (98).png
Views:	45
Size:	13.1 کلوبائٹ
ID:	12407601
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: what is bullish hammer candelstick pattren?

      Hammer Candlestick


      Introduction:


      Hammer candle aik long wick small real body bullish candle hotti hai, jo k bullish trend reversal k leye istemal hoti hai. Hammer single candlestick pattern hai, jo bearish trend ya low price area me banti hai. Pattern ki lower side pe aik bari shadow hoti hai, jo candle k real body k double k barabar hoti hai. Mandarjabal candlestick agar bearish trend ya low price area main banta hai, to iss ko hammer candlestick kehte hen, jo k bullish candle ki hososeyat rakhti hai aur bullish trend reversal ka sabab bhi banti hai. Hammer candle ka taluq umbrella family se hai, jiss main candle ki upside par small real body hoti hai, jab k lower par aik long shadow hota hai. Candle k real body k upper side par shadow ka nahi hona chaheye, lekin small wick acceptable hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (46).jpeg
Views:	4
Size:	16.9 کلوبائٹ
ID:	12407604

      Candle ki Pehchan k Rules

      1. Hammer candle aik single pattern ki candle hotti hai, jo k qeematon lower side ya bearish trend me banti hai.
      2. Candle ki aik small bullish real body hoti hai.
      3. Candle ki lower side par aik long wick ya shadow hoti hai, jo taqreeban candle k real body ka dugna, ya us se bhi ziadda hota hai.
      4. Candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, jab k aik small si wick acceptable hai, jo k ziada lengthy nahi hona chaheye.
      5. Candle ka color lazmi white ya green nahi hona chaheye, ye red color main bhi ho sakti hai.


      Click image for larger version

Name:	images (3) (100).png
Views:	2
Size:	7.7 کلوبائٹ
ID:	12407605

      Candle ki Tafseel


      Hammer candle aik bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai agar ye candle low prices area ya bearish trend me banti hai to. Pattern ka shadow lower side par jab k real body bullish honi chaheye. Ye pattern shap me same hanging man candle jaisa hi hai, lekin dono me color aur position ka difference paya jata hai. Agar ye candle bullish trend ya high price area me banti hai, jis ka shadow nechle side pe hota hai, to ye aik inverted hammer candle kehlayegi. Hammer candle khaas tor par, yeh ishara karta hai, ke sellers market mein ziada active ho chuke hen, jiss se wo prices ko ko akhari bottom level tak push karte hen. Lekin baad main market main buyers ki pressure ya tadad main izafa hone ki waja se prices din k akhtetam tak wapis upper chali jati hai, jo iss ka baat ka ishara hota hai, k prices ab trend tabdeel karne k mode main a chuki hen. Candle k lower side par aik long shadow prices k mazeed bearish jane ka rejection zahir hpta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (47).jpeg
Views:	1
Size:	13.1 کلوبائٹ
ID:	12407606

      Trading on Pattern


      Hammer candle par trading k leye confirmation candle ka hona zarrori gau, q k ye candle aik single pattern par mushtamil hai. Candle k baad white candle bullish trend confirmation ka kaam karti hai, jess par market me buy key entry ki ja sakti hai. Pattern k leye stop loss ka istemal zarorri hai, qeon keh bagher stop loss k pattern par trading riski hai. Stop loss ki position candle k shadow ka lower end hoga. Prices chart k bottom area main lollypop shakal ki banne wali aik single pattern candle jiss k upper side par aik small body hoti hai, aik hammer candle hoti hai, jo prices ko mazeed bearish jane se rok kar trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle market main sellers ka ikhtetam aur buyers ka prices ko upward pusha karne ka ishara hota hai. Candle par trading se pehle trend confirmation k leye aik to prices ka bottom hona chaheye, jab k doara aik bullish real body wali candle bhi honi chaheye.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (97).png
Views:	41
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12407607

      اب آن لائن

      Working...
      X