*Dark Cloud Cover Pattern
✓Dark cloud cover pattern uss waqat forex chart pattern par banta hai, jab buyers prices ko bohut ziada upward side par push karti hai, jiss k baad buyers ka market main dilchaspi khatam ho jati hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hai, jiss main pehli candle normal bearish trend ki ho aur dosri candle uss se above gap main open ho kar pehli candle k midpoint se nechay par ja k close hoti hai. Dark cloud cover pattern main pehle din ki candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices ka top ya bullish trend ka ishara deta hai. Jab k uss ka baad aik bearish candle banti hai, jiss ka open price to bullish candle upper side par gap main hota hai, jab k close price bullish candle k darmeyan se below (taqreeban 50% down) hota hai. Matlab ye k jaiss tarah meeting line pattern main dosri candle pehli candle k close point par band hoti hai, iss pattern main ye midpoint se below ja k close hoti hai.
images (2) (76).jpeg
*Candles ki malomat:-
✓Dark cloud cover pattern ziada tar top price area ya bullish trend main bantta hai, jo k two days candles par mushttamil hota hai, pattern k leye prices ka high hona zarorri hai, aur candles ki darjazzel formation bannegi;
unnamed (32).jpg
Candle one:-✓Dark cloud cover pattern bullish trend main bantta hai, is waja se pattern ki pehlee candle ek long bullish candle hotti hai, jo k bullish trend k mazboti zahir kartti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai.
Candle two:-✓Dark cloud cover pattern ki dosree candle aik strong bearish candle hotti hai, aur ye candle taqreeban size main pehlee candle k ziada hoti hai. Dark cloud cover pattern main dosree candle pehlee candle se above gap main open ho kar ussi k darmeyan se below close hoti hai. Ye candle color main black ya red hogi.
*Briefly explain
✓Dark cloud cover pattern aik unique bearish trend reversal pattern hai, jiss main dosri bearish candle opposite direction main nechay gap main open ho kar bullish candle k midpoint se 50% below real body main close hoti hai. Dark cloud cover pattern ki dosri bearish candle bullish trend ka end karke prices k bearish side par movement ka ishara dete hen. Dark cloud cover pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k uptrend k baad bantta hai. Dark cloud cover pattern main dosree candle pehlee candle k close price ki bajaye above par gap main open hotti hai. Ye pattern same "Meeting Line Pattern & bullish thrusting line pattern" jaisa bhi dekhaye detta hai, q k dono k candles same formation main bante hen, lekin meeting line pattern me dosree candle ka closing point pehlee candle k closing point par hi hota hai. Dark cloud cover pattern dosri bearish candle k strong sellers pressure ki waja prices ko downward push karti hai, aur bullish trend ka ikhtetam karti hai.
Screenshot_20220516_124857.jpg
*Trading:-
✓Dark cloud cover pattern k dono candles k opening price k darmeyan aik bara gap hota hai, jo aam tawar par bearish candle k real body ki waja se nazar nahi ata hai. Dark cloud cover pattern aggar prices k uptrend ya upper area main paya jaye to ye trading k leye sell ka signal genrate kartta hai. Dark cloud cover pattern main prices candle ko up side par gap main open karti hai, jo k bullish trend ki mazboti hoti hai, lekin market main sellers k strong wapasi ki waja se qeematen bearish shift ho jati hai. Dark cloud cover pattern k dono candles k opening price s main bara gap honna, iss baat ki dalil hoti hai, k ye pattern normal prices charts main banne ki bajaye weekend ya market main bare gap k baad banta hai. Dark cloud cover pattern par trade opening bearish confirmation candle k baad hoga, jiss ka close point bullish candle main hona chaheye. Stop Loss pattern par zaror set karen, q k trend reversal pattern ziada riski hote hen. Stop loss pattern k sab se top side par set karen.Screenshot_20220516_124913.jpg
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим