Forex kia ha?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex kia ha?
    Forex kia ha?
    Agar apko kabhi kisi gair mulk janay ka ittefaq hoto airport par aapko currency exchange ki dokan nazr ae gi. Ap counter par jate hai to aap ko aik board nazr ata ha os per mukhtalif mumalik ki currencyion karate likha hota hai. Ap rate list k mutabik ropa de kar matloba currency hasil karte hain. Dosra lafzo me isa forum exchange khate han yani aik currency baich kr dosri currency khardta han. Mukhtasran isa Forex kehte han. Forex market duniya ka sabse bara market ha. Aik andaza ke mutabik rozana trillion dollar ka is market me lain dain hota ha. Jab ka duniya ki sab sa bari stock exchange market new york stock exchange me rozana taqreeban 22.4 billion dollar ka lain dain hota ha.

    Opr ka Muwazana sa ap forex market ka hijam ka bakhobi andaza laga sakhte han.

    Forex ma akher kis chz ka lain dein hota ha?
    Jawab sedha sa ha ka currenciyo ka. Lekin chunka ap ka haqiqat me currenciyo sa koi wasta nahi hota islya ap confusion ka shikar ho jatay hain. Stock market me ap dekhta han k google mali tor par mutahikam ha or is k shares ki kimat bar rahi hai to aap google ka shares khared laita han. Ap ne shares to khareed lia magr google k malik to nahi ban gae. Is tarn forex me ap kisi currency ka sirf shares kharidta hai currency ka malik nahi ban jaty. Forex me bari bari currencies darj zail han :-

    Allamat Mulk Currency Maroof nam
    USD America Dollar Bak ya garden bak
    EUR Europei union Euro Fiber
    JPY Japan Yun Yun
    GBP Bartania Pound Cable
    CHF Switzerland faranik Swezi
    CAD Canada Canadian dollar luni
    AUD Australian Australian dollar Azi
    NZD New Zealand New Zealand dollar Kewi

    Har currency teen hurf par mushtamil hoti ha bain tarf ka do hurf mulk ka name or daian hurf currency ko zahir karta hai maslan “ NZD ma NZ New Zealand or D dollar ko zahir karta ha.

اب آن لائن

Working...
X