Bullish Kicking Candlestick Pattern
Bullish kicking pattern aik down-trend main uss waqat banta hai, jab market main aik white candle pichli black candle k baad* open hone ki bajaye upper gap main open ho kar higher par close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka open price aik dosre se gap main hota hai, aur candle ka ye open position ziada tar opening marubozu hota hai,. Pattern k mutabiq bulls market k control ko hasil karte hen. Pattern k dono candles k opening price k darmeyan lazmi koi gap hona chaheye.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Bullish kicking candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai is waja se qeematon ka pehle se low price area ya bearish trend me hona chaheye.
- Pattern ki 1st candle aik white Marubozu candle hoti hai, jis k lower aur upper sides par koi saya nahi hota hai.
- Pattern ki 2nd candle aik bullish Marubozu candle hoti hai, jiss k bhi 1st candle ki tarah koi saya nahi banta hai.
- Pattern ki 2nd candle 1st candle se above gap me banti hai.
- Pattern k dono candles k darmeyan banne wala gap wazih aur clear hona chaheye, yani us me candles ka saya nahi ana chaheye.
- Pattern ko umoman market k dowran gap me bante dekha gaya hai.
Pattern ki Tafseel
Bullish kicking candlestick pattern ki 2nd candle k white hone k baad market main investor trend ko tabdeel kar dete hen. Pattern k 1st day ki candle aur 2nd candle k darmeyan prices main waqfa ya gap banta hai, jahan bears market mein wapasi ki koshash karte hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki 2nd candle 1st candle k close price par open hone ki bajaye upper gap main open hoti hai, white real body banane k baad 1st candle k opposite direction main upper close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bears market main control barqarrar rakne main nakam rahe hen, jiss se bulls market ka control hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai.
Pattern par Trading ka Amal
Bullish kicking pattern me prices bullish trend reversal ka sabab banti hai. Pattern ki dono candles k opening price aik dosre se gap main honi chaheye, q k white candle ki ye strong wapasi prices k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main white honi chaheye aur 2nd white candle k top par close honi chaheye. Pattern k baad bearish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation indicator aur oscillator par value oversold zone mai trade karni chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим