Assalamu Alaikum Dear Members!
Definition Of Candlestick Patterns
Ap sab kheriyat se hon gy dosto agr ap forex trading main kamyiabi hasil krna chahte hain to apko mehnat krni ho gi qk forex business main success hasil krne k liye experience boht Ziyada important hai isliye candle stick pattern pr study kiya kro qk candles ki madad se he ham market ko analysis kr sakte hain.
What Is Bullish Engulfing Pattern ?
bullish Engulfing Candlestick Pattern prices k bottom par vanne wala aik strong two days candlestick pattern hai, jo k prices ko bullish trend reversal main badal detta hai. Bullish engulfing pattern main shmail pehlee candle aik real body wali bearish candle hotti hai, jo k prices k downtrend ki mazzbotti ki alammat hotti hai, lekin dosre din ki candle aik long real body wali bullish candle hotti hai, jo open to pehlee candle se lower par hotti hai, lekin close uss se above hotti hai. Pehlee bearish candle dosree bullish candle k real body k lapait main a jatti hai, jis ko engulfing kaha jata hai.
Identification Of Engulfing Candlestick Pattern
dusre aam two days candle stick pattern ki tarrah bullish engulfing candlestick pattern bhi two days candles par mushtamil hotta hai, jiss main pehlee candle bearish jab k dosree candle bullish pattern ki hotti hai, bullish engulfing candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarrah se hoti hai.
1) First Candle:
Bullish Engulfing Candlestick Pattern ki pehlee candle aik real body main bearish candle hotti hai, jo k market k mutabbiq black ya red color main bantti hai.
2) Second Candle :
Bullish Engulfing Candlestick Pattern ki dosree candle aik strong real body main bantti hai, jo k pehlee candle se size main ziadda hotti hai. Ye candle color main white ya green hotti hai, jo k pehlee candle ko apnne lapait main le leti hai.
Explanation
Bullish Engulfing Candlestick Pattern market k lower ya downtrend main banne ki wajja se prices k leye bullish trend reversal pattern ka kaam kartta hai. Ye pattern two days candles (bearish aur bullish candles) par mushtamil hotta hai, jiss main pehlee bearish candle prices k bearish trend ki mazzbotti battati hai. Dosre din ki bullish candle aghazz main pehlee candle se nechay gap main open hotti hai, jo market main still bear power show kartti hai, lekin baad main market buyers k control main a janne ki wajja se ye candle aik long size main bullish candle bantti hai jo k pehlee candle se above close hoti hai.
How To Trade This Pattern
Bullish Engulfing Candlestick Pattern market main bearish taqqat ko bullish power main badalte howe dekhata hai, ye candle pattern downtrend main strong bullish reaction detta hai, jiss se qeematon ka trend bullish reversal ho jatta hai. bullish Engulfing pattern par trading k leye zarorri hai k prices downtrend ya low prices area main hon, dosra pattern ki confirmation candle ya technical indicators se bhi zarrori hai. Aggar dosree candle k baad teesri candle aik real body wali bullish candle bantti hai to ye position market main buy ki entry ka hogga. Stop Loss pattern k kisi bhi position k sab se lower side, jo ziadda tar dosree candle k lower prices banne ga, par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим