Details of Morning Star Candlestick Pattern in Forex Market..

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of Morning Star Candlestick Pattern in Forex Market..
    Assalamu Alaikum dear member I hope of sub khairiyat se Honge aur farak market Mein best working kar rahe Honge dear jab aap Paras market Mein kam kar rahe hote hain to ismein bahut Sada hard work ki jarurat hoti hai jo members for US market Mein proper hard work ke sath kam karte hain aur acche experience ke sath kam karte hain vah Hamesha successful Ho Jaate Hain agar aap bhi is market mein successfull ful Hona Chahte Hain, To aapko Koshish Karna Hogi ki ek acche experience aur acche knowledge ke sath kam Karen Taki aapko is market Mein Achcha result Mile. Jab Ham market Mein kam karte hain to ismein aapko proper analysis Karke trading karna Hoti Hai Taki aapko is market Mein acchi running Mile main aaj aapko morning star candlestick pattern ke related bahut hi acchi information Dungi jo aapki trading course successful banaa sakti hai...

    What is Morning Star Candlestick Pattern:

    Dear member for a market Mein Jab Ham kam karte hain to ismein aapko proper analysis Karke trading Karni Hoti Hai morning star candlesticks pattern ko acche tarike se samajhne ke liye aapko Pata Hona chahie ki morning star pattern teen candles per mustamil Ek police trend reversal pattern hai jo ki price ke top per ya bear is Trend ke bad Mein paya jata hai yah candle Dekhne Mein abandoned baby candlesticks pattern or morning doji star candlesticks pattern Jaisa Hai but Star candle ki difference ki vajah se yah UN donon pattern se change ho jata hai pattern ki first candle Ek Badi real body wali black Anders Hoti Hai Jaisa Ki Baat gap mein lower side per Ek small real body wali candle hoti hai jo ke star candles Kaha Jata Hai yah candles small real Shadow wali spinning top Candles Hoti Hai Jaisa ke bad Ek Badi real body wali white candle Hoti Hai Jiska apas ya higher price star candles ka Shadow Ko overlap karti hai..

    Click image for larger version

Name:	images (13).png
Views:	31
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12531413

    Identification of Morning Star Candlestick Pattern:

    Dear member forex market Mein Jab aap kaam karte hain to usmein morning star candles take pattern Ek police and reversal pattern hone ki vajah se price ke pahle se low price trend Mein Hona chahie pattern ki first candle Ek Badi real body wali black candle Hoti Hai pattern ki second candle Ek small real body wali candle hoti hai jo ki Pahli candle se bilo gap Mein banti hai pattern ki third candle Ek Badi real body wali white candle hoti hai jo ki close first candles ke real body Mein hoti hai..

    Click image for larger version

Name:	images (11).png
Views:	87
Size:	11.3 کلوبائٹ
ID:	12531414

    Morning star candlestick pattern black white or star candles per mustameez Ek police stand reversal pattern Joker price trend Mein banta hai pattern ki fast candle Ek Badi real body wali black Andal Hoti Hai Jaisa ki bad Ek star candles below gap Mein banti hai pattern ki star candles small real body wali Hoti Hai Jaisa ki color important Nahin ke black ya white Ho but iski position first candles ke lower per honi chahie pattern ki third candles Ek Badi white ya Bull is Candle Hoi Hai Jiska Lo price star candles ko touch karti hai..

    Trading With Morning Star Candlestick Pattern:

    Dear member forex market Mein Jab aap kam kar rahe hote hain to usmein morning star candlestick pattern teen candles ka ek police stand reversal pattern Jo Dekhne Mein abandoned baby candlestick pattern or morning dosy Stark Industries pattern lagta hai but second candles ka spinning top candle banne se Unse different Ho Jata Hai Baki yah pattern bhi Unki Tarah Bole stand reversal pattern ka work Karta Hai pattern per trading ke liye important hai ke price low position stand mein ho dusre pattern long time mein Hona chahie pattern ke bad Bole scandals ka confirmation Hona important hai Jiska bad Ek police candles Ka Hona important hai yah candle market mein bye ki entry ka signal Deta Hai jisse traders market Mein is position per entry Karte Hain..

    Click image for larger version

Name:	images (12).png
Views:	23
Size:	12.0 کلوبائٹ
ID:	12531416

    Dear member morning star candlestick pattern ki complete hone ke bad new candles ke open per trader ko bike ki trade active Karni chahie stop loss ko second candles ke Low se 6 pips niche place Karen aur take profit ko next resistance level per TP1 TP2 or TP 3 Karke place Karen..


    Click image for larger version

Name:	images (7).jpeg
Views:	22
Size:	24.3 کلوبائٹ
ID:	12531417
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Details of Morning Star Candlestick Pattern in Forex Market..

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Morning Star Pattern


    Morning star candlestick pattern prices k bottom par uss waqat banta hai, jab bhi sellers ki bohut ziada pressure aur assets ki high supply ya low demand ki waja se prices bohut ziada nechay ja chuki hoti hai. Ye position aksar prices k support level sabit hoti hai, jiss main prices yakdam upper charna shoro karti hai. Morning star candlestick pattern main teen candles hote hen, jiss main pehli candle prices par sellers ka dabao, dosre candle prices ko mazeed nechay jane se rokne aur last teesri candle prices ko reversal direction main badal deti hai. Jab bhi high supply ki waja se assets ki prices bohut ziada nechay jane lagti hai, to aik aisi satah ati hai, jahan par iss main izzafa hona shoro hoti hai, ziada demand wale area main aksar prices small candle banati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (97).jpeg
Views:	22
Size:	14.3 کلوبائٹ
ID:	12395205

    Candles Formation


    Morning star candlestick pattern bearish trend ya low demand area main paya jata hai, jiss se k baad prices mumkina tawar reversal jana shoro karti hai. Ye long timeframe main ziada bante hen, jab k iss pattern k teen hessey ya pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai:

    Click image for larger version

Name:	morning-star-1024.jpg
Views:	30
Size:	63.2 کلوبائٹ
ID:	12395209

    1. First Candle: Morning star candlestick pattern ki pehli low prices area main hone ki waja se bearish candle hoti hai. Ye candle aik prices k bearish trend ki akasi karti hai, jo mumkina market ki teezi dekhati hai. Candle ki real body bearish trend k mutabiq black ya red hoti hai.

    2. SecondCandle: Morning star candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali candle hoti hai, jo k pehle candle k baad prices ko ziada karne ki koshash karti hai. Ye candle banti to pehli candle k bottom par hai lekin iss ki small body hone ki waja se asarat bullish trend ki hote hen, ye candle bullish ya bearish dono tarah se ho sakti hai, lekin position pehli candle k bottom par honi chaheye, wo bohut important hai.

    3. Third Candle: Morning star candlestick pattern ki teesri candle trend reversal k mutabiq hoti hai, q k ye dosri candle prices ko rok kar mazeed bearish jane se rokti hai, jab k third candle bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle se above aur pehli candle k parallel banti hai.

    Explaination

    Morning star candlestick pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k long term k timeframes main low prices ko high price direction main tabdeel kar dete hen. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jiss k baad aik small spining top candle banti hai, aur last par aik bullish candle hoti hai. Bearish candle market main sabeqa trend ki alamat hoti hai, jiss k baad banne wali spinning top candle prices ko mazeed nechay jane se rokne k kaam karti hai, jab k last par bullish candle trend reversal k leye jani jati hai. Ye pattern dekhne main "Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern" se ziada mushabehat rakhta hai, aur candles ki formation bhi taqreeban same hoti hai, lekin uss main Spinning top candle ki jagah doji candle istemal hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220521_095857.jpg
Views:	1
Size:	66.7 کلوبائٹ
ID:	12395206

    Trading

    Morning star candlestick pattern trading k leye aik perfect bullish ya buy k signals generat karta hai. Pattern par trading k leye prices ka low area main hona zarori hai, jab k indicators par uss waqat oversold zone hona chaheye. Pattern par trading se pehle aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main pattern k sare candles se top side par close honi chaheye. Iss candle par market main buy ki entry ki ja sakti hai, jab k ye candle black real body main hone se pattern ka asar khatam ho jayega. Pattern par trading k leye risk ko kam karen jab k Stop Loss pattern k sab se bottom side par ya Spinning top candle k lower side se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220521_095908.jpg
Views:	1
Size:	90.8 کلوبائٹ
ID:	12395207
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Details of Morning Star Candlestick Pattern in Forex Market..

      Morning Star Candlestick Pattern


      Introduction:

      Morning star candle pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Morning Star pattern aik mazbot bullish trend reversal pattern tasawar kia jata hai, jo umuman bearish trend ya low prices area me hi banta hai. Is pattern me shamil 1st candle aik bari black candle hoti hai, jo k market k bearish trend ki turjumani karti hai. 2nd candle aik small real body wali candle hoti hai, jo k 1st candle se lower side pe gap me banti hai. 3rd pe aik bari real body wali white candle hoti hai, jo k open 2nd candle se gap me hoti hai lekin close black candle k body ya us se bhi uper hoti hai. Morning Star pattern aur Evening Star pattern apas me mutazad patterns hen.

      Click image for larger version

Name:	images (212).jpeg
Views:	14
Size:	9.4 کلوبائٹ
ID:	12395212

      Pattern ki Pehchan k Rules:
      1. Morning star candle pattern se pehle qeematon ka bearish trend ya market k low area me hona chaheye.
      2. Pattern ki 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, yani candle ki open aur close price same nahi hoti.
      3. Pattern ki 2nd candle candle aik small body wali candle hoti hai, jo k 1st candle se gap me open aur close hoti hai.
      4. Pattern ki 3rd candle aik bari real body wali white candle hoti hai, jo k open to 2md candle se gap me hoti hai lekin close 1st candle k body ya us se bhi upper hoti hai.
      5. Pattern k 1st aur 3rd candle ki real body aur color zaror pattern k mutabiq hona chaheye, jab k 2nd candle ka color zarori nahi hai, lekin is ki position bohut zyada aham hai.


      Click image for larger version

Name:	images (318).png
Views:	3
Size:	21.1 کلوبائٹ
ID:	12395213

      Pattern ki Tafseel:

      Morning star candle pattern teen mukhtalif shape k candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k low price area ya bearish trend me banta hai, jis k baad ziada tar qeematon ka trend bullish trend me badal jati hai. Is pattern me shamil 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k qeematon k lower side pe jane ki akasi karti hai. Pattern me 2nd aik small body wali candle hoti hai, jo k 1st candle se lower side pe gap me open aur close hoti hai. Is candle ka colour black ya white dono me se koi bhi ho sakta hai, q k color is candle ka ziada zarori nahi hai, lekin is ki position aur size ziada zarori hai. Ye candle qeematon ka lower side pe jane me rukawat banti hai aur bearish trend ko yahan pe pause karwa deti hai. Pattern ki 3rd candle aik real body wali bari white candle hoti hai, jo k open to 2nd candle se gap me hoti hai, lekin close black candle k body me hoti hai. Ye candle market me qeematon k semat ko tabdeel karwa deti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (319).png
Views:	12
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12395214

      Morning Star Pattern pe Trading


      Morning star pattern pe traders market me buy ki entry kar sakte hen. Pattern k qeematon k lower side pe banne k baad 4rth candle ki confirmation zarori hai, agar ye candle white banti hai, to ye buy ka signal hota hai, lekin agar 4rth candle black banti hai, to yee pattern is position pe fail tasawar hoga, aur market me tab entry na karen. Stop loss 2nd candle k sab se lowest point pe hoga.

      Click image for larger version

Name:	images (211).jpeg
Views:	78
Size:	20.0 کلوبائٹ
ID:	12395211

      اب آن لائن

      Working...
      X