Trading Using Trendline

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading Using Trendline
    Trading Using Trendline
    Trend line
    Financial market me traders musalsal chalti howe mukhtalif qeematen (prices) ko aik jagah pe tarteeb de kar charts ya pattren banate hen jo k us se aik khas qisam ka result nekalne k leye, un prices ko jab aik line se jora jata hai aur us ki jo position ban jati hai wo trend line kehlata hai. Trend lines se hi forex trading me traders mukhtalif qisam ki results k bunyad pe trading karte hen. Aur is pe hi analysis ki jati hai. Forex trading me trends line mukhtalif qisam ki ho sakti hai, ya to ye trend line bullish trend line hogi, ya ye bearish trend line hogi aur ya ye sideways trend line hogi.
    Click image for larger version

Name:	Z(1).jpg
Views:	3
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12531048
    Bullish trend line
    Financial market me jab hamare musalsal qeematen aik upward semat ko zahir karen aur ye qeematen lagatar uper ki taraf ja rahi ho to jo line bane gi wo bullish trend line kehlati hai. Is me market me pattren ki jo candle stick ki position hoti hai un ka closing point aik dosre se oper ki taraf banta hai. Ye trend line is waja se hoti hai jab market me demand ziada aur supply kam hoti hai, ya supply normal ho lekin demand ziada ho jati hai.
    Click image for larger version

Name:	h8zxkZbsdbkWAAAAABJRU5ErkJggg==.png
Views:	4
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12531049
    Bearish trend line
    Financial market me Bearish trend line us waqat banti hai jab market me supply ziada hoti hai aur demand kam ho jati hai, ya market ki supply normal hoti hai lekin demand kam hoti hai to is se market ki jo line banti hai, wo market ki bearish trend line hoti hai. Is me jo qeematen hoti hen wo musalsal gerti howi ja rahi hoti hai. Aur candle stick formation is tarah se hoti hai k har nex candle stick ki closing point pehli candle stick se downward hoti hai.
    Click image for larger version

Name:	images(11).png
Views:	2
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12531050
    Sideways trend line
    Financial market me ye line na to upward hoti hai aur na hi ye market me downward hoti hai. Bulke market straight aik seedhi line me ja rahi hoti hai. Lekin market ki breakout ki intezar me zaror hoti hai. Sideways movement us waqat hoti hai jab market me supply aur demand dono equal ho aur kisi bhi side pe ziada dabao na ho.
    Click image for larger version

Name:	2Q==(1).jpg
Views:	3
Size:	9.4 کلوبائٹ
ID:	12531051

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading Using Trendline

    Trend


    Click image for larger version

Name:	images (298).jpeg
Views:	2
Size:	28.1 کلوبائٹ
ID:	12395997

    Trend forex trading me sab se ziada technical analysis k leye madenazar rakha jata hai. Traders trend k bagher forex trading main trades open nahi kar sakte. Trend forex trading me prices ko kisi aik khas semat me musalsal move karwati rehti hai, jiss ka follow karna aur uss ka trading me istemal karna bohut ziada aham ho jata hai. Trend ki sab se bari haseyyat ye hai k ye kisi khas semat me lazmi move karta hai, jiss se prices ki direction ka andaza lagana asan hota hai. Long term timeframes aur short term k timeframes main trend ki semat thori si mukhtalif ho sakti hai, q k long term k trend me qeematen aik wazih semat me jati hai. Trend ki darjazel teen aqsaam hen;

    Click image for larger version

Name:	images (297).jpeg
Views:	4
Size:	29.3 کلوبائٹ
ID:	12395998

    1. Bullish Trend

    Up-trend line qeematon k bottom points ko mela kar banti hai, is me market k prices k support prices ko mela kar trend line banaye jati hai. Ye trend line bottom se top ki taraf terchi banti.

    2. Bearish Trend

    Down-trend line me market ki prices ki top ko melaya jata hai, ye aik qisam ki line hoti hai jo k resistance levels ko melate howe banti hai. Jab bhi ye trend line draw hoti hai, to ye top se bottom ki taraf terchi banti hai.

    Sideways trends

    Sideways trend line aik sedhi lakeer hoti hai, jis me qeematen upward ya downward movement nahi karti, is waja se ye trend line terchi nahi banti. Sideways trend line me bhi hum top ya bottom ko akhata karte hen, lekin qeematen aik makhsos had (range) k top aur bottom se upper ya nechay nahi jati.


    Trend par Trading


    Trend par Trading sab se asan iss waja se q k ye forex trading ka sab se simplest tareeqa hai. Iss tareeqay kar k dowran na to koi mushkil technical analysis karni parti haiaur na hi fundamental anasir se bakhabar rehne ki zarorat hoti hai. Trading me trend ko lazmi follow kia jata hai, jiss me sab se ziada long term ki trend ki follow karna aham aur trend k mutabiq trades ko positive response deta hai. Ttrend ki semat main agar bullish ho to uss waqat buy ki entry karen jab k bearish trend me sell ki trades entre karen jab sideways trend me trading se parhez karen q k is ki semat wazih nahi hoti hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X