Hammer Candlestick Pattern
Inverted hammer candlestick qeematon k bottom par bullish trend main tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen upward rise karna shoro ho jati hai. Inverted hammer candlestick price chart par single candle family se taluq rakhti hai, jis me candle ka aik small real body hoti hai aur iss me candle ka open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k lower side par shadow nahi hota hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Inverted hammer candlestick aik single candle pattern hai, jo prices k bottom ya bearish trend main banti hai, jo k bullish trend reversal ka kaam karti hai.
- Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis me open aur close point aik dosre k qareeb hote hen.
- Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
- Candle k lower side par small si wick k elawa koi shadow nahi honi chaheye.
- Ye candle normal prices me neutral hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Inverted hammer candlestick aik single candle pattern hai, jo k qeematon low area ya bearish trend main ban kar bullish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis k upper side par aik lamba saya hota hai, ye candle prices k leye support level sabit hota hai. Inverted hammer candlestick me qeematen upper side par aik lamba shadow bannane k baad aik dosre k qareeb close hote hen, jiss main aik small real body banti hai, jab k candle ka saya real body ka dugna hota hai.
Pattern par Trading ka Amal
Inverted hammer candlestick ko technical analysis k tawar par istemal karne k leye prices ka pehle bottom trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik white candle ka hona zarori hai, jis par market me buy ki entry ki ja sakti hai. Candle ka real body strong support level sabit hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Confirmation white candle k baad hi market me entry ki ja sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим